Question: pls it is urgent i want rely soon.if abortion of 7 weeks was done because of husband pressure,now did tauba but wat is diyat and wjo will be responsible to give this diyat and to whom?
Answer: Agar koe haamila aurat koe aisa kaam karay jis k natijay main oska hamal saqit ho jaey tu os ko chahiay k oski diyat bachchay k wariseen ko os tafseel k mutabiq jo maslah#2811 main bayaan ki gae hay or khud os aurat ko os main se khuch nahi milta. (Ref: A.khoe(R.A),Tauzee hul masa,il, pg#448). Update on dated 07-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: what is diyat???i read the msg in every msg u say diyat i dnt understand the mean of diyat???????
Answer: Diyat wo maal hay jo nuqsan uthanay wale insan ko nuqsan pouchanay wala insan deta hai. (Ref: http://www.sistani.org/urdu/qa/01802/page/2/ ). Update on dated 07-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: اسلام علیکم کسی نابالغ بجے کو تھپڑ مارنے کی دیت کیا ہے جبکہ چہر سرخ ہوگیا ہو۔ تھپڑ دوبچوں کی لڑائی کے دوران الگ کرنے کیلئے ماراگیا تھا
Answer: Agar chehra (face) surkh (red) hojai to diyat (1/2) deenar sharae hai.1 denaar barabar (3/5gram) sona hay. or ehteyate wajib ki bina per sone ke ilawa koi or cheez kafi nahe hay haah is ki qemat dariyaaf karne ke lie musalehat karsakte hay.(Ref:https://www.sistani.org/urdu/qa/01802/ ) [Updated on 06-May-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agr behn ksi ma mehram sy bat kary usy do 3 bar smjhaya jae pyar sy to us cheez sy baaz na aae then kya us py hath uthana haram amal hoga ? agr hath utha lya ho to uski saza kya hni chahye
Answer: Ye Jaiz nahin hai. aur is maarne ki wajh se diyat wajib ho jati hai. Agar chehra surkh hojai to diyat derh(1.5) deenar sharae hai, aur badan men is ka aadha hai, Aur agar chehra kabod ho jaye to diyat chheh(6) deenar sharae hai, aur badan me is ka aadha hai. (Ref: https://www.sistani.org/urdu/qa/01802/ ) (Note: har deenaar (3/5 giram) sone ke baraabar hai, aur ehatiyaat ki bina par sone ke elawa koi cheez kafi nahin hai, haan aap is ki qeemat maloom karane ke liye musaliha kar sakate hain [Updated on 09-Jan-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agr kisi aurat se nadani se hamal zaya hogya ho or us aurat ki death hojay tu ye b na pta ho k bacha me ruh agai the ya abi 3 months huy thay tu us surat me diat Kon dega or kisko dega or kya diat wajib hogi
Answer: Agar hamal ko maan ne mustaqeem (direct) taur par zaya kiya hai to diyat maan par wajib hai aur use chahiye ke ke baap ya dusre warison ko diyat day, aur agar khud baap zaya kare to us par wajib hai ke maan ya dusre warison ko diyat day, aur agar doctor zaya kar raha hai to us par wajib hai ke maan ya baap ya dusre warison ko diyat day, agache ye kaam maan, baap ki darkhwast se hi Q na kiya ho, magar ye ke doctor ko maaf kar dain. Hamal zaya karne ki diyat: 5250 misqal chandi, agar ladka ho or usme jan aa chuki ho aur uska nisf (aadha) aur agar ladki ho or jaan aachuki ho. 105 misqal chandi agar sirf nutfa ho. 210 misqal chandi agar khoon jama hua ho. 315 misqal chandi agar gosht ho. 420 misqal chandi agar haddi ho. 525 misqal chandi agar pura badan ban chuka ho or bina bar ehtiyat e wajib jaan na aane s pehle ladke or ladki me koi farq nahin hai. Aur kaffara bhi us shakhs par hai jo mustaqim(direct) tariqe se zaya kar raha ho agarche usme ruh nahin aayei ho, or uska kaffara ye hai ke 2 months lagatar roze rakhe, 60 faqir ko khana khilaye, har faqir ko 750 gram roti, chawal or is jesi cheez day. Rooh char(4th) month me aajati hai magar ye ke new wasail ke zariye khilaaf sabit ho jaye. (Ref: link, https://www.sistani.org/urdu/qa/01789/ link, https://www.sistani.org/urdu/qa/01802/ ). (Note: 1 misqal e sharei taqreeban 3.50 giram). [Updated on 15-Apr-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: مارنے سے جسم نیلا ہو جائے تو کیا دیت ہے
Answer: Jee han, agar chehra surkh ho jaye to is ki diyat, derh dinar sharaei hai aur badan mein is ka aadha hai, aur agar chehra kabood(neela) ho jaye to is ki diyat, chhay dinar sharaei hai, aur badan mein is ka aadha hai. Har dinar (5/3 garam) sone barabar hai, aur ehtihyat e wajib ki bina par sonay ke alawa koi aur cheez dena kaafi nahin hai, Haan is ki qeemat daryaft karne ke liye musalehat kar satki hain. (Ref: Link; https://www.sistani.org/urdu/qa/17862/ ). [Updated on 25-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Meray 2 bachy hain unka hifz ho chuka hy ab dohrae ka wqt hy. Qari sahab kehty hain inko mara jaye ya daraya jaye phir hoga pakka inka. Lekin ye treeka dill ko mutmain nhe kr rha. Ap iska koe hal batae bachy intelligent hain or Quran b yaad hy. Kiya maarna zaroori hy ?
Answer: