Question: aulade farzand keliye dua
Answer: Agar kisi ka beta na hota ho to wo niyat karay k agar maira beta ho ga to os ka name ali rakhoon ga aisa karnay se Allah osay farzand ata karay ga. Phir ali name rakhay. (Ref : Kitab Payam e Shifa pg # 286) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: assalam alekum, meri shadi ho chuki hai. mera pehla bacha ma ke pait main hi alah ko piyara ho gaya, or dusra dunya main main aakar 1 month hospital main reh kar alah ko piyara ho gaya. kuch aisa wazifa batai ki hamara third baccha hamare sath rahi.
Answer: Haamla auratoon k liay bahi(quince) ka istemal bohat faida mand he. Bahi ka murabba zamana e hamal me istemal karnay se hamal girnay ka khatra door ho jata he. (ref : kitab tib e nabi akram (s.a.w.) pg # 93 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: meri shadi ke char mahine baad mujhe koi aulad nahi hai hum aur hamare shauhar aulad chahte hai pls koi wazifa bataye ye
Answer: 1. Agar koe shakhs laa aualad ho un k aulad nah hoti ho aur agar wo chahta ho k is ko naik aur aziz aulad ata ho to is k liay chahiay k wo mussalsal 3 din roza rakhay aur har raat sonay se pahley 21 bar surah e al furqaan ki ayat no 74 ko parhey. Aur Allaha say apni haajat talab karay aur so jaayy. Har mahinay(month) me aik bar kar lia jaay. (ref : kitab naeem ul aamal pg #331). 2. Dua e tawassul ko her waqt perh saktay hain,laikin kisi khaas maqsad k liay is dua ko musalsal 14 dino tak rozana namaz e fajar k baad aik 2 rakat namaz e hajaat ada kernay k baad perh ker dua maangain. insha allah parvadigar aap k haq me jo behtar hoga wo karega .(Ref: Naeem ul aamaal pg# 40-41) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: meri shadi ko 2 saal ho gey or ulad nahi hey is k leay koi dua ya wazefa jo sirf larki per sakey
Answer: 1. Sheikh bahai farmatay hein jis aurat ko hamal na hota ho ye ayat haroof e mo’qat’te’aat likh kar aurat k pahlu me bandhein hamila ho jay gi. Sheikh bahai farmatay hein k me ne ye ayat 900 auratoon ko likh kar de sab hamila ho gi. surah e ra’ead ayat # 31 (wa lou an’na . . . . . . . .jamee’un) (Ref : Kitab Payam e Shifa pg # 283) 2. Agar baangh aurat 7 roz rozay rakhay aur pani se iftar karnay k bad 21 martaba (Ya baa’ri’o) parhay to inshallaha osi aulad e narina naseeb ho gi. (ref : kitab naway salaheen pg # 330) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: janab hum 5 months sey try ker rhay hy ulad ky liye, mgr abhui tak kamaayab nahi hwey, mein already kuch wazaif perh rai hun, please mujhy kuch or bhi suggest kijye
Answer: 1. Sheikh bahai farmatay hein jis aurat ko hamal na hota ho ye ayat haroof e mo’qat’te’aat likh kar aurat k pahlu me bandhein hamila ho jay gi. Sheikh bahai farmatay hein k me ne ye ayat 900 auratoon ko likh kar de sab hamila ho gi. surah e ra’ead ayat # 31 (wa lou an’na . . . . . . . .jamee’un) (Ref : Kitab Payam e Shifa pg # 283) 2. Agar baangh aurat 7 roz rozay rakhay aur 21 martaba (Ya mo’saw’vi’roo) parh kar iftar karay to inshallaha osi aulad e narina naseeb ho gi. (ref : kitab naway salaheen pg # 330) 3. Dua e tawassul ko her waqt perh saktay hain,laikin kisi khaas maqsad k liay is dua ko musalsal 14 dino tak rozana namaz e fajar k baad aik 2 rakat namaz e hajaat ada kernay k baad perh ker dua maangain. insha allah parvadigar aap k haq me jo behtar hoga wo karega .(Ref: Naeem ul aamaal pg# 40-41) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: salam, mujy allah ki taraf se aik baita ata hua hai,main ab aur aulad chati hn,laikin main pregnant nahi ho pah rahi,ap koi wazeefa bata daien.allah ap ko khush rakhey aur sab ki aulad ki khawahish porey karey.ameen
Answer: Baray talab e aulad har namaz k bad 11 martaba surah furqan ki ayat # 74 (Rab’ba’na hab lana . . . . . . . ei’ma’ma) ko parhay to nemat e farzand se sar faraz hon gay. (ref : kitab naway salaheen pg # 400) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: mari shadi ko 8 saal ho gay hain .abi tak hulad ke namat se maroom hon.plz muja koi wazafa bata dain.
Answer: Agar koe shakhs laa aualad ho un k aulad nah hoti ho aur agar wo chahta ho k is ko naik aur aziz aulad ata ho to is k liay chahiay k wo mussalsal 3 din roza rakhay aur har raat sonay se pahley 21 bar surah e al furqaan ki ayat no 74 ko parhey. Aur Allaha say apni haajat talab karay aur so jaayy. Har mahinay(month) me aik bar kar lia jaay. (ref : kitab naeem ul aamal pg #331). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: mari shadi ko 8 saal ho gay hain .abi tak hulad ke namat se maroom hon.plz muja koi wazafa bata dain.
Answer: Agar koe shakhs laa aualad ho un k aulad nah hoti ho aur agar wo chahta ho k is ko naik aur aziz aulad ata ho to is k liay chahiay k wo mussalsal 3 din roza rakhay aur har raat sonay se pahley 21 bar surah e al furqaan ki ayat no 74 ko parhey. Aur Allaha say apni haajat talab karay aur so jaayy. Har mahinay(month) me aik bar kar lia jaay. (ref : kitab naeem ul aamal pg #331). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: slam,mera ap sy swal hai k bv k sath kitni dafa hambistargi kny sy bucha paida hota hai?
Answer: Note : Aap ka kaam koshish karna he aur khuda ki marzi he wo kab aap ko aulaad ki neemat ata farmaye. Albetta is k lie aap ko wazifay ki taraf mutawajeh kia jata he. Aulad k lie : 1. Agar koe shakhs laa aualad ho un k aulad nah hoti ho aur agar wo chahta ho k is ko naik aur aziz aulad ata ho to is k liay chahiay k wo mussalsal 3 din roza rakhay aur har raat sonay se pahley 21 bar surah e al furqaan ki ayat no 74 ko parhey. Aur Allaha say apni haajat talab karay aur so jaayy. Har mahinay(month) me aik bar kar lia jaay. (ref : kitab naeem ul aamal pg #331). 2. Dua e tawassul ko her waqt perh saktay hain,laikin kisi khaas maqsad k liay is dua ko musalsal 14 dino tak rozana namaz e fajar k baad aik 2 rakat namaz e hajaat ada kernay k baad perh ker dua maangain. insha allah parvadigar aap k haq me jo behtar hoga wo karega .(Ref: Naeem ul aamaal pg# 40-41) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: salaam. meri 3 betiyan hain allah ka sukar ha aur ab mien phir sa pregnant hon aur mien cehti hon allah mujhay betay ki khushi naseeb keray plz help me>?
Answer: Baray talab e aulad har namaz k bad 11 martaba surah furqan ki ayat # 74 (Rab’ba’na hab lana . . . . . . . ei’ma’ma) ko parhay to nemat e farzand se sar faraz ho ga. (ref : kitab naway salaheen pg # 400) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)