Question: Assalam-o-Alaikum I want to know about Health Insurance. (I'M on Taqleed with Agha Sistani) 92-312-3180123
Answer: Insurance kerwana jaiz hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #32-40, pg#454-5). Update on dated 09-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Salam,sar mera sawal ha k log jo insurances karwaty hn main ne suna tha ye haram hoti ha lekin yahan aik alima ne kaha ha k ye haram nai hoti ap is bary main kya kahty hn ye haram ha k nai is k bary main b detail sy bataiye
Answer: Insurance kerwana jaiz hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #32-40, pg#454-5). Update on dated 09-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Kya insurance company me job krna jaiz hai?
Answer: Insurance company main job kerna jaiz hay or is kaam ki salary jaiz hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #32-40, pg#454-5). Update on dated 16-02-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Assalam o Alaikum sir mujheye maloom karna hay k insurance company me kaam karna jaiz hay ya nahi
Answer: Insurance company main job kerna jaiz hay or is kaam ki salary jaiz hay. (Ref: Ayat ullah seestani d b tauzee hul masael edition#41, mafhoom e maslah#32, 40 pg 454) [Updated on 01-Jul-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mn life insurance policy k hawale se ap se puchna chahti hn k policy leskte hn aur usk kuch masail wagera hn tu please mjhe tafseel se byan krden Shukriya
Answer: 1-Insurance company main job kerna jaiz hay or is kaam ki salary jaiz hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #32-40, pg#454-5). 2-Insurance kerwana jaiz hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #32-40, pg#454-5). [Updated on 06-Oct-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Bacho ki taleem k liye insurance karwana thek hy ya nahi. Or bank ki nokri jaiz hy?
Answer: 1: Insurance karwana jaiz hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzee hul masael, Edition #42, Mafhoom e Maslah #32-40, pg#454,455). 2: Bank ke kaam 2 tarah ke hote hain: 1) Bank ke haram kaam ,maslan jo sodi muaamlaat se talluq rakhte hain un k shuru karne me kise ki numaandaghi karna, un ki rejisteri karna, un ka ghawa banna aur sodi qarz lene wale se sood wusool karna. aise hi wo kaam jo digar sodi muaamlaat me sharakat ki bina per is se munsalik hain ya sharaab ka karobaar kar rahe hain maslan un ke shares baichna ya un ko wusat dene k liye taawun karna haram kaamo me shumaar hote hain. ye tamaam kaam haram hain aur is shuabe(department) me job karna jaiz nahin hai aur is shuabe(department) me job karne wala ujrat lene ka mustahiq nahin hai. 2) Bank k jaiz kaam ye upper biyaan kiye gaye kaamo k ilawa hain in ko anjaam dena aur in per ujrat lena jaiz hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeehul masail, edition #42, pg #453). [Updated on 27-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Asslam-o-alikum mohtramm mera question ye he ke jesa k me ne youtube me mukhtalif aalim islam se suna he un k nazdek ye 2 shrait he k 1 agar aap muslim country me ho to government ka qanon he k is organization me job ki shart he k insurance must he to koi bat nahi. 2 agar aap non muslim country me ho to non muslim company se insurance jis se muslim ko faida pohanche to ye kam jaiz he other wise ye jaiz nahi to mera main question he k aap ko thos or pukhta sa jwab de ta k me is mushkill se nikal saku or baki log bhi nikal sake.
Answer:
Question: assalam-o-alikum.. main aik private insurance company k lie appiont hoi hn as a sales officer. kia insurance sale krna or kharedna jayiz hai? main after appoint bht pareshan hn mukhtalif logon ki mukhtalif raaye say. ap plz mairi rehnumayi krain,JAZAK ALLAH-O-KHAIRAA
Answer: