Question: AOA molana sahib hamari family aur meri aunty jo k meri ami ki behan hyn ki family k beech 4 saal pehlr larai hui aur abi tak dono families aapis me lari hui hyn. pls btain k kis tara sulah ho skti hy dono he families aik dosray se buhat nafrat karti hyn.
Answer: Qata rehmi karna haram hay. Agarchah wo qareebi ristedaar namaz nah parhta ho aur sharab khor ho aur baaz deeni akham ko ehmiyat nah deta ho. (Ref : Ayatullah Sistani, Jadeed faqhi masael , Mafhoom e maslah #173 , Pg # , Eidition# 5). Update on dated 10-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Aslaam o alikum. Mera sawal ye hai k mera 1 dost muj say kai saloon say naraz hai. Aur pehlay naraz be mai hua tha. Ab mai usay raazi karna chahta hun lekin ab wo raazi nai ho raha. Ab mujay kia karna chaiye?? Aur kitnay din tak naraz reh saktay hain?
Answer: 3 din se ziyada musalman se ta’al’luq khatam karna ehteyat-e-lazim ki bina per jaiz nahi hai. (Ref: A.sistani,Masael e Muntakhaba,Mafhoom e Maslah # 24). Update on dated 10-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Q:. SiLa Rahmi Mei Kon Kon Se Rishte Aa Jaate Hain?
Answer: Silah rehem mai wo rishtedaar shaamil hain jo insaan k rehem mai shareek hote hain yaani khooni rishtedaar jese walidain, bhai, behen, maamu, khaala, phupi chacha wagaira.Is mai door k sababi or nasabi rishtedaar shamil nahi hai.(Ref:https://www.sistani.org/arabic/qa/0575/). [Updated on 14-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalamo Alaikum,Qibla Meray sawal yeh hai k sila rehemi k wajahsay mere rishtedar jadu ya taweez ki parhiwi cheez detay hai ussay khai to kya parkay khai?
Answer: Silah rehmi ka matalab sirf ek doosare ke han aana jaana nahin hai, balke bilkul bhi Qata e Taluq kar lena ye jaiz nahin hai, aur har hal mein un ki islaah ke liye koshish karani chaahie. aap us se apna rabta khatam na karen, milane ke waqt salaam karen, mizaj pursi karen, Agar wo beemaar ho jaen to uski ayadat karen aur agar unhen zaroorat ho to unki madad karen..wagera. (Ref : https://www.sistani.org/urdu/qa/01837/ ) ye baat jaan lena zarori hai ke silah rehmi srif ye nahe hai ke kise ke paas jakar is se mila jaae balke telephone kar ke bhi khabar ghere karlena or waqt perhne per madad karna bhi sele remi ke lie kafi hai .(deen ke ahkaam,aqa sistani ke fatwe ke mutabiq,pg no: 324,325, masla no:991,995) [Updated on 14-Jan-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: dear sir mera sawal ya ha k ma ne ap ki site par hi kahen paraha tha k silah rahmi k matlab ya nahi ha k milne jaya jaye balk sila rahmi ka matlab ha talooq na tor lena , dosra ma ne ap hi ki site par kahen paraha tha k ma bap se sila rahmi k lia zarori nahi ha k jaya jaye balk phone kar k khyriat bhi maloom ki ja sakti ha, in dono ka reference de den, muje yad nahi ha k kahan parha ha, aik dost ne pocha ha use reference dena ha please ya mehrbani karen allah hafiz
Answer:
Question: Kuch logo main khandani ikhtilaf main walid apni aulad ko bedakhal kr dete han aur kuch waqiat main aulad walden se ikhtilaf rakhty huye apny ap ko us khandan se azad krwana chahty han, dono sortehal main Islam main iski ilajat k hawaly se bata den, k dini tor pe issy kesy dekha jata ha, islam main aisi gunjaish ha k walid aulad ko bedakhl kr de ya aulad waliden se alag hona chahty ho
Answer:
Question: Ghr sy bhr biwi k rishtydaron mein khush dilli sy na bethna r ghr mein bulana b psnd na krna biwi k qareebi rishtydaron ko kaisa hai? Kya biwi sb brdasht kry? Shohar ko Allah ny dil dukhany ka b haq diya hai? Biwi k rishtydaron mein ajkal k dir k hony k bawajood alag thalag deat mein bethna r biwi ko akela mehsus krna thk hai? Akhir biwi ko takleef in baton py q hoti hai kya shohar in sary mamlaat mein thk hai ? Apny bchon mein yeh baten khud ajati hain kya hamary nabi ny izat mohabbat ahtaram ka rishta duniya walom k smany nhi dikhaya? Mian biwi k rishty mein kaisa muqabla hai k aurat sb ko welcome kry r mard akar dikhaye
Answer:
Question: Assalam o alaikum.. Mera swal ha k agar ap ka koi relative jaisy mamu khala ya phoopho etc ap k sath koi lrai jhagra kry or apko bura bhala boly or apka financial nuqsan b kry or ap k kirdar k bohtaan bazi kry ap se milna ya apko dekhna b gawara na kry lakin ap unse apni akhrat k liye hazrat muhammad ki sunnat pr amal krty huye silah rehmi krna chahay ja k mukhalifeen ziada hon or ap aik to kis trha se unko smjhaya jay.. Ya silah rehmi ki jay.. Ma is hwaaly se bohat preshan hon ..
Answer: