Question: aurath khabrastan nahi ja sakti. phir bhi aurat khabrastan jati hai is koi guna nahi
Answer: Aurat Qabrastan jasakti hai aur is yeh amal JAIZ hai Ref:Mujtahid Se Pooche Gaye Sawalat Part 3 Question No 202
Question: Kya qabar se hadiyaan nikalna jayez hai parhai k lye
Answer: bismehi taala, musalman ki qabr ko kholna jaiz nahi he (ref: tawzihul masail Aytullah Seestani (d.b.) masaala no. 648)
Question: kaya mayat ke dafan karne ke baad imam uske paoon ke taraf karlai ho kar surah baqara ke akhree 2 ayaat parhta hai. kaya ye 2 ayate parhna zaroori hai ya iske elawa koi be ayat phree ja sakte hai. plz answar quick
Answer: Note : Is website per fiqhae jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hein. Mustahab hay k qabar k ziyarat k liay aanay walay qabar per haatha rakh ker qiblay ki janib rukh ker k 7 baar sorah e qadr ki tilawat karain, or ye bhi mustahab hay k Al-Hamd or sorah e falaq or sorah e naas or ayatul kursi ki 3, 3 baar tilawat ki jay(Ref: A.Sistani(d.b),urwatul wusqa, part#1, maslah#before 1008). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Qurbani k liy gae hareedna jaez hai ya nahi?
Answer: Jaiz hay balkeh Mustahab hai. (Ref: sistani.org, topic# azhiya, arabi)(Khuda aap ki tawfiqaat mein Izafa farmaye)
Question: Salam Kya momineen ki qabron ko pakki banana jaez hai ? Agar nahi hai to kin halat me pakki qabr banai ja sakti hai tafseel Se wazahat farmaen ain karam hoga. Allah Aap sab ko Salamat Rakhey Wassalam
Answer: Momineen ki qabron ko pakki banana jaez hai . (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 623) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: kia marny k bd humsy arabic mei sawal kiye jygy ?? plz answer
Answer: Jee, marne k baad qabr main arabi zaban main sawal o jawab hongay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 618). [Updated on 19-Sep-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Qabar par agarbatti lagana kaisa hai
Answer: Agar agarbati, loban, chirag waghaira ka istemaal maal ka israaf na samja jaraha ho to ye haram nahin hai. ( laikin is k istemaal ko deen ka hissa na samja jaay ) ( Ref: Deen Ke Ahkam, Ayatullah Sistani(d.b), #356). [Updated on 22-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kiya purana kabar ko dobra pakka Bana sakta hay
Answer: Momineen ki qabron ko pakki banana jaiz hai. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #623). [Updated on 21-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: KIA BANI HUI QABAR KO GIRA KR DOBARA QABAR BNAI JA SKTI HAI?
Answer: Momineen ki qabron ko pakki banana jaiz hai. lekin kholna jaiz nahin. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #623,631). [Updated on 17-Aug-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya 9 maheenay k bachay ko qabristan le kar ja saktay hain?
Answer: Jee lay jaa sakte hain koi haraj nahin. Aur jahan tak bachon ko janazay ke ijtimaat (fatiha khuwani) aur qabrustanon mein laane ka talluq hai to hum ne apne paas maujood riwayaat aur fiqa ki kitabon mein talaash kiya hai aur hamein aisi koi riwayat nahin mili jis se yeh maloom hota ho ke yeh kaam na-pasandeedah hai. (Ref: Mujtahid se pochay gaye sawalaat, part #3, sawal #202, pg #85. + link: https://www.islamquest.net/ar/archive/fa18790 ). [Updated on 10-May-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]