Question: mera swal hai k gheebat karnay ka kitna gunah hai aur jo ulma b eik dosre ki gheebat kartay hain un k baray main kuch batain shukriya?
Answer: Gheebat karna ghunahan_e_kabira men se hai.(Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 1, masla # 30) Surah hujrat , ayat no 12 me hai(tum me se baaz, baaz ki gheebat na kare, kya tum me se koi apne murda bhai ka ghosht khana pasand karega ps tum ise zaroor na pasand karo ge.
Question: Kia gibat sunnay walay par wajib hai k jis ki gibat ki ja rahi ho is ki himayat karay?
Answer: Gibat karnay walay ki baat rad kar dena behtr hai lakin gibat sunnay walay ko agar is baat ka ehtimal ho k wo gibat karnay wala haram sai baaz aa jae to nahi anil munkar karna wajib hai, bal k ehtiyat e wajib ki bina par apnay qawl aur fail sai na-pasandidgi ka izhar karna zaroori hai chahae is baat ka ehtimal na ho k gibat karnay wala haram sai baaz aa jae ga. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 1, sawaal # 170, pg # 85,86) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Jis ki gibat ki gae ho kia os sai mafi talab karna wajib hai?
Answer: Mafi mangna wajib nahi hai bal k srf istigfar kafi hai. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 1, sawaal # 171, pg # 86) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Kia chotay bachay ki ya momaiyz(samaghdar) bachay ki gibat karna jaiz hai?
Answer: Momeiyz bachay ki gibat karna jaiz nhi hai. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 1, sawaal # 172, pg # 86) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Ghebat kiya hai? Is ki meaning bataye example ke sath..jazakAllah
Answer: Gheebat sai muraad kisi muayyan shaks ka zikr is tarah karna hai jisey wo shaks suney to napasand karey chahey us ki is khasiyat ka taluk us k Akhlaq sai ho,surat sai ho ya us k khasais mai sai ho.gheebat sirf zaban sai nahi ki jati balkey is sai har wo qoul ya fail muraad hai jo kisi ki tehqeer ko zahir karey chahey zaban sai ho ya amal sai ho tehreer k zariye ho ya saraahat k saath ho. huzoor e akram s.a.w.w ney is ki tareef yun farmai hai “kisi bhai ka is tarah zikr karna jisey wo a pasand karey,pucha gaya agar wo khasiat ya naqs us mai moujood ho or hum us ka zikr karey tou? Farmaya haan agar koi aisa aib bayan karey jo us mai moujood ho tou ye “gheebat” hai or agar us mai moujood na ho tu ye “tauhmat” hai. (Ref:Book Akhlaq e Ahlebait page no 213). Update on dated 11-11-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Gaibat kab jayaz hojaty hai
Answer: 1: Gheebat haram hai or gheebat se murad ye hai ke kisi bara imami shia ke makhfi aib (عیب) ko us ki gair mojudgi men doosre ke saamne bayan kare chahe us ki shakhsiyat ko majrooh karne or us ki tauheen karne ke qasd se ho ya aise qasd ke bagair ho, Han agar tauheen karne ke qasd se us ke aib(عیب) ko bayan kare to do gunah (gheebat or tauheen) hon gay. 2: Chand maqamat par Gheebat karna jaiz hai un men se baaz maqamat mundrija zel hain: 1. Jo shakhs khulam khula gunah karta ho or is se tauba bi na karta ho us ke zaahiri gunah ko doorson se bayan kiya ja sakta hai lekin us ke makhfi gunah bayan karna jaiz nahin hai. 2. Jo shakhs zaalim ho, mazloom ke liye us ki gheebat karna jaiz hai agarche ye kaam us ke aib(عیب) ke aashkar hone ka sabab bane, lekin Ehtiyat e wajib hai ke mazloom sirf us maqam men us ki gheebat kare jab kisi doosre se madad mangne ke liye ho. 3. Agar koi shakhs kisi maqam men jese shaadi, mashwara lay, to us ki naseehat or renumai karna jaiz hai agarche ye kaam us shakhs ke aib(عیب) ke zaahir hone ka sabab bane, albatta laazim hai ke zaroorat ki miqdaar par iktifaa kiya jaye, lekin agar kisi shakhs ko bagair darkhuwast ke mashrwa day to gheebat us soorat jaiz hogi jab use mashwara na dena or rehnumai na karna kisi bare mafsde ka baais ho. 4. Jahan par gheebat karne ka maqsad ye ho ke gheebat kiye jane wale shakhs ko gunah se roken jabke gunah se rokna kisi aur tareeqe se mumkin na ho. 5. Jahan par gheebat kiye jane wale shakhs ka amal aisa ho ke deen ko zarar punhchane ka khauf paaya jata ho to is soorat men deen ko zarar punhchne se rokne ke liye us ki gheebat jaiz hai lekin zaroori hai ke sirf deeni zarar ke bartaraf karne ki mqdaar par iktifaa kiya jaye. 6. Qazawat or hukum saadir karne ke maqam men do gawah ki adalat par shubah warid karne or un ki gawahi ko rad karne ke liye gheebat karna jaiz hai (yani gawahi ko jhutlane ke liye). 7. Jahan par gheebat karne ka maqsad gheebat kiye hane wale shakhs ko aik aise zarar se bachana ho ke jis se bachana wajib hai. (Ref: Tauzeh ul Masail Jame, Ayatullah Sistani(d.b), maslah #2264,2272). [Updated on 15-oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agar shohar biwi k hote hue b bar bar dusri aurato se zina kre to biwi k liye kya huqm h Kya shohar k ghrwalo ko ye bat batani chahiye Kya iske bad bhi vo shohar k sath rah skti h ya alag ho jana chahiye
Answer: 1) Zina haram aur gunahan e kabeera mai sai aik hai. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 1, Mafhoom e Maslah #30 , Eidition 1439 hij). 2) Agar on ko gunah se rooknay ka koe or tariqa nah ho siwaey is k keh aap on ki burae on k ghar walo ko bata dain tu phir ghibat jaiz hogi. (Ref:Ayatullah sistani, Minhajus Saliheen,Part#1, Maslah#30, eidition 1439). (Note: Agar shpohar zina ko anjam de raha to wo gunahgar hai, Lekin is se nikah par koi farq nahi parhe ga aap us ke reh sakti hain.) [Updated on 27-Nov-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Is it sin to curse someone? on what reason we can curse?
Answer: Kisi momin ko lanat karna, momin ki gibat karna, momin ko gali dena, momin ki touheen karna, momin ko zaleel karna, momin ka mazaak urana, ye sab gunahan e kabira men se hain.(Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #1, Maslah #30). [Updated on 17-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalam o alaikum Mera sawal ha k agr Kisi Sunni shaks ya koi bi ghair e momin ki ghibat hojae to us Ka baray me Kia hukum ha
Answer: Momin (mard, aurat) ki gheebat karna Haram aur Ghunah e kabira hai, yani uski ghair mojoodgi mein uski koi aisi buraiee zikar karna jo logon mein maloom nah ho. chahay aisa karna uski shaan ghatane ke liye nah bhi ho. lekin gair e momin ki gheebat karne me koi haraj nahin. Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #1, maslah #30). [Updated on 01-Feb-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Geebat karne wala usse mafi nahi maang sata wo log haste balki wo khud geebat karte hai to tauba aur uske liye magfirat ki dua karle to hoga gunah maaf
Answer: Gheebat karne ki soorat me lazim hai ke insaan tauba o istigfaar kare aur ehtiyat-e-mustahab (yani behtar) hai ke agar is se maafi talab karna fasad ka sabab na ho ho to us se maafi talab kare ya phir us ke liye astaghfar kare, balkay jin maqamat mein gheebat karna gheebat kiye jane walay shakhs ke liye tauheen aur be hurmati shumaar ho to agar is se maafi talab karna us ki tauheen aur be hurmati ki talaafi shumaar ho to ehtiyat-e-lazim hai ke is soorat mein agar fasad ka sabab na ho to us se maafi talab kare. (Note: Agar aap sachay di se tauba kar len aur uske liye magfirat ki dua kar len to kaafi hai. (Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #1, maslah #30). [Updated on 19-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]