Question: Salam un alekum Sir agr ek nikah ki mudat ek sal ho gye ho or laka or larki ny mail milap na kia ho (ruksti se phly) to kia nikah makruh ho jata hy?
Answer: Nhi ruksati se pehle talluq qaim na krne se Nikah batil o makroh nhi hota hai albatta Ruksati k bad shohar apni jawan biwi se 4 mahine se zyada muddat k lie hambistari tark nhi krskta magar yh k uss k lie nuqsande ho ya nikah me shartk rkhi gai ho ya khud aurat bhi raazi ho. (Touzih ul Masail Agha Sistani d.b, 39th Edition, Masla No. 2382) [Updated on 16-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agar main kisi se investment leta hoon 1 laakh rupeya aur un se kehta hoon k aik saal baad aap ko wapas doon ga aur saath main aap k aik laakh ka 10-15 percent profit bhi doon ga tou kya yeh jaez hai ya sood hai??? Profit rate fix nhn kia bus aik range bata di hai k 10-15 percent profit miley ga aap ki investment ka.
Answer: