Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 5513
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: assalam alaykum kya walima ki agali raat ko apni biwi ko sirf chhuye aur chumey toa walima kabool hoga

Answer: Shab e zafaf se pehlay ya bad me valima karna mustahab he. Islam ne 5 maqamaat per valima kerna mustahab qaraar diya hay jin main se aik ye valima bhi hay.valimay se pehlay jima kerna zarori nahi hay. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 3 masla # 4, 388). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 12332
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kiya nikah ka walima wajib hai

Answer: Jee nahin wajb nahin hai. balke Shab e zufaf se pehlay ya bad me valima karna mustahab he. Islam ne 5 maqamaat per valima kerna mustahab qaraar diya hay jin main se aik ye nikah ka valima bhi hay.(Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 3 masla # 4, 388,eidition 2006) [Updated on 04-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 12979
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Nikah ho Jane k baad waleema dene se pehle sex krna jruri h kya ?

Answer: Shab e zafaf se pehlay ya bad me valima karna mustahab he, wajib nahi. Islam ne 5 maqamaat per valima kerna mustahab qaraar diya hay jin main se aik ye valima bhi hay.valimay se pehlay jima kerna zarori nahi hay. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 3 masla # 4, 388). [Updated on 29-Sep-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14596
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Shadi ka valima larkay ko krna chahiyay ya larki walay bhi krskty hain ? Recommended kia h Quran o sunnat or ahaadees mai k kon kry ? Please give example from history too.

Answer: Mustahab hay keh walima zufaaf(suhaag raat) se pehlay ya baad main kia jaey. (Ref:Minhaj us saliheen, jild#3, ayatollah seestani maslah#4) Notee: walima mard ya aurat main se koe bhi kar sakta hay. [Updated on 07-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14786
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Barat Walay din Sex Karna Lazmi hay kia Next day Valima hosakta hay baghair sex kiye?? Baghair Hambistri kiye Valima Haram Hojaega Kia?? Main Chahta hun thoray din baad biwi ki sath hambistri karun !!

Answer: Biwi sai pehli raat humbistari karna zaroori nahin hai albatta shohar k liye jawan biwi sai 4 mahine tak humbistri na karna haraam hai siwaey is k keh biwi is baat sai raazi ho or humbistri ke baghair bhi valima jaaiz hai.(Ref: tulzi ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2382,Minhaaj us Saliheen, part #3, pg #17,masla no :4,). [Updated on 06-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15220
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: As salamu alaikum Nikkah ka baad reception hota usme dono ka kharcha ho toh agle din firse walima karna hoga??

Answer: Walima khana khilane ko kehte hain lehaza reception men bhi yahi hota hai aba alag se walima karne ki zaroorat nahin hai.(Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #3, maslah #4. + https://ur.wikishia.net/view/%D9%88%D9%84%DB%8C%D9%85%DB%81 ). [Updated on 01-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 24952
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: السلام علیکم I'm a muslim girl.. Mera Question ye hai k kia kisi muslim larki ka nikah m white suit pehnna theek h? Kuch log isko theek nai samjhty or Surkh libas ko tarjeeh dety.. To Kia white suit ka any wali zindagi m koi asar prta h.. Or something else?

Answer:

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!