Question: salam agar malik makan bijli chori karay aur kiraya dar se bijli ka bill apni marzi se kuch bhi le for example 1000 rupee per month to kya kirayadar k lye ye jaiz hai?
Answer: Kisi bhi jaga bijli ka ghair qanooni istemaal jaiz nai aur aisa kaam karnay wala zaamin bhi hai.( Mujtahid say pochay gay sawalaat part#3, Maslah#186 ) (Khuda aap ki Tawfiqaat mein Izafa Farmaye) Note: malik makan zamin hay.
Question: mara sawal ya ha k mere sy mobile chori huy aur phir ab mgy nadmat hue ha .ab ma jis jis chor ekey kya ma utnay paisy masjid ma dal du
Answer: Wo tamaam afraad jinhain aap jaante hoon, zarori ha k on se rizayat talab karain.Haan agar on ka haq onhain lota daain tu phir saari tafsilaat batana zarori nahi. Jin afraad ko aap nahi jaantay hoon, tu zarori hay k jitney maal k aap zamin hay , on ki janib se fuqaraa ko sadqa day dain. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Mujtahi se pochay gaey sawalaat,Part#1,Mafhoom e Maslah #131). Update on dated 26-12-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Mene paise chori kiye apni zarorat ke liye phir ghar walon ne Quran pe hath rakhne ko kaha mene rakh dia or kaha ke mene chori nhi ki mene Quran pe hath rakh kar jhoot bola ab mera kafara ada kaise hoga
Answer: Agarchay aap nay jhoot bol ker gunah e kabira kia lekin aap par kaffara nahi hay. Haan wo cheez malik tak pohnchana zarori hay. (Ref: Touzihul masael masla#2634). Update on dated 09-10-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Khud ke ghar chori karna msln paise vgera utha lena mjbori me kaisa hai ye gunah hai nhi
Answer: Jee nahi chori karne ki ijaazat nahi hai ye haram hai. Aap koi mutabaadil raasta ikhtiyaat karein ghar sai ijaazat le lein ya qarza le lein kisi sai.(Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 1, masla # 29) [Updated on 12-Mar-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Meri ik friend na store sy mukhtalif aukat me kuch cheezy chori ki. Ab wo sharminda h lkn na tu us ko malom h k us ny kia kia chori ki mtlb kitni malkiat ki cheezy thi. Us ka kufara kia ho ga
Answer: Jis ki chori ki gayi hai, zarori ha k un se rizayat talab karain. Haan agar un ka haq onhain lota day tu phir saari tafsilaat batana zarori nahi, bus jin cheezon aap ko yaqeen hai wo unhain lota day.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Mujtahi se pochay gaey sawalaat,Part#1,Mafhoom e Maslah #131). [Updated on 06-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mera sawal hai mera rk dost factory se mall chori karta hai Mujy uska ilam hai lekin mai us k sath nahi hun .. kiya mujy apny boss ko batana chaye mery batany se uski nokri chali jay gi us k bachy mujy baddoa na de dy
Answer: Chori karna haram aur ghunah e kabira hai. Agar us ko ghunah se bachane ka yahi rasta ho to phir aap ko chahiye ke ya to aap khud amar bil maroof aur nahi anil mukar (yani ghunah se rokne) ke tahat apne dost ko is kam ke anjam dene se mana karen balke agar maloom ho ke ghunaghaar par koi asar nahin hoga tab bhi ehteyat e wajib ki bina par ghunaghaar ke us kaam se naraazghi ka izhaar zaroor karen ya apne boss ko batayen, taake wo is ko mana kare Q ke amar bil maroof aur nahi anil mukar karna bhi wajib hai. (Ref: Minhajus saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #1, edition #1443, maslah #30. Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b) edition #42, pg #302). [Updated on 31-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: kisi non muslim country k non muslim logo ka maal lotna jaiz hy?
Answer: Jaiz nahin hai. (Ref: Jadeed fiqhi masail, Ayatullah Sistani(d.b), maslah #229,230,238). [Updated on 07-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: kia kafir ya shiya ko lutna or dhoka dena jaiz hy
Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). 1: (jis insaan ke maal ka ahteraam hai jise shia us ka )maal lutna ya use dhoka dena jaiz nahin hain. 2: Aap ko aik aur cheez ki taraf mutawajjeh kiya jata hai ke Kafir wo shaks hota hai jo Allah ke wujood ya us ki waahdaniyat ka iqraar nah karta ho. Isi tarah Ghali (yani wo log jo aimma{a.s} main se kisi ko khuda kahain ya ye kahain ke khuda, imam{a,s} main holool kar gaya hai) aur khaarji o naasbi (wo loog jo aimma{a.s} se bair o bughz ke izhaar karain) bhi ehtiyat e wajib ki bina par kaafir aur najis hain. isi tarah wo shaks jo kisi nabi ki nubowwat ya zaroriyaat e deen masalan namaz, roza main se kisi aik ka aisa inkaar kare jo juzwi taur par hi sahi, Rasool(s.a.w.w) ki takzeeb ka sabab banay to ehtiyat e wajib ki bina wo kaafir aur najis hai. Note: Hum ne upar kaafir ki mukammal wazahat kar di hai aur Al-humdulillah shia hazraat kisi qism ke kufr-o-shirk ka irtekaab nahin kartay. balkeh sab se behtreen muslim aur momin hain. aur balkeh tamaam muslim firqon ke muqaablay men sab se behtreen aqeeda rakhtay hain aur is ke baad bhi agar koi shakhs, shia ko kaafir kahay to hum yehi kahain gay ke kisi ke faqat kehnay se koi kaafir nahin ho jata, agar sachay ho to suboot paish karo. (Ref: Jadeed fiqhi masail, Ayatullah Sistani(d.b), maslah #229,230,238. + Minhaj us Saliheen, part #1, maslah #30. + Tauzeeh ul masail, edition #44, maslah #103). [Updated on 30-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: mera sawal ya ha k agar kisi ny chori ki ho or pochy jany py khud ko bachny k liy jhot bola ho pir quran ki kasam khani pary or dil m ya b ho k m galt kar ra hun ALLAH pak sy mafi b mang ra ho k ya ALLAH tu janta ha m ny ya kia ha par m is tym khud ki iazat bachny k liy ya kar ra han or hath rakh k boly k mujy is bary m koi b ilam ni tu mujy batain is ka kafara ya toba kesy ki jay
Answer:
Question: Mry baba ki phopho hai wo ghungi or behri hai islie unki shadi nh hoe or wo hamesha mry dada k sth rhti arhe thi baba logo ko pala unhony lekin unk andr chori ki adat c thi or wo kbi mry phopho k gold ka saman churalyti or kbi mry chachu ki biwi ka or koi unhy kch na khta tha ye kh kr chordyty k iski to adat hai or unse pochta b nh kbi koi. Mry dada ki death k bd se wo apnu dusry bhai k sth rh rhe hai wha b unhony 2 dfa gold ki chain chori ki or 5000 ka note. kch dn phly wo hamary ghr stay k lie i to hamary ghr phli dfa 5000 ka note chori kia jb hm sb busy thy rabi ul awal ka din tha hmaary ghr yaseen ka khtm hrha tha unhony tb ye kam kia jb baba ko pta lga to wo gussa hoe q k wo unki is adat se wakif to thy lkn yaqeen nh tha q k srf dusro se suna tha lekin koi b unhy kch nh khta or ye kh kr chordyta k ghungi hai chordo uski adat hai wo asi krti hai or asa nh k unk pas paisa nh unk pas paisa bht hai or gold b baba mry asy kisi ko support nh krty mry baba ki bhen support krhe k tmny gussa q kia us p wo ro rhe thi baba ne kha k jo glt hai wo glt hai usy from the first day nh samjhya jbi aj uski adat hgae asy krny ki. kia ghungy behro p sb jaiz hta hai? wo chori kry ya kisi ko badua de ? kia sb jaiz hai unp ? answer me kia islam ghungy behro ko ijazat deta hai k wo ye sb kry or agr asa hai to kia krna chahiye baba ko? kia baba mry glt hai kia?
Answer: