Question: Kya hum pyar kar sakte hain?
Answer: kisi bhi ghair ekhteri amal per shariat koi hukum nahi lagati laikin yaad rahey k shariat kisi bhi aisay irtebat ya mulaqaat ki ijazat nahi deti jo in’hain haram ki taraf le janey wala ho. (Mujthid se poushey gye sawalat part # 3, ques # 137, pg # 65) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Assalam-o-Alikum, Will You plz get me In Knowledge any Quranic Verse In Which chatting with Na-Mehram is Defined. Or any Qaul Of Any Imam (A.S) About talking with Na-Mehram.
Answer: If there is a fear that a girl or a boy may be drawn towards sin, it is not permissible. Normally chatting ends up in a sin for both sides.(Ref: http://sistani.org/index.php?p=616687&id=1151 ) Hadees #1: Aurton k saath mail joul or guftogo se perhaiz karo yaqinan koe merd khalwat(alone) main kisi na-mehram aurat k saath baat cheet nahi kerta hay magar ye keh os k dil main os aurat se rugbat paida ho jati hay (Ref: bahisth e khubaan pg398, mar,a,tun nisaa pg#141, jaded masail, part#2, pg#35). Hadees #2:na-mehram aurto se baat cheet kerna shaitan ki kumando(Lassos) main se aik hay.(Ref: mustadrak wasail, part#14, pg#273, jaded masail, part#1, pg#139) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: ge main ak larke se bht pyar karti hn par usk shadi hogi hai main srf itna chti hn ke wo bt kar lya kare please help me please
Answer: jins e mukhalif se dosti kerna aur baat cheet karna jaiz nhi q k ghuna me mubtila hone ka khof majood he. ( kitab nigah aur libas ques # 106 , pg # 69). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Janab maine pehle b question kia tha par mujhe jabab nai mila plz mujhe batai k mai shadi shuda hu kya mera facebook par chat karna sahi hai.
Answer: Larka larki ka baat/chat karna agar is ki wajah se fasaad ka khof ho to jaiz nahi he. Agar baat cheet hidayat aur saleh kalam par mushtamil ho jab ke haram mein perhrnay ka kauf bhi na ho to koi haraj nahi. (REF: A.Sistani, mujtahid se poochay gae sawalat, hisa 3, ques no: 139). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: assalamu alaikum sir roze ke darmiya apni girl friend se bat kar sakta hun,
Answer: jins e mukhalif sai chatting karnay mai jab fasad, burai aur ghunnah mai mubtila honay ka khof ho to jaiz nai hai. (Ref : Nigah aur libas sawal # 79 pg # 57) laikin is se roza batil nahe hota hai.( Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1553) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Assalamu alaikum... Kya facebook use karna haram hai? Kyun ke facebook par ladkiyon ki taswir wagaira dikhti hain...
Answer: Agar is k zerye se aap gunah main mubtalah ho rahay hoon agarchah kam kam hi Q nah ho, tu phir aap k liay is ka istemaal haram hay.(Ref: Email rcvd from A.Sistani d.b, dated:26-08-12). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Assalamoalaikum qibla ek larki muje like karti hai pehle maine use ignore kiya lkn us k bar bar contact karne ki waja se ab ma us se fb pe or mobile pe baat karta ho hum koi ghalat baat ni karte jese friends baat karte wese hi to kiya ye sahi hai ?
Answer: Agar is wajah se fasaad ka khof ho to jaiz nahi he. Agar baat cheet hidayat aur saleh kalam par mushtamil ho jab ke haram mein parnay ka kauf bhi na ho to koi haraj nahi. (REF: A.Sistani, mujtahid se poochay gae sawalat, hisa 3, ques no: 139. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Kya face book haram haii
Answer: ager thorha thorha ker hi sahi facebook k istamaal se haraam main mubtala hone ka koof ho to is ka istemaal karna jaiz nahi hai.(Ref : istiftataat from sistani.org).
Question: Kya na mehram sy chat krna theek hai plz jawab zaror dain
Answer: ager ye fasaad o buraae ka bais ho ya guhnaah main mubtala hone ka koof ho to jaiz nahi hai.(Ref : nigaah o libaas , question # 79 , pg # 58 , ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae).
Question: Mera rishta lg gya h.ek sal bad shadi h..kya main sirf phn pe bat kr skti hui.sirf khairyat k liyen..puri perhezgar se...plz rply main bhut bechain hun
Answer: Ager nikah ho gaya hai to kar sakti hain. (Ref:Ayatullah sistani, Minhajus Saliheen,Part#1, Maslah#30,eidition 1430 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).