Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 14794
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya makhroo e shadid, kharahat wale kaam karne se guna huta hai kiya?

Answer: Jee nahin, is ke anjam dene se koi gunah nahin hota lekin in ka anjam na dena behtar hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, pg #493). [Updated on 09-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14842
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Makrooh or haram mai faraq

Answer: Har wo amal jis ka tark karna shariyat ki nazar me zaroori ho us ko haram kehtay hain. Jabkeh Makrooh yani na-pasandidah, yani wo kaam jis ka anjam dena haram na ho laikin anjam na dena behtar ho. Albatta is k anjam denay main koi gunah nahin hota hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, Fiqhi Istelahat, pg #488,493). [Updated on 28-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 14885
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Asalam-u-eliakum My qestion is what the differnce between sunnat farz and nawafil

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). Fiqh e jafferiya ke mutabiq Sunnat or nafil namaz main koi farq nahin hai, (yani jo sunnat hai wohi nafil hai aur jo nafil hai wohi sunnat hai) aur inhi ko mustahab namaz bhi kaha jata hai. mustahab ya sunnat ka matlab ye hay ke pasandeda .jo cheez (allah )ko pasand ho laikin ise wajib qaraar na de .har wo hukum jis ko karne me sawaab ho laikin tarak karne me gunah na ho. or wajib ( ya farz ) ka matlab ye hay ke har wo amal jis anjaam dena shareeat ki nigaah men farz( yani zarore ) ho (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #7527& pg no: 479). [Updated on 15-Apr-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15476
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Jab larka baligh ho jaye to us kia krna paregha

Answer: Insaan ke andar khaas sharaait aur khususiyaat paayei jane ke baad ( yani insaan ke baliq or aaqil hojane ke baad ) laazim hai ke ahkaam e ilaahi aur qawaaneen e ilaahi ki peravi karay. Un sharaait ko sharaait e talkeef kaha jata hai aur agar us men se koi aik shart na ho to Insaan mukallaf nahin hota. Un sharaait men se aik shart Baaligh hona hai. Ye Baaligh hona wo mubarak haalat hai ke Insaan is ke saaye men ye shaaistagi paida karta hai ke khilaab e ilaahi us ki taraf mutawajjah ho aur khuda e mutaal ke dastooraat aur faraameen us par wajib hon aur in umoor ka anjaam dena jis se mana kiya gaya hai us par haraam ho aur apne deeni wazaaif ko anjaam dene ke zariye khuda e mutaal se taqarrub haasil karay aur bandagi aur tasleem ke imtehaan men sarfraaz aur sar buland ho.( maslan wo namaaz perhe, ramzaan ke roze rakhe ,agar us ke maal me khums wajib hota tu khums de or jo haraam hay jise jhoote boolna , momin ki keebat wagira (Ref: Tauzeeh ul masail jaame (farsi), Ayatullah Sistani(d.b), part #1, edition #1443, page #39,40). [Updated on 11-Jun-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17115
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Wajib aur farq Mai KYa frq hai?

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). Fiqh e jafferiya men wajib aur farz dono ka matlab aik hi hai yani wajib aur farz har wo amal hota hay jis ka anjaam daina shariyat/islam ki nigah me zaroori aur laazimi ho. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, pg #494. + link: https://article.tebyan.net/265836/%D9%85%D8%B9%D9%86%D8%A7%DB%8C-%D9%81%D8%B1%D8%B6-%D9%88-%D9%88%D8%A7%D8%AC%D8%A8-%DA%86%DB%8C%D8%B3%D8%AA- ). [Updated on 23-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 19399
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Yahan Ahtiyat e wajib ka kiya mtlb hai?

Answer: Ehtiyat e wajib se muraad ye hai ke 'wo hukum jo ehtiyat ke mutabiq ho aur faqeeh ne us ke sath fatwa na diya ho. aise masaail me muqallid ( taqleed karne wala ) us mujtahid ki taqleed kar sakta hai jo aalam ( yani wo mujtahid jo apne zamane ke dosere mujtahideen se allah ke hukum ko samagene ki ziyada salaheyat rakhta ho ke ) [yani Ehtiyat e wajib me muqallid ke liye zaroori hai ke ya to is ehtiyat par amal kare ya is maslah me aalam fal-aalam ka khayal rakhte hue dusre mujtahid ki janib ruju kare]. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, fiqhi istelahat, pg #486). [Updated on 26-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 19456
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Makrooh kia hota ha

Answer: Makrooh yani na pasandidah yani har wo amal jis ka anjam dena haram na ho laikin anjam na dena behtar ho albatta is k anjam denay main koi gunah nahin hota hai. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Fiqhi Istelahat, pg #488,493). [Updated on 28-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 25313
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: Assalamunalekum Agha sahab, Mola Hussain AS ap ki aur tammamm team ki hajat ko pura karean Ameen Agha ji, me FINLAND me rehta hon , meri taqleed Ayatullah Khamenaee RA ki hai, ager app aik meri mushkil to asaan ker dean. jab kisi maslay per Imam Khamenaee RA aur Imam Sistani RA ki taref se IHTIYAT E WAJIB ki bina per fatwa ho tou aesi surat me kisi aur mujtahid ke fatwa ko maan ja sakta hai jis me ihtiyate wajib na lagaya ho aur clear fatwa diya ho? kiya Imam Khamenaee RA ke Ihtiyate wajib ke fatwa per Ayatullah Zanjani RA ke clear cut fatway ko maana ja sakta hai? kiya Ayatullah Zanjani ko FAL ALIM maana ja sakta hai iss surat me? me aik kum ilm bunda hon ap meri rehunumaee ker dean Ba naame BIBI SYEDA AS.

Answer:

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!