Question: what is radd e mzalim?n when it bcomes wajib??
Answer: sher’e layhaaz se agar aap k zimmay kisi ka maal ho or oska ya os k wariseen or jaannay walo ka koe at pta(address) maloom nah ho ta keh aap os ka maal osay lauta sakain tu os maalik ki taraf se kisi faqeer ko sadqa kernay ko radday mazalim kehtay hain. Or ehtiyaat e wajib ki bina per radday mazalim ada kernay se pehlay mujtahid se ijazat laina bhi zarori hay. http://sistani.org/local.php?modules=nav&nid=5&cid=1125 ). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Assalamoalaikum!! Mera sawal ye hai Ke agar koi ap ko bad dua de jis ke sath ap ne zulam kiya ho aur uski bad dua lag jaaye tou kitnay arsay tak uski bad dua ka asar rehta ha . Koi khaas muddat tak asar rehta ha ya hamesha ke liye rehta.
Answer: wassalam o alykum, ager ap us se muaafi maang lain jis per zulum kiya hai to INSHALLAH wo asar katam ho gaae ga.(Ref : nawaa e saleheen , pg # 215 , ALLAH tofiqaat main izafa farmmae).
Question: while travelling mjh se gltii se ek bike waly ka handle se takra gya ar wo gir gya mne rukna chaha pr ruka nh gya mjh se uska nuqsaan ho gya is ki maafi kya hogi
Answer: Agar os tak pohachna mumkin ho tu os se maafi maangi jaey or os ka nuqsan poora kia jaey, or agar mumkin nah ho tu nuqsan ka andaza laga kar radd e mazalim ada karain.(Ref: https://www.sistani.org/urdu/qa/01807/)[Updated on 21-Mar-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agr m ny kisi ki rakum li ho r bad m wo mur jay ya kaheen ghaib ho jay mjhy usja ya usky ky relatives ka pata na chuly r wo ghalut muslim ho tau m kia krun?
Answer: Sharaei lihaaz se agar aap k zimmay kisi ka maal ho or oska ya os k wariseen or jaannay walo ka koe ata pta(address) maloom nah ho ta keh aap os ka maal osay lauta sakain tu os maalik ki taraf se kisi faqeer ko sadqa kernay ko radday mazalim kehtay hain. Zaroori hay k radd e mazalim aise 12 imami shia gareeb ko diya jaey jo deendaar ho Or ehtiyaat e wajib ki bina per radday mazalim ada kernay se pehlay mujtahid se ijazat laina bhi zarori hay. (Ref: http://sistani.org/local.php?modules=nav&nid=5&cid=1125 ). (Ref: http://www.sistani.org/arabic/qa/0481/ ). [Updated on 26-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mery ps kisi ki koi amant thi 5 saal phly lekin ma wapis krna bhool gya , mujy ab yd aya hy lekin ab uska malik nahi mil rha mujy ab kia krna chy?
Answer: (Note: Aap us amanat ko radde mazalim ke taur par mujtahid se ijazat le kar kisi faqeer ko sadqa kar sakte hain). Q ke sharaei lihaaz se agar kisi k zimmay kisi ka maal ho or oska ya os k wariseen or jaannay walo ka koe ata pta(address) maloom nah ho ta keh wo os ka maal osay lauta sake tu os maalik ki taraf se kisi faqeer ko sadqa kernay ko radday mazalim kehtay hain. Or ehtiyaat e wajib ki bina per radday mazalim ada kernay se pehlay mujtahid se ijazat laina bhi zaroori hay. (Ref: https://www.sistani.org/urdu/qa/01807/). [Updated on 09-Jun-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agar haram khamaya ho tu uski wapsi jaiz hai ya sirf tobah karna kafi hai
Answer: Donon cheezen anjam deni hain Q ke khud Tauba or Istighfaar main 6 batain shamil hain un me se aik ye ke logon ka jo haq aap par baaqi hay us ko ada karna (maslan kisi ka maal ya haq, jo nahaq khaya tha {ya haram khaya tha} to us say maafi maangna ya us ka haq ada karna). Dosri baat ye ke sharaei lihaaz se agar kisi k zimmay kisi ka maal ho or oska ya os k wariseen or jaannay walo ka koe ata pta(address) maloom nah ho ta keh wo os ka maal osay lauta sake tu os maalik ki taraf se kisi faqeer ko sadqa kernay ko radday mazalim kehtay hain. Or ehtiyaat e wajib ki bina per radday mazalim ada kernay se pehlay mujtahid (ya us ke wakeel) se ijazat laina bhi zaroori hay. 2: Tauba or Istighfaar main 6 batain shamil hain: 1. Maazi (past) ke gunah par shamindagi. 2. Aaindah (in future) gunah nah karnay ka masboot iradah. 3. logon ka jo haq aap par baaqi hay us ko ada karna (maslan kisi ka maal ya haq, jo nahaq khaya tha {ya haram khaya tha} to us say maafi maangna ya us ka haq ada karna). 4. Jin wajibaat ko ada nahin kiya us ko ada karna (maslan namaz roza ko agar ada nahin kiya tha to us ki qaza bja laana). 5. Jo ghosht maal e haram say jism main paidah hua ho us ko gham o ranj say pighla daina yahaan tak ke naya ghosht paidah ho. 6. Jism ko waisay hi ibadat ka mazah chakhana jis tarah us ko gunah say maza chakhaya tha. (Ref: https://www.sistani.org/urdu/qa/01807/ . + Nehjul balaghah, kalimaat e hikmaat #417). [Updated on 13-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalamualaikum maine takreeban 2mahine pehle apne ghar se gold gayab kiya tha jiise me bhut sharminda aur gunhegaar hu hazrat koi ilaj btaye ki mai maulana sahab ke dua tabeez se bach jau
Answer: Aap khuda ki bargah main sachay dil se Tauba-o-Istighfaar karain aur jin logon ka jo haq aap par baaqi hai us ko ada karain. maslan jin logon ka maal ya haq, nahaq taaur par khaya tha to us se maafi maangain (or un se us maal ka istemaal halaal karaae )ya us ka haq ada karain ya agar wo log nahin mil rahe or un ke Milne se mayoos hoghe ho to un ( Malik ) ki janib se radde mazalm ada karain Yani mujtahid ki ijazat se itna maal ,Malik ki traf se kise shia ,deendaar faqeer ko sadaqa kare . (Ref: Nehjul balaghah, kalimaat e hikmaat #417,sistani.org ,Urdu,topic:rad e mazalim). [Updated on 16-Dec-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salam Agr koi ghalti karay koi ghareeb ho aap ke gari ka qeemti cheez ko nuqsan ho jye us ghalti sy or aap usy 3 chammat marain to is ma maafi kesy milay ge q ky wo banda ab mil nh rha ky us sy maafi mangi jye
Answer: 1: Us ne jo aap ki ghari ka nuqsaan kiya tha wo use bharna parega. Albatta kisi maarna jaiz nahin hai aur agar koi kisi ko thappar maar de to is se diyat wajib ho jati hai, jo ke jis shakhs ko thappar maara gaya tha use ada karna wajib hai. agar chehra surkh ho jaye to is ki diyat, derh dinar sharai hai aur badan mein is ka aadha hai, aur agar chehra kabood ho jaye to is ki diyat, chay dinar sharai hai, aur badan mein is ka aadha hai. Har dinar Muadil (5/3 garam ) sona hai, aur ehtihyat e wajib ki bina par sonay ke alawa koi aur cheez dena kaafi nahin hai, Haan is ki qeemat daryaft karne ke liye musalehat kar satke hain. 2: Jis shakhs par kisi ka maal ya paise ke zimme hon to zaroori hay ke un Tak pouchaye or agar aap un louqo ke talaash karne se mayoos ho jaye to un paison ko radde mazalim ke taur par ehteyaate wajib ki Bina par mujtahid (ya us ke wakeel) se ijazat le kar kisi (Deen daar) faqeer (Jo 12 imamo ko maanta ho, namazein or dosere wajib anjaam Deta ho, or ghunahon se ijtenaab karta ho) us ko sadqa Dena zaroori hay hai Q ke sharaei lihaaz se agar kisi k zimmay kisi ka maal ho or oska ya os k wariseen or jaannay walo ka koe ata pta(address) maloom nah ho ta keh wo os ka maal osay lauta sake tu os maalik ki taraf se kisi faqeer ko sadqa kernay ko radday mazalim kehtay hain. Or ehtiyaat e wajib ki bina per radday mazalim ada kernay se pehlay mujtahid se ijazat laina bhi zaroori hay. (Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #1, Edition #1443, Maslah #30. + Link: https://www.sistani.org/urdu/qa/17862/ ). [Updated on 09-Jan-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mene paise chori kiye apni zarorat ke liye. Jas k pasia chori kiya thy Nai pata Kon ha or Wo Kaha ha. Ab muj ko apni galti par nadamat ho rahi ha k mea ny Asa q kiya. Dill par ak booj ha. ab mera kafara ada kaise hoga. Ap mari madat Kary ta k Mary dill ka booj kam ho Jay.
Answer:
Question: If unintentionally I caused wrong to someone, like pushed someone in the crowd or picked up somebody's stationary, all unintentionally and unknowingly, and I don't know them so that I can go and ask for their forgiveness; should I give Rad-e-Mazalim to repent for those sins?
Answer: