Question: Assalamalaikum..Marhoom ki tasveer ghar mai laga sakte kya ?
Answer: Jee han, Laga sakte hain. (Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #2, mafhoom e maslah #18. Tauzeeh ul masail, Mafhoom e Maslah #885). [Updated on 30-Aug-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salam . i wanna know that drawing faces are allowed or not
Answer: Tasweer ki 3 qismain hain. 1) Ze rooh maslan insan aur hewan ka moujasma banana. Ye mutlaqan ehtiyaat e wajib ki bina par Haram hai chahay mukammal ho ya naqis(incomplete). 2) Zee rooh (insan aur janwar) ki tasweer (painting) banana. Ye jaiz hai. 3) Gair e zee rooh (maslan darakht) ki tasweer (painting) banana. Ye mutlaqan jaiz hay chahay mujasma hi q na ho. (Ref: Minhaj ul Saleheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #2, maslah #18). [Updated on 04-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: kiya Musawari haram hai? Agar kisi ghair jandaar (cartoon ya fictional characters) ki drawing banai jae... Lekin mushabehat rakhta ho jandar se ya na b rakhta ho... Wasalam o Alaikum
Answer: Tasweer ki 3 qismain hain. 1) Zee rooh maslan insan aur hewan ka mujasma banana. Ye mutlaqan ehtiyaat e wajib ki bina par Haram hai chahay mukammal ho ya naqis(incomplete). 2) Zee rooh (insan aur janwar) ki tasweer (painting) banana. Ye jaiz hai. 3) Gair e zee rooh (maslan darakht wagera) ki tasweer (painting) banana. Ye mutlaqan jaiz hay chahay mujasma hi Q na ho. (Ref: Minhajul Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #2, maslah #18). [Updated on 25-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]