Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 5669
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: salam 110, wilayt faqih ki shataet btadein plx

Answer: Wilayat e faqee bhi aik fiqhi masla hai aur is me bhi muqalid apne mujtahid ki janib he ruju karay ga. Ayatullah Syed Ali Sistani d.b. k nazdeed aik jamia sharait mujtahid in tamaam umoor me wilayat rakhta hai jin per insaano ka ijtemaaye nizaam qaim hai. (Ref : Mujthid se poushey gye sawalat part # 2, ques # 7 pg # 22) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 9137
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salam Ayatullah Sistani ki nazar mai waliye faqeeh kon hai.

Answer: Wilayat e faqee bhi aik fiqhi maslah hai aur is me bhi muqalid apne mujtahid ki janib he ruju karay ga. Ayatullah Syed Ali Sistani d.b k nazdeeq aik jamay sharaet mujtahid in tamaam umoor me wilayat rakhta hai jin per insaano ka ijtemaey nizaam qaim hai. (Ref : Mujthid se poushey gye sawalat part # 2, ques # 7 pg # 22). Update on dated 16-07-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 9598
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: ولایت فقیہہ

Answer: Wilayat e faqee bhi aik fiqhi masla hai aur is me bhi muqalid apne mujtahid ki janib he ruju karay ga. Ayatullah Syed Ali Sistani d.b. k nazdeed aik jamia sharait mujtahid in tamaam umoor me wilayat rakhta hai jin per insaano ka ijtemaaye nizaam qaim hai. (Ref : Mujthid se poushey gye sawalat part # 2, ques # 7 pg # 22) . Update on dated 24-10-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 11459
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: ولایت فقیہ سمجھا دیں اسکا مطلب اور اسلام یا شیعہ اسلام میں یہ کب رائج ہوا ؟

Answer: Wilayat e faqee bhi aik fiqhi maslah hai aur is me bhi muqalid apne mujtahid ki janib he ruju karay ga. Ayatullah Syed Ali Sistani d.b k nazdeeq aik jamay sharaet mujtahid in tamaam umoor me wilayat rakhta hai jin per insaano ka ijtemaey nizaam qaim hai. (Ref : Mujthid se poushey gye sawalat part # 2, ques # 7 pg # 22). [Updated on 16-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16182
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: السلام علیکم، آیت اللہ سیستانی(دام ظلہ) کا نظریہ، ولایت الفقیہ سے متعلق کیا ہے؟

Answer: 1: Wilayat e faqeeh bhi aik fiqhi maslah hai aur is me bhi muqalid apne mujtahid ki janib hi ruju karay ga. Ayatullah Sistani(d.b) ke nazdeeq aik jame sharait mujtahid in tamaam umoor me wilayat rakhta hai jin par insaanon ka ijtemayei nizaam qaim hai. 2: Fuqha ki Ibaraton main maujood lafz-e-Wilayat jo Umoor-e-Hisbiya (Umoor-e-Hisbiya say muraad wo umoor hain jin ko Shaare Muqaddas Muattal nahin karna chahta jaisay Amwaal ko Yateemon tak pohunchana) ke liye Istemaal hota hay aik aisa ikhtiyaar hay jo har Jaamea-ush-Sharait mujtahid ke liye saabit hay laikin wilayat ka wo mafhoom jo ke zikr karda tareef say ziyada wasee hay aur wo un tamaam umoor ko shamil karta hay ke jis par aik Ijtimayei Islami Nizaam mauqoof hota hay. wo aisay shakhs ke liye hoga jo faqeeh bhi ho aur is ke control main koi ilaqa bhi ho jis par amal daraamad ke liye kuch mazeed sharait bhi hain aur wo ye hay ke wahan ke momineen ke nazdeek us faqeeh ko achi khasi maqbooliyat hasil ho. (Ref: Mujthid se posche gaye sawalat, part #2, ques #7, pg #22. + Istiftaat A.Sistani I-3). [Updated on 11-Jan-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 21425
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: salam mera sawal ye hai ke wo umoor jin per aik islami ijtimaee islami nizaam mauqoof ho waha aik jamiush sharait mujtahid ho jo tama sharait per pora utarta ho aur un ko awam per umoomi toor per maqboliyat bhi hasil ho aur aik khas ilaqa us ke control main bhi ata ho to waha per jo wo ahkamat jare karen gay to kya wo ahkamat dunya main kisi bhi jaga rehne wale tamam logo aur dunya main kisi bhi jaga rehne wale tamam dosre mujtahid per bhi follow karna wajib ho jae ga ya sirf us khas ilaqe walo per ya us country ke awam per ( jo un ke control main atey ho ) un per manna wajib ho ga? shukriya

Answer:

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!