Question: aslam o alaikum pls mujhy koi esa wazifa bta dain jis sy ma kisi ki buri nazr or kaly ilm sy mehfuz rahun apki bohot meharbani hogi
Answer: Dafa shayateen aur jadogran k lye surah aaraaf ayat # 54 parhain. (ref : Mafatihul jinan pg # 299). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Jo wazaif Rizk ke liye aap ne bataaye hai. Agar kisi ke upar kaalaa jaadu kar ke rizk ko band kiyaa gayaa ho toh jo wazaif aap ne bataaye hai oon wazaif se faayda hoga kya.
Answer: Agar kisi par jadoo kia gaya ho to sunday k din surah e muzammil ko likh kar sehr zada shaks ko pilaya jae to jadoo khatm ho jae ga. (Ref : Kitab payam e shifa Pg # 224). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye) Jee haan , aap rizq wala wazifa bhi perhain.faida hoga.
Question: meri beti ko parchai he, to muje kya karna chaye? wo bimar bimar rehtihen zyada. kya hal he uska?
Answer: Sura e Falaq (sura no 113) o Sura e Naas (sura no 114) ka taweez bana kar beti ko pehnaain. (Ref : nawaa e saleheen , pg # 17 , ALLAH TAALA hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: Sir koi wazifa bata den jisse mere ghar ki burai door ho jaye
Answer: sura e inshiqaaq ko ager likh kar makaan ki diwaar per latka liya jaae to makaan tamaam afaat se mehfooz rehe ga.(Ref : tajalliyaat e Quraan , pg # 128 , (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: jadu wa zinnat ko badan ke andar se bhagane ka amal aur bachne ka amal bataye kuda ka lakh sukr hoga
Answer: sura e araaf aaat no 118 to 120, surah yoonus aayat no 81 to 82, sura e taha aayat no 69, in aayaat ko pani per dam kar ke ese mareez ke sar per pani charkain jis per jaadoo kiya gaya ho INSHALLAH jadu ka asar bilkul jata rehe ga.(Ref : tajalliyaat e Quraan , pg # 55 , ALLAH TAALA tofiaat main izafa farmaae).
Question: salam.sir muj ko jadu ki kaat or sefli jadu khatam karne ka ilaaj bata dain salam
Answer: Kisi bartan per 7 martaba mushk zaafraan se Sura e Al-Hamd likhai or use pani se dho kar wohi pani mashoor (jis per jado kiya gaya ho) ko pilaain to Inshallah sehtiyaabi ata ho gi. (Ref : tezeeb ul islaam , baab # 09 , chapter # 06 , pg # 297 , Allah Taala tofiqaat main izafa farmaae).
Question: kia hazoor (S.A.W) par jadoo ya taveez karvay gay our un par is ka kitna asar hova. kia is k bary main koi mutfiq hadees hai? reply me please
Answer: allama tabarsi ne farmaya hai ke Hozoor (s.a.w) per ager koi jadu karna chahe to bhi in per jadu ka asar nahi ho sakta.(Ref : tafseer e namoona , Pg # 581 , jild # 15 , ALLAH tofiqaat main izafa farmaae).
Question: Salam bhai kya hall hai mera sawal ye hai k mai abhi pakistan se ho .toh pata chala k mujhpe tawiiz hain yani bandish .mai in chizo me yaqeen nhi rakhta .ager aessa hai toh mujhe koi wazifa batayin jis se iska asar na ho.shukria
Answer: Agar kisi par jadoo kia gya ho to Sunday k din surah e muzammil ko likh kar sahr zada ko pilaya jae to jadoo khatm ho jae ga. (Ref : Kitab payam e shifa Pg # 224) • Jadoo k toorh k lie surah araaf ayat 118 sai 120 aur surah yunus ayat 81 sai 82 aur surah taha ayat 69 ko pani par dam kar k aisay mareez k sar par pani chirkain jis par jadoo kia gya hai inshallah jadoo ka asr jata rehay ga. (Ref : Tajalliyat e quran pg # 55) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye). •
Question: Agar kisi per jadu karwa diya gaya ho to us ko door karne k liye masoomeen k mutabiq hal den. dosra yeh k mustaqbil me dubara jadu se bachny k liye bhi hal den
Answer: Agar kisi par jadoo kia gya ho to Sunday k din surah e muzammil ko likh kar sahr zada ko pilaya jae to jadoo khatm ho jae ga. (Ref : Kitab payam e shifa Pg # 224) Jadoo k tor k lie surah araf ayat 118 sai 120 aur surah yunus ayat 81 sai 82 aur surah taha ayat 69 ko pani par dam kar k aisay mareez k sar par pani chirkain jis par jadoo kia gya hai inshallah jadoo ka asr jata rehay ga. (Ref : Tajalliyat e quran pg # 55) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: assalamu alaikum, mujhe aur mere bhai ko raat me sote waqt ya soye bad koi cheez satati hai ek dam se neend ushar hojati hai ya thodi dair tak mujhe pakde rakti hai uske bad neend ushar hojati hai quran e shareef se mujhe iska ilaj bataye
Answer: Wssalam o alykum, Imaam Jaffar o Sadiq (a.s) se marvi riwayat ke mutabiq, her raat ko sone se pehle sura yaaseen ki tilawat karain. (Ref : mafaati ul jinaan , topic # Fazilat e Sura e Yaseen , pg # 04 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).