Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 851
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: salam what is the effect of eclipse on a pregnant woman. is there any affect on the baby if she goes out or eat sth.is she only allowed to lie down for the whole time of eclippse. wht does islam says bout it

Answer: 1)The sun and moon eclipse have no affect on pregnant women. (Ref: Email rcvd from, http://alsistani.org/a, dated: Nov 6, 2011).2) Namaz-e-Ayaat becomes obligatory due the following four things: 1:Solar Eclipse 2:Lunar Eclipse The prayer becomes Wajib even if the moon or the sun are partially eclipsed, and even if they do not engender any fear. 3:Earthquake, as an obligatory precaution, even if no one is frightened. 4:Thunder and lightning, red and black cyclone and other similar celestial phenomena, which frightens most of the people; similarly for the terrestrial events like receding sea water, or falling mountains which engender fear in these circumstances, as per recommended precaution, Namaz-e-Ayaat be offered. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1472) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 3003
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: chand girahan ka hamila khawateen per asrat ki aslam main kia haqeeqat hai. kia yeh bat shariat se sabat hai?

Answer: Chand girhan or soraj girhan ka hamilah aurat par koe asr nahi hota. (Ref: Email rcvd from, http://alsistani.org/a, dated: Nov 6, 2011). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 3004
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Chandgrahan k waqth ki dua

Answer: chaad ghirin k waqt namaz e ayaat perhna waajib hai koe bhi dua perhna wajib nahe . (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1472) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 3011
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Paregnant aurat ko chandargarhan dekhne se koi nukshan hai kiya ?

Answer: Chand girhan or soraj girhan ka hamilah aurat par koe asr nahi hota. (Ref: Email rcvd from, http://alsistani.org/a, dated: Nov 6, 2011).

Id: 4076
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Meray dost nai bataya k kuch mahinay pehlay suraj aur chand ko gahan(eclips) laga tha magar wo nhi janta k in ko mukammal gahan laga tha ya juzvi tour par, to kia abhi mujh par in ki qaza karna lazim ho gi jab k mujhay is baray mai abhi maloom hua hai?

Answer: In namazoo ki qaza is waqt wajib hua karti hai jab mukammal gahan laga ho aur juzvi tour par gahan ki surat mai qaza wajib nhi hai aur is baray mai justiju aur koshish karna wajib nhi hai. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 1, sawaal # 36, pg # 33) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 4608
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: KIA ISLAM ME QAMAR DAR AQRAB KA CONCEPT HY?AKSAR ORTAIN KEHTI HAEN KEH NEW LIBAS NA PEHNO?KOI NEW KAM NA KARO..PLZ REPLY I AM VERY CONFUSED,,

Answer: Qamar dar aqrab mai faqat nikah krna makrooh hai baqi koi kaam mana nahi hai(Ref : email received from sistani.org)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 7426
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: shia mazhab ma chand girhan ki haqeqat.MOLA ka farman

Answer: Hazrat Imaam Ali ibn e Hussain (a.s) se marvi riwayat ka mafhoom hai ke chand, soraj or sitare falak per mojood hain, jo (falak) samandar main hai, jis (falak) main un (chand, soraj, sitare) ke teherne k raaste muayyan hain, falak per Allah Taala ne aik ese farishte ko muwakkil kiya hai jis k tehet 70,000 malaika hain, or ye in ko in ke muqarar karda raaste per chalate hain, pas jab bando ke gunah ziyada ho jate hain or Allah Taala chahta hai k in ko tanbeeh kare to in farishto ko in ki maqarar harkat se tabdili ka hokum sadir karta hai jis k natije main chand (chand gerhan main) or suraj (suraj gerhan main) samandar main chala jata hai or in ki roshni maand phar jati hai or suraj o chand gerhan waaqe hota hai. (Ref: Man la yaahzuro ho al-faqeeh , jild # 1 , baab # kusoof o zalzala o siyaah aandhi ki namaaz or is ka sabab , riwayat # 1506 , pg # 342 , ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae).

Id: 21167
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: sir kia chand grehin ki waja say hamal ger sakta hay. Meri bivi ka hamal 2 month k bad zaya hogaya. Or jis din zaya howa osi din chand grehn ta . Or sir may kitnay dino bad dobara olad k liye jima kar sakta ho.hamal k doran kia ehtiyat karna zarori hay. Ap k jawab ka muntazir .

Answer:

Id: 22926
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: Q: Kya Islam Men Chand Girhan/Sooraj Girhn Ke Mutaliq Koi Baat Ai Hai Ya Ahdees Ya Riwayton Men Hai Ke Chand Girhn Ya Sooraj Girhn Ke Asar Insano Par Hote Hain Or Us Din Men Hamila Ort Ko Koi Kaam Nai Karna Chahye Jesa Ke Aaj Kal Jantri Men Ye Likha Hota Hai Leken Koi Masoom Ka Qol Mubarak Nai Dete Ye aap BAtae Kiya Deen Men Waqie Ye Hai Ahadees Men Aya Hai Asar Hota Hai?

Answer:

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!