Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 10935
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Fiqah jafria ko fiqah jafria ku kaha jata hai??

Answer: Imam jaffer sadiq a.s ki imamat k doran choonkeh bani umaiyyah apne zawaal k ayyam se guzar rahi thi is liay aap(imam jaffer sadiq a.s) ko doosre aimma ki ba-nisbat ziyada ilmi omoor ki anjam dahi ka moqa mila. Aap k shagirdo or raviyo ki tadaad 4000 tak batae gae hay. Ahl e bait a.s se mansoob ahadees main se aksar ahadees main se aksar ahadees imam sadiq a.s se naqal hoe hain isi bina per shia mazhab ko mazhab e jafferiya k naam se bhi yaad kia jaata hay. (Ref: http://ur.wikishia.net/view/%D8%A7%D9%85%D8%A7%D9%85_%D8%AC%D8%B9%D9%81%D8%B1_%D8%B5%D8%A7%D8%AF%D9%82_%D8%B9%D9%84%DB%8C%DB%81_%D8%A7%D9%84%D8%B3%D9%84%D8%A7%D9%85) [Updated on 16-Dec-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14074
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: man kuntu moula..... kab kahha gaya tha

Answer: Man kuntu maula fa-haaza aliun muala. ye hadees 18 zil hajj 10 hijri ko Ghadeer khum, k maqam par Rasool e Khuda(s.a.w.w) ne Irshad farmaei. aur ye waqiya kuch yuon hai ke, Rasool e Khuda(s.a.w.w) hijrat ke daswen saal (yani 10 hijri) 24 ya 25 ziqaada ko sawa laakh afrad ke sath hajj ki adaigi ke liye madinay se makkay ki tarf rawana howe. Aur Rasool e Khuda(s.a.w.w) ka ye hajj hijjtul wida ya hijjtul islam kehlata hai. Us waqt Imam Ali(a.s) tableeg ke liye (yaman) gaye howe the, jab Aap(a.s) ko Rasool e Khuda(s.a.w.w) ke hajj par jane ki khabar mili to yamani musalmano ki aik jamaat ke sath makkay k tarf rawana aur amaal e hajj ke aagaz se pehly hi Rasool e Khuda(s.a.w.w) se ja milay. Hajj ke ikhtitam par Rasool e Khuda(s.a.w.w) musalmano ke sath makkay se madinay ki janib rawana howe. Hajj anjam dene ke baad musalmano ka Azeemus shan Ijtimaa baroz e jumaraat 18 zil hajj ko Paigambar e Akram(s.a.w.w) ke sath Gadeer e khum ke maqam par puncha. Wahan par Hazrat e Jiraeel(a.s) Ayat e tableeg lekar nazil howe aur Rasool e Khuda(s.a.w.w) ko Allah ka ye hukum punhcha diya ke Ali(a.s) ko apne baad wali aur wasi ke taur par mutaaraf karaain. Us waqt Rasool e Khuda(s.a.w.w) ne aik tafseeli khutba diya jis ke aakhir men ye hadees irshad farmaei ke Man kuntu maula fahaza aliun muala. (Ref: https://ur.wikishia.net/view/%D9%88%D8%A7%D9%82%D8%B9%DB%81_%D8%BA%D8%AF%DB%8C%D8%B1 ). [Updated on 09-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 14577
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Hadees K Mutabiq Jannat Kin Aadmiyon Ki Mushtaaq Hai

Answer: Rasule Khuda(s,a,a,w) Ne Farmaya "Jannat In Afraad Ki Mushtaq Hai". 1. Hazrat Ali (a.s.). 2. Janab e Salman Farsi. 3. Janab e Abuzar. 4. Janab e Miqdad. (Ref: Naqosh e Asmat, Allama Syed Zeeshan Haidar Jawwabi, pg #54). [Updated on 09-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14914
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalamo alaikum ji mujhe yeh quote milta jo mujhe clear karna h (hazrat ali ne farmaya dukh mai kabhi bhi pachtawe ke aansu na bahao kyou ke tum woh sakhs khusnaseeb ho jis ko Allah ne ajmaise ke kabil samjha..) iska kuch refference k saath kuch btaye...

Answer: Imam Ali(a.s) ye farman (agar sabit bhi hai) mujhe kisi shia websites men is ka Reference nahin mila balke kisi sunni websites men is ka koi Reference nahin mila, siwaye ye ke mene ye farman ishq o muhabbat wali websites men paya, ya ziyada se ziyada sabr ki talqeen ke mauzoo men paya. [Updated on 07-Apr-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15432
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Ya ali aapki misal meri ummat main sura e tauheed jaisi hai - kya yeh hadith sahih hai and uska reference

Answer: Salman farsi or ibn e abbas raawi hain keh rasool saww ne farmaya : یا علی مثلک فی امتی مثل قل ھو اللہ فی القرآن yani aay ali teri misal mmairi ummat main quran main qul ho wallah o ahad ki tarah hay. (Ref: amali sadooq pg#33, numan bn basheer se ibn e magharli o khawaarzami ne naqal kia). [Updated on 09-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15499
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: AoA Inka refrence chahye. Wo cheezain jo mard k liye zeenat ha lekin orat k liye khami jesy Khush ikhlaqi, sakhawat etc.

Answer: Wa alaikum salam. Nehjul balagha main kalima e khisaar main kalama number 234 main is tarah ki hadees maujoood hay.http://alhassanain.org/urdu/?com=book&id=399&page=698 [Updated on 27-Jun-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15699
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: tumharay do man or do bap hen eak woh jis nay tum ko Jana hay or dosray woh jo tum nikah ker k banatay ho ya kis surah may hay

Answer: Hadees main aaya hay keh : Bay shak aap k teen baap hain, wo jis ne tujh ko paida kia, or jis ne aap ko taleem di or wo jis ne app ki shadi karwae, or behtareen baap wo hay jis ne aap ko taleem di.(إن آبائك ثلاثة: من ولدك، ومن علمك، ومن زوجك، وخير الآباء من علمك) (Ref: http://shiaonlinelibrary.com/%D8%A7%D9%84%D9%83%D8%AA%D8%A8/4044_%D8%AC%D8%A7%D9%85%D8%B9-%D8%A7%D9%84%D8%B3%D8%B9%D8%A7%D8%AF%D8%A7%D8%AA-%D9%85%D8%AD%D9%85%D8%AF-%D9%85%D9%87%D8%AF%D9%8A-%D8%A7%D9%84%D9%86%D8%B1%D8%A7%D9%82%D9%8A-%D8%AC-%D9%A3/%D8%A7%D9%84%D8%B5%D9%81%D8%AD%D8%A9_112) [Updated on 07-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey] Note: teen baap wala zikr hadees main aay hay quran main is qism ki koe ayat nahi hay.

Id: 16440
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Akhbari shia say that shiite books of ahadees are fully authentic and there is tawatur that present quran is not complete and complete real quran is with the holy twelfth imam?

Answer: 1: Pehle sawal ke jawab me tafseel hai is ke liye hum aap ko do link provide kar rahe hain aap in links ko visit karen https://ur.wikishia.net/view/%D8%AD%D8%AF%DB%8C%D8%AB_%D9%85%D8%AA%D9%88%D8%A7%D8%AA%D8%B1 https://ur.wikishia.net/view/%D8%AE%D8%A8%D8%B1_%D9%88%D8%A7%D8%AD%D8%AF 2: Baaz rawayat mein is baat ki tasreeh hui hai ke mushaf(مصحف) Ali(a.s) hazrat imam muntazir(a.s) ke paas mojood hai aur imam(a.s) zuhoor ke waqt is quran ko zahir karen ge. aur yeh wohi mushaf(مصحف) ho jis ke baray mein riwayaat bayan karti hain ke Imam muntazir(a.s) ke mushaf(مصحف) ki tarteeb mojooda quran ki tarteeb se allag hai aur Imam(a.s) logon ko is ki taleem denge. Mazeed tafseel janne ke liye darj zail link ko visit karen. http://quran.al-shia.org/urd/maqalat/tareekhe-quran.htm [Updated on 21-Mar-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17486
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Ilm hasil karo chahay tumhy cheen jana paray.. ye hadees kisi shia kitab mae nahi hay . barae meherbani aap ne jo refrence kisi k sawal id(10489) pr diay hain unki dobara tasdeeq kr lain.

Answer: Ye hadees mandarja zel kutub me maujood hai. عوالي اللئالي ج۴ ص۷۰ منیة المرید ج۱ ص۱۰۳ نوادر الأخبار ج۱ ص۱۷ بحار الأنوار ج۱ ص۱۷۷ بحار الأنوار ج۱ ص۱۸۰ بحار الأنوار ج۲ ص۳۲ بحار الأنوار ج۱۰۵ ص۱۵ مصباح الشريعة ج۱ ص۱۳ روضة الواعظین ج۱ ص۱۱ مشکاة الأنوار ج۱ ص۱۳۵ وسائل الشیعة ج۲۷ ص۲۷ العلم والحكمة في الكتاب والسنة ص٢٠٥ ميزان الحكمة ج۳ ص۲۰۷۰ [Updated on 08-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 20905
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: muje lagta hai app me say ksi nay b hadees nahi perhi k HAZRAT MUHAMMAD (S.A.W)ny skhti say mana farmay anal sex kane say yani pechay or ye b k jis na orat k pechay yani anal sex kiya to ALLHA us shaks ka chera dkhne ko tyar nahi yani wo haram he ya bat itni skthi say mana ki gai hai to app kse keh skte hen k agar bivi man jae to pir anal sex ker skte han?jb k ye bivi pe depend nahi kerta Allha nay haram kara diya hai

Answer:

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!