Question: where is khums ayat in quran
Answer: The ayat of khums is in the Surah e infaal(sorah#8) , ayat # 41. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: please tell your account number for paying khums(sehm ae imam and sehm sadaat)?
Answer: http://qoitrat.org/payments.htm (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: khums kis hisab se aor kab ada krna chahie
Answer: 1) Tajir, dokaan daar, kariger, mulaazmat (job) kernay walay or isi terah dosray kamanay walay hazraat k liay zarori hay k jab say onho nay kaam ya job shoro ki ho, aik saal gurazar jaay, tu jo khuch raqam ya samaan istimaal say bach gaya ho, os ka khumus(paanchwa hissa, 1/5) dain. 2) Zarori hay k khumus ko do hisson main taqseem kia jaay.is ka aik hissa saadaat(syed) ka haq hay or zarori hay k kisi syed faqeer ko daya jaay.or dosra hissa imam e zamana(a.s) ka hay jo zarori hay k maujodah zamanay k zindah aalam mujtahid ko dia jaay.mazdeed ye k syed ka haq mujtahid ya oskay wakeel ko dia jasakta hay k wo aap ki taraf say saadaat ko day dain. Is hisab se 1000 rupay per 200 rupay aur 50000 per 10000 rupay khums dena ho ga. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1722, 1804). 3) Ayatullah Sistani(d.b) k Karachi main bohot se vakeel maujood hain.jin main se aik aqae Maulana Ali Raza Mehdavi hain.or ye Madrasa quran o Itrat Academy k principal bhi hain.or in ka contact number 021-32226948, 021-32237207 hay.(Ref:www.qoitrat.org). addres: 365/1, pire street , garden east karachi. pakistan (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Khums ka zikr quraan me kitni martaba hai ?
Answer: Quran Majeed me khums ka zikr faqat Surah e Anfaal Ayaat no 41 mein aya hai.(Webaddress: http://ur.wikishia.net/view/%D8%AE%D9%85%D8%B3 ). [Updated on 21-Jun-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aslam o Alakum Mera sawal yeh hy k aisi job jo Sara Sall ni chalti agar us ko per month sy daikhain to kuch raqam bach jati hy aur farigh dinio main istamal ho jati hy to mery liy kia hukam hy kia jin month main kam kia wo khums wajib ul ada hy
Answer: Agar saal ke aakhir men us Salary men se kuch raqam bach jaye to khums daina wajib hoga. aur agar kuch bhi na bache to khums wajib nahin. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah seestani, edition 41, maslah #1722) [Updated on 27-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agar koi shakhs jis ghar me wo rehaish pazeer hai.. Us main paint kerwanay ki niyat se saving kerta hai aur khums ki tareekh ajaati hai tu kia us raqam pe khums dena hoga..?
Answer: jee bilkul us par bhi aap ko khums dena hoga.(Ref:Tauzeeh ul masail aayatullah seestani jaamay maslah no 2298). [Updated on 17-Mar-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: As per fiqa jafria how much khumas per one rs one lack
Answer: khumus ka matlab hota hai paanchwaa hissa (5th one) lehazaa aik laakh jo aap k paas hai agar un paison par khums aagaya hai tou aap ko 20000 rupey bator e khums dene honge.(Ref:Book ehkaam e khus o fitra ayatullah seestani page 20). [Updated on 23-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kea mukan k leay rakha gya ya jama keay hvy paisy say zakat adah krni ho ge?
Answer: Paison par zakat wajib nahin hoti balke khums wajib hota hai. (Ref: Tauzeeh ul masael, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #1820). [Updated on 01-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Sehme imam kis ko dia ja sakhta hai?
Answer: Sehm e imam zaroori hai ke Jame-us-sharaait mujtahid ya us ke wakeel ko diya jaaye, Yaa Jame-us-sharaait mujtahid ya us ke wakeel ki ijaazat se aise kamon me kharch kiya jaye jis ki wo mujtahid ijazat day Aur ehtiyat e laazim ye hai ke wo marja, aalam ho aur umoomi maslihaton se aaghah ho. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1804). [Updated on 22-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Asssalam o Alaikum. mera sawal ye hai k QURAAN or hadees ki ru se khumus waajib hai, farz hai ya sunnat hai? khumus kitni miqdaar se nikalna chahye? R kitni muddat k bad nikal chahye? r Khumus k Haqdaar kon log hain? hum ne khaali khumus ka naam suna hua hai is k elaawa kuch ni jante braae meharbani tafseel se samjhaen
Answer: