Question: Asalaam agha mei apse yeh batana chahata hun mei saudi jane wala hun isi hafte mei mera medical bhi fit hai moula k karam se lekin 2din se vomiting ho rahi hai woh blood ki koi dua ki guzarish karta hun apse jald se jald mujhe bata dijiye
Answer: Wassalam o alykum, Sura e Yaseen ko likh kar is ka pani pi-lain. (Ref : payaam e Shifa , topic # fazaail e Sura e Yaseen , pg # 70 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: main 17 saal ki hun mera weight 112 hai pllzz mujhe koi tareeka batayen k 1 month mai atleast 10 - 20 kg lose karun yaan koi dua.. :(
Answer: 1 Pakay hoay lemoo(Lemons) k ras main shehed(honey) mila ker chaatnay se motapay se nijaat milti hay. 2- pakay hoay lemoo(Lemons) ka ras 2 1/2 tolay or shehed(honey) 20 tola lay ker thorhay se garam pani main milain. Khana khanay k fauran baad ye pani peenay se 1, 2 maah(month) main motapay(fatness) se nijaat mil jati hay. 3- Tulsi k patay aisay hi chaba lain ya inhain chaach main mila ker khanay se wazan(weight) kam hota hay, jism main charbi(fats) kam hoti hay or jism mutanasib hota hay. 4- Neem garam pani(half boiled) main shehed(honey) mila ker subah nihaar moonh peenay se charbi(fats) main kami hoti hay. Haathi jaisa aadmi bhi is ilaaj se dubla ho jaata hay. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Question: slam sir mainy yh puchna h k mje matres foam khany ki bhth adat h yh adat bchpan sy h jo abi tk gai ni matres k choty piece kr lti hun sara din choos kr phnkh dti hun plz mje is sy chutkhara btae or is k nuqsan bhi btae
Answer: Please doctor se ruju karain. [Updated on 15-Jul-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: ASALAM ALEKUM.SIR, mera swal ye hai ki mera umer 41 saal hai aor mera bive ke shat humbestry ka timing bohot kam jis ki waja se mere bive hamesha muj se naraz hoty hai.plz koi hal batay.
Answer: Damiana Pentarkan Germany ki homeopathic medicine hay or is k koe side effect nahi hain. Aap tamaam jinsi amraaz se nijaat hasil karne k liay Mektum homeo Phrama k medicine T49 bhi istemal kar sakte hain. ye medicine bhi bohot mufeed hay. (Ref: http://www.hmlinks.com/mektum/product.php). [Updated on 18-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Meri umar 17 saal hai.mein mutt marta tha. 2 din se chor dya hai.abhi mera lan karah nahi hota sahi tareke se.pehle jab mere zehan khyal bhi ata tha toh lan karha ho jatata.ab porn dekne se bhi kuch khaas asar nahi hota.
Answer: Homoeopathic Medicine damiana pentarkan drops(Made in Germany Dr. willmar schwabe karlsruhe) subah, dopeher, raat 10 qatray aik ghoont pani main daal ker istemaal karain insha allah jald hi tamaam jinsi bimariyan khatam ho jay gi. [Updated on 18-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mera dost 20 din sy zada hogaye bimar hy treatment bh horhi hy. Kia koi dua bata skte hein jsssy wo theek hjye. Bhtri arhi hy lkn sahi sy bat nh ho parhi k ussy puchu k kia kafyt hy uski kia ao koi dua bata skte hein jssy wo jl seht yaab hjye..
Answer: Hazrat Imam jaffer Sadiq a.s. ka irshad hai k Jo shaks “ لا حول ولا قوۃ الا باللہ العلی العظیم ” parhay to khuda is sai 70 qism ki beemarian door kar deta hai. (Ref : Kitab payam e shifa pg # 210) Sorah e yaseen ki ayat#58 ko 319 mertaba tilawat karain, insha Allah bemaar ki shifa hasil hogi.(Ref: Naeemul amaal, Mafhoom e pg#313). [Updated on 20-Jun-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Opration wali ka normal hosakta ha ya ni
Answer: Opration wali aurat ke ha normal delevery hosakta ha ya ni is silsele me aap docter se ruju kare or aap is wazife pe amal karsakte hai. Rasool Allah(s.a.w.w) se marvi Hadees ke mutabiq Surah e Zariyaat (Surah #51) ko likh kar bandh lain.(Ref: Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal, #95, pg #100). [Updated on 25-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: sir kya sirf paon mai jalan hoti ho or bhok ya piyas ta pashab ziada na ata ho to sugar h ya phr garmi ki waja sy jalan
Answer: is silsile me aap docter se raabta kare. [Updated on 23-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Meri Ami icu mi admit hai covid-19 positive tha, namoniya hogya hai lungs mi abhi wo ventilator par Jane wali hai?? Please guide
Answer: 1)Hazrat Rasool S.A.W.W. k irshad hay k : Bimar apna ilaj sadqa dainay say karay. (Ref : Naway e salaheen pg # 309) 2)Tamaam bemario sy shifa k leay agar mareez k kaan main surah e mominoon surah # 23 ayat #115 to 118 parhi jaey tou hr qisam ki bemari khtm hojaegi.(Ref : book payam-e-shifa pg # 214)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Aoa Sir 2 din pesaab kaafi zayda a rha ha or jab kar chukta hon tou uske bad katre nikalte hain Or kabhi kabhi kirkaraht b mehsos hoti hay.
Answer: Akhrot ka har roz khana peshab ke qatray qatray aanay wali beemari ke liye faiday mand hai.(Ref: Kitab Makhzan e Amaliat, pg #79) or aap is silsele me docter se bhe raabta karsakte hay . [Updated on 06-Apr-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]