Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 5852
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Imam Hussain a.s. k rozay mai kitnay hissay mai namaz puri parhi ja sakti hai?

Answer: Jahan musafir ko namaz qasar aur mukammal donoo terah sai perhnay ka ekhtiar hota hai, is k hadood zareeh Mubarak k atraf mai 11.5 meter ka raqba hai. (Ref : Sistani.org urdu) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 5853
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Haiz wali aurat IMAM RAZA a.s. k haram sai kis qadar nazdeek ho sakti hai?

Answer: Ehtiyat e wajib ki bina par zareeh walay hissay sai door rehna chaheay. (Ref : Sistani.org urdu) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 12735
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Zyarat e Aashura kb kon sy imam pak as ki ha??

Answer: Ziyarat e Aashura imam muhammad baqir (a.s) se naql hoi hai. mazeed tafseelat ke liye is link ko visit karen. https://ur.wikishia.net/view/%D8%B2%DB%8C%D8%A7%D8%B1%D8%AA_%D8%B9%D8%A7%D8%B4%D9%88%D8%B1%D8%A7 [Updated on 27-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13000
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: ہم زیارت امام زمانہ(علیہ السلام ) قبلہ رخ ہو کر کیوں پڑھتے ہیں جب کہ زمانہ غیبت میں ہیں ؟

Answer: Imam zamana ajtf ka zuhoor khana e kaba k sehen main hoga, is liay khana e kaba ki janib hi ziarat perhi jati hay, mazeed ye keh ziyarat perhte waqt ye yaqeen nahi hota keh is waqt imam e zamana ajtf kis samt(direction) main hoon gaey. [Updated on 23-Jun-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!