Question: salam walaykum, kia hum apna mazhab chupa sakte he, is bat ka dar ho ke batane se jina mahal hojay
Answer: Jan bachanay ki khatir apnay mazhab ko chupa sakhtay hein.(ref : www.sistani.org ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye
Question: kiya un ilaqun may jahan jan ka khtarar wahan be saheh auqat may nimaz kesay parreen gay (how is it possible to pray nimaz in places where shia is considered kafir during journey)
Answer: Prayer is invalid.(Ref:Email Rcvd from A.Sistani(d.b), dated:13.03.12) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye) Translation: aap ki anamz batil hay.(Ref:Email Rcvd from A.Sistani(d.b), dated:13.03.12) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye) Note: taqayye ki sorat main bhi waqt se pehlay perhi gae namazin batil shumaar hoti hain.laihaza agar aap ko apni jaan or maal ka khoof hu to aap on k saath baghair namaz ki niyat k kharay ho ker on ki daikha daikhi namaz ki naqal kartay rahain or waqt dakhil hone k baad dobara apni namaz ko perhain. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: me sudan me kam karta hu mere kamre me 7 log rahte he me jaha namaj padhta hu uske peeche hindu ke but ke tasveer he kya me waha namaj padh sakta hu
Answer: 1-Kisi jandar k photo ya mujasmay k samnay namaz makrooh hay magar ye k usay kisi kapray wagira say dhanp lia jay to makrooh nahi hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 885). 2-jis jagah jandaar ka photo ho wahan namaz perhna makhrooh hay, chahay wo namaz perhne walay k saamne nah ho. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 885). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: A.o a sir sawal ye hy k main saudi arab main rehta hu kaya main hath band k nemaz phr sakta hu
Answer: Agar taqayyah ki wajah se hath bandhna parhain tu koe haraj nahi. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1117). Update on dated 16-12-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: AS SALAM U ALIKUM. Mera swal ye he ke kiya taqaiyya abhi bhi jaiz he? Or mai convert hua hun toh mere ghar walon ko ye bat manzoor nhi toh kiya mai taqaiyya ikhtiyaar kar sakta hun?
Answer: 1) Namaz me majbori ya taqayya ki waja se hath per hath rakna aur aameen kehna jaiz hai. ( Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1117) 2) Jo shaks majboori ya taqayya ki halat me roza iftaar karay os k liay in rozo ki qaza karna zarori hai. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1659) (Note: Taqayya os sorat main kia jata hay jab insaan ki jaan o maal ko khatray ka imkaan ho, aur agar is tarh ka mamla nahin hai to Taqayya nahin kar saktay ya sirf sharmindagi se bachne k liay roza waqt se pehlay khoolna ya namaz ehlay sunnat ki tariqay k mutabiq perhna durust nahi.) [Updated on 27-Nov-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalamun Alehkum Janab Mai Saudi Arab me ek company me kaam karta hun Jisme sabhi log Ahle sunnat hai mujhe unke saat hi namaz padhni padti hai or Roza bhi unke saat kholna padta hai agar mai unke saat roza na kholun to unhe shaq ho jayega ki mai Shia hun please meri help kare or mujhe bataye kya meri namaz or Roza sahi hai
Answer: