Question: MERI WALDA K GORDOO ME BHOT SHDID DARD RETA HE OR SOJAN BHI AI WI HE MUJE KOI ROHANI ILAJ BATAE K MERI WALDA BETHAR HO JAE YE MASLA 6 DINO SE HUWA HE BHOHAT MHERBANI HOGI APKI
Answer: Qalmi shorah aik tola , moli k pani 10 tola main kharal (ye ik qisam ke pahttar ki kondi hai jo dawaain peesne or hal karne ke kaam aati hai) kar ke jangli bair ke barabar goliyaan bana dain, or phir ik (1) goli subha or ik(1) goli sham pani ke sath istimaal karain. (Ref : apna dawa khana , topic # dard e gurda , pg # 63 , Allah Taala tofiqaat main izafa farmaae).
Question: Mari bati abhi ak mahinay (1 month) ki hy is ka pait main dard hot hy koi alaj tajviz karayn.
Answer: sura e yonus ki aayat no 22 or sura e bani israeel ki aayat no 82 ko pait per haath rakh kar pharye, naiz pani per ye aayaat dam kar ke pani pilaen to INSHALLAH ALLAH TAALA pait ke dard main shifa ata kare ga. (Ref : tajalliyaat e Quraan , pg # 63 , ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae).
Question: Aoa. Mery dono paon mein bht shadid drd rehta hai. Dr k dikhaya hai but kuch smjh nae ata. Jb Sony lgti hn os time bht drd hota hai n subah Uth kr jaisy hi paon zameen p rkhti hn aisa lgta hai pta nae kitna chal kr ai hn.
Answer: Jismani Dard k liye in Aayat (Surah-e-Fatah Ayat#1-3) ko likh kar dho lay aur pee jaye aur paas bhi rakhay. (Ref: Payam-e-Shifa, pg#189) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: sir k dard k liye
Answer: Sar dard k dor honay k lie surah e taha surah # 20 ki ayat # 25 ta 28 ko 3 dafa parhnay sai sar dard mai bohat ifaqa hota hai. 2)Sar dard k lie kali chai mai dhanya k beejh pisay huay aur kachay angoor k ras ko mila kar pi liay jay, faida ho ga.(Ref : 2000 Dastoorul Amal pg # 400, 404) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: AOA G mery jism main humshaa drd rehtii hey kmar main or shoulder main b mjy ye kfii aesyy say hey .or meri umrr 25 saal hy
Answer: Wssalam o alykum, 70 Baar Surah-e-Al-Hamd ko phar kar dard ki jagahon per dam kar lain. (Ref: Payam-e-Shifa Page#189 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: BHAI MAN JB B STUDI K LYA BATHA HON APNI BOOKS KHOL K PARNY BATHTA HON TO MARY SIR MAN DIRD SHURO HO JATA HA HOI HALL BTYN
Answer: Sorah e yaseen ki ayat#58 ko 319 mertaba tilawat karain, insha Allah bemaar ki shifa hasil hogi.(Ref: Naeemul amaal, Mafhoom e pg#313). Update on dated 02-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: asalam o alikumm mere breast me bht arsay se ganthain hen aur do do teen teen hen ap koi wazifa btain jisay ye ghul k khtam hojain mere age 21 year he
Answer: Sorah e yaseen ki ayat # 58 ko 319 baar perha jay tu insha Allah shifa hasil hogi. (Ref: naeemul amaal, pg#313). Update on dated 02-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: sir mujhai sir mai chakkar dimag mai bharipan kuch bhi khao khanai kai baad sir mai bharipan rehta hai chakkar rehta hai ki ab girah
Answer: Sorah e yaseen ki ayat#58 ko 319 mertaba tilawat karain, insha Allah bemaar ki shifa hasil hogi.(Ref: Naeemul amaal, Mafhoom e pg#313). Update on dated 02-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: 1 week sai mere poore jism or sir bhaari bhaari lg rha hai iska koi ilaj.
Answer: Har qisim ky dard ki dori ky liay soorah mujadila likh kr bandhny sy dard jata rehta hy. Ref: ( quran or amraz e jismani pg no 105). 70 Baar Surah-e-Al-Hamd ko phar kar dard ki jagahon per dam kar lain. (Ref: Payam-e-Shifa Page#189) Note: Is k ilawa doctor sai bhi rujoo karein kyun k dua k saath dawa bhi zaroori hai. [Updated on 05-Mar-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mai musht zani kai gunah mai mubtala tha lekin ab alhumdulilah mene bilkul choor di hai , lekin guthno mai uthtey bethtey tak tak ki awaz ati hai, kia iska koi hal hai ?
Answer: Is dard ko door karne ke liye ikhlaas ke sath, laa illaha illa anta subhaanaka innii kuntu mina alzalemeen. (لا إله إلا أنت سبحانک انی کنت من الظالمین) ye phare to INSHALLAH aap is derd se shifa paingay. (Ref: Tajalliyaat e Quraan, pg #82). [Updated on 23-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]