Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 7217
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aslam O Alaikum, mj pr 5 sal phly jadoo kya gya. Aj mri y halat hy ka mra dmagh senseless ho chuka. Jadoo study sy door krny k lye kya gya. Kya mn khudkshi kr skta hn?

Answer: Khudkushi karna haram hai.(ref:sistani.org,urdu, khud Khudkushi ) Jadoo k lie: Imam jaffar e Sadiq a.s. farmatay hain k jo surah e jin ki apni zindigi mai kasrat sai tilawat karta hai to wo jinnat aur in k shar sai mehfooz rehta hai. (Ref : Dunya o aakhirat ki 100 preshanio ka hal pg # 36)

Id: 10288
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mera sawal ye he k. Agar dushman ki hirasat se bachne k liye jis me dushman ki taraf se takleef de mout ka andesha ho us se bachne k liye khud khushi kar sakte hen.

Answer: Khud khushi kerna haraam hai or azeem gunah main se hay. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),minhajus saliheen,part#1, maslah #30). Har rooz sone se pehle sura e yaseen ki tilawat karain. (Ref : mafaati ul jinaan , fehrist e baqiyaat e salihaat , topic # dushman per fatha pane ki dua , pg # 467). [Updated on 05-Mar-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 12485
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aoa...mai kuch arse se bht zeyada depress hon ....mai khuda ky rehmat se na omeed nhi lekin muje koi rasta nazer nhi a raha.....kin halat mai khud khushi jaiz hai....agr khud khushi k bad b aziyat hai rohh k liye tu ub kon sa sakoon hai...plz guid

Answer: Khud khushi kerna azeem gunah main se hay. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),minhajus saliheen,part#1, maslah #30). Ayatullah kashmiri k mutabiq 7 rooz tak agar surah e alam nashrah surah#94 ko aik bar subah aur aik bar sham mai tilawat kar lia jae to tamam huzn gham door ho jain gay. (Ref : Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal pg # 94) Jo koe kise hajat k lie surah yaseen ki ayat no:40 ko 7 baar perhe to is ki hajat puri ho jay gi. ( ref: payaam shifa, pg: 249). [Updated on 20-Jun-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12789
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar mere waja se bohtt koi pareshan hai or mere Marne se wo log ki Zindagi Mai Khushi ati hai or hum iss lye marna chahte h to kya ye mout haram Hoga ? Koi aisa Surah btaye jiske parhne se 10 din m Mera intekal ho Jaye halal tarika se please......

Answer: (Halat or zindagi chahe kis qadar hi mushkilat ka shikar hojaye) lekin khud-kushi kisi bhi surat men jaiz nahi hai balke haram or gunah e kabeera hai(Ref:Ayat-ul-Allah Sistani (db) http://www.sistani.org/urdu/qa/01796/) Or isi Quraan ki roshni men Khuda ki rehmat se mayoos hone ko Kufr shumar kiya gaya hai lehaza kese bhi haalaat ajaen har wqt Allah se umeed honi chaiye or mayoos nahi hona chahiye.(Suraah Yousuf , Ayat#87) [Updated on 21-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13065
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar jumma k roz khud khushi ki jaye to kiya uska azab milta hai?kyun k mei ne suna hai k jo insan jumma k din marta hai uska hisab nhi hota?

Answer: Agar koi khud kushi karta hai to use azab diya jai ga Q ke Khud khushi kerna gunahan e kabira main se hay aur jo gunah e kabira anjam dega us se hisab o kitab sakhti se liya jai ga.( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),minhajus saliheen,part#1, maslah #30). [Updated on 03-Oct-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14127
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: لوگونے بہت تنگ کیا ہے خودکشی کرنی چاہئے مجھے کوئی اور راستہ نہیں نظر آتا ہے

Answer: Agar koi khud kushi karta hai to use azab diya jai ga Q ke Khud khushi kerna gunahan e kabira main se hay aur jo gunah e kabira anjam dega us se hisab o kitab sakhti se liya jai ga.( Ref: Ayatullah Sistani(d.b), minhajus saliheen, part #1, maslah #30) (Note: Khud kushi aik haram kaam aur gunah e kabira hai. Allah Taala ne insaan ko zindagi jaisi azeem nemat se nawaza hai lihaza insaan ko chahiay k is nemat per Allah Taala ka khaas shukar ada karay or is zindagi ka maqsad (Marifat e Khuda or Ibadat e Khuda) ko pora karay. Allah Taala ki khushnoodi k liay os ke ahkaam ke mutabiq apni zindagi guzaray. Masail tu zindagi ka hissa hain, insaan ko chahiay k Ahlebait(a.s) k batay hoay raastay per amal kartay hoy in masail ka saamna karay or Allah Taala ki riza per razi rahay or os per mukammal bharoosa karay ). [Updated on 20-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14522
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Asslam alikum sir . Khty khuda insan sy bht piyr krta h phr kisi ko pura jhn dy dyta h or kisi ko sirf tklef or hmry rony trpny fryad krny pr b nh sunta mgr hm phr b mngty rhty h ab agr hm thk jy or tklef hmri bs m na rh tu khud kushi kr saqty ?

Answer: Qismat ko kosna munasib nahin magar bad-gumani is had tak pohanch jaey k khuda say mayosi ho jaey tu ye gunah e kabira hai. Agar koi khud kushi karta hai to use azab diya jai ga Q ke Khud khushi bhi kerna gunahan e kabira main se hay aur jo gunah e kabira anjam dega us se hisab o kitab sakhti se liya jai ga. (Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #1, maslah #30). (Note: Aap apne mazi ko bhool kar apne hal par tawajo den or khuda ki madad or rehmat se mayusi ikhtiyar na kren, Or khuda se Mohammad w Aal-e-Mohammad ka waseela de kar tawasul ikhtiyar karen, khuda un Buzrg Hastiyon k sadqe aap ke tamam Masaail ko zaroor hal farmaye ga. Khudkushi aik haram kaam hai. Allah Taala ne insaan ko zindagi jaisi azeem nemat se nawaza ha lihaza insaan ko chahiay k is nemat per Allah Taala ka khaas shukar ada karay or is zindagi ka maqsad(Marifat e Khuda or Ibadat e Khuda) ko pora karay. Allah Taala ki khushnoodi k liay os ke ahkaam ke mutabiq apni zindagi guzaray. Masail tu zindagi ka hissa hain, insaan ko chahiay k Ahlebait(a.s) k batay hoay raastay per amal kartay hoy in masail ka saamna karay or Allah Taala ki riza per razi rahay or os per mukammal bharosa karay ). [Updated on 25-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15887
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Do gharo ki kushhali k lia ya aisa b kha ja sakta ha k do gharo ko bachana k lia ik shaks ko khudkushi krna pra to kya iska phir b gunah hoga?

Answer: Khudkushi karna Har surat me haram kaam hai or guhaane kabera hay. (Allah Taala ne insaan ko zindagi jaisi azeem nemat se nawaza ha lihaza insaan ko chahiay k is nemat per Allah Taala ka khaas shukar ada karay or is zindagi ka maqsad(Marifat e Khuda or Ibadat e Khuda) ko pora karay. Allah Taala ki khushnoodi k liay os ke ahkaam ke mutabiq apni zindagi guzaray. Masail tu zindagi ka hissa hain, insaan ko chahiay k Ahlebait(a.s) k batay hoay raastay per amal kartay hoy in masail ka saamna karay or Allah Taala ki riza per razi rahay or os per mukammal bharoosa karay) (Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #1, maslah #30, sistani.org,topic khudkushi,que.2). [Updated on 21-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 21979
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: Qibla Aslam o Alaykum mayra sawal zati noiat ka hy. Mari bv ki delivery k doran death ho gai hy aur 3 bachy b sath fot ho gay hain. Qibla main 4 mah sy sabr kr rha hon pr ab mari himat jwab dy gai hy aur main khudkushi k bary main soch rha hon. Kia in halat main khudkushi jaiz hy. Ya phr Is amal sy bachny ka koi wazeefa btain. Main Imam e zamana sy twasal b krna chahta hon is k lye main kia amaal kron. Plz mari mushkil kushai krain. Jazak Allah

Answer:

Id: 23562
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: Meri shadi ko 1.5 saal howa ha, meri bivi kirdar ka lehaz sa sahe nai thi ye mjhy apni shadi kay 18 days baad pta chala jab ma achanak ghar aya, tou achanak meri nazar uskay cell pa pari ma nay us ma kuch ajeeb say message dhekay tou ma nay us say pocha lakin wo jawab na day pai or na ma satisfied howa, barhal ma nay usko is tarhan 5 moqay diye lakin wo apna bhrosa dobara nai jeet pai or bar bar wo he harkat krti rahi..mjhy us say bhut mohabbat thi lakin wo ab nafrat ma badal chuki ha. wo kisi tarhan sudhrnay ka nam nai lay rahi..meri zindagi azab ma agai ha. ma is haal ma khudkashi krna chahta hon kia ye halal ha ??? kiyon ka ma us orat ko na chor skta hon or na ma rakh skta hon mjhy us say bhut ghin ati ha ma kahan jaoun or kia karoun ?? plzz reply as soon as possible

Answer:

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!