Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 5380
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: janab ham ye pochna chahtay han k kia ak mard aowrat ko parha sakta hain. awr agar parha sakta hay to kin sorato may awr kis tara parha sakta hay

Answer: Agar burai mai mubtila honay ka imkan ho tu wahaan par (parhanay k liay) rukna haram hai,chahay wahaan koe aaskta ho ya na asakta ho.(ref:book nigah aur libaas,masla#103,pg67). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 8279
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: What is fatwa of mix gathering?

Answer: (Haram mixed gathering se muraad ye he k ) Aurate aur mard is tarh jama hoon k jis may hijab ka khayl nah rakha jay aur isi terh in ka aisa mail milap jis ka natija akhlaqi fasad ki surat may zahir ho to wo jaiz nahi hay. (Ref : Mujthid se poushey gye sawalat part # 2, ques # 152, pg # 67) khandaan ki aise shadi me jana jahan mukamal tor se mix gathering ho Agar insaan ko yaqeen ha ka app kise qism k ghuna me mubtila nahe hon ghi to insaan k lye jaiz hai wrna jaiz nahi hai.(ref : E-mail received from aqai sistani d.b. dated 13 april) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 16381
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Asee weddings jis main gaana baj raha ho aur hum mokammal hijab main hon with makeup tou kiya huqum hai ayat ullah sistani mukallid hon

Answer: 1: (Haram mixed gathering se muraad ye hai ke ) Auraten aur mard is tarah jama hon ke jis me hijab ka khayal nah rakha jaye aur isi tarah in ka aisa mail milap jis ka natija akhlaqi fasad ki surat me zaahir ho to ye jaiz nahin hai. Maslan khandaan ki aisi shadi me jana jahan mukamal taur par mix gathering ho to agar insaan ko yaqeen ho ke kisi qism ke gunah me mubtila nahin ho ga to insaan ke liye jaiz hai, warna jaiz nahin hai. Isi tarah aisi mehfil me jana, jahan gane wagera bajaye jaa rahe hon agar gunah me mubtila hone ka khauf nah ho to jaiz hai, warna jaiz nahin hai. 2: Makeup karne ke baad na mehram mard se apna pura chehra chupana wajib hai lekin agar makeup bauhat mamoli ho aur zahir na ho to phir makeup karne ke baad chehra chupana wajib nahin hai. (Ref: Mujthid se pouchey gaye sawalat, part #2, sawal #152, pg #67). Nigah o libaas, pg #96. sistani.org, urdu, zeenat, ques #1. E-mail received from aqai sistani d.b. dated 13 april). [Updated on 09-Mar-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 21392
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: kia khandaan ki aisi shadian jahan mukammal tour pa mixed gathering ho, attend karna jaiz hai? ayaotalla sistani is baray main kia farmatay hain .. kia yea ahkaam mard or aurat k liay same hain? or plz farmaiye ga mixed gathering kin kin moqon par jaiz hai .. office main kaam karna jahan aurton sey interaction ho wo jaiz hai? universities main .. khandaan ki picnic jahan sab namehram bhi hon wahan janay k kia ahkaam hain .. baraye meherbani yea ahkaam mard or aurat dono k liay batayie gaa .. jazakAllah!

Answer:

Id: 23022
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: AssalamunAlaiykum, What is the rule of attending wedding function in which there is mix gathering, as both men and women are in a single hall, without partition between them though they are not sitting on the same tables?? Similarly what about organizing such gatherings??

Answer:

Id: 25193
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: Assalamoalaikum, mere Maa baap mujhe daawat me lejaana chahte h pr waha na mehram h .mom dad family relations rakhte h.humara koi khooni rishta nhi h...mere Maa baap chahte h ki Mai bhi saath jaau..aap plzz btaiye isme mere Maa baap ko gunah milega q ki Mai nhi chahti jaana waha aur plzz btaiye ki Mai Maa baap ko kaise mana kru waha mujhe le jaane se..

Answer:

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!