Question: AOA. Janab mujhe gussa bahut bahut bahut aata h. Gusse ki wajah se hamesha apna nuksan karta hun. Apni sehat bhi isi gusse ki wajah se lagatar girti ja rhi h. Janab fouran jawab inayat farmaye... Shukrguzar rahunga
Answer: 1)Gussay ka ilaj chand cheezo par moqoof hai jis mai sai kuch aap ki khidmat mai tehreer krtay hain. 1: un hadeeso ko parhain k jo gussay ki muzammat mai warid hui hain. 2: un hadeeso ko parhain jo gussa na krnay k sawab mai warid hui hain. Jaisa k hazrat paigambar s.a.w.w. sai marvi hadees hai k jo shakhs kisi par gussa na karay khuda roz e qayamat is par azab na karay ga. 3: jis shakhs par insan gussa krta hai to osay gor(ﻏﻮﺭ) krna chaheay (ﭽﺎﮩﻴﮱ) k os kamzor par jo qudrat osay hasil hui hai, os sai bohat ziada khuda gussa krnay wala hai pas halat e gussa mai itna khayal krna chaheay k khuda kahin isi terah apna gazab aap par jari na karay. 4: ye tas’sa’wur(ﺘﺼﻮﺭ) karain k gussay k waqt aap ki kis qism ki buri surat aur aap k ﺍﻋﺿﺎﺀ(body parts) kis terah mutaharik aur aap k afaal(ﺍﻔﻌﺎﻞ) kis qadar ﺒﮯڈﻫﻨﮕﮯ aur aap ki guftugoo kis qadar ﺒﮯﺠﺎ ho jati hai. 2)Gussay k waqt shaitan sai panah leni chaheay aur “ ﺍﻋﻮﺫﺒﺎﷲﻤﻦﺍﻠﺷﻴﻂﺎﻦﺍﻠﺮﺟﻴﻢ ” parhni chaheay, agar kharay hon to beth jana chaheay, agar bethay hon to so jana chaheay, thanday pani sai wazoo krna chaheay aur ghusl krna gussay ki halat mai mufeed hai is sai gussa khatam ho jata hai aur hadees mai aya hai k agar kisi aisay shakhs par gussa aye jis sai khooni rishta rakhta ho to is k badan par hath rakhnay sai gussa khatam ho jata hai. (Ref : Urooj us Sadaat pg # 348-52) Gussay ko door karnay k lie surah e aal e imran ki ayat no 134 ko chini(sugar) per 101 martaba musalsal 21 din tak parhain aur pe lain inshallaha faida ho ga. (Ref: Naeem ul aamaal pg# 369) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: kis terhan hum dousrou kay gusay ko rok saktay hain
Answer: Gussay ko door karnay k lie surah e aal e imran ki ayat no 134 ko chini(sugar) per 101 martaba musalsal 21 din tak parhain aur pi lain inshallaha faida ho ga. (Ref: Naeem ul aamaal pg# 369) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Sawaal : woh konsi wahid haraam chiz hai, jiska peena sawaab hai?
Answer: Gussa. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Dil preshan rehta ha or gusa ata ha. Life ma kafi tentions hain. Plz koi solution bta dain jo ma hr waqt parhta rahon.kam banta banta banta ruk jata ha.life khushi ni ha.plz koi solution bta dain. Thanks
Answer: Gussay ko door karnay k liye surah e aal e imran ki ayat no 134 ko chini(sugar) per 101 martaba musalsal 21 din tak parhain aur pe lain inshallaha faida ho ga. (Ref: Naeem ul aamaal pg# 36). Was Salam. Ayatullah kashmiri k mutabiq 7 rooz tak agar surah e alam nashrah surah#94 ko aik bar subah aur aik bar sham mai tilawat kar lia jae to tamam huzn gham door ho jain gay. (Ref : Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal pg # 94) [Updated on 01-Nov-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salamun Alikum Qibla mani nikalne se just pehle jo ratubat nikalti he white colour ki kya wo najees hoti he ya ouske nikalne ke baad gusl karna wajib hota he? Khaminay sahab ke fatwe se btaiye ga
Answer: 1: Agar aap ko yaqeen hojaey keh wo mani hay to ghusul wajib hojaey ga lekin Ik tandrust insan k badan se jab koi ratoobat kharij ho or wo ye na jaanta ho keh pishab hai keh mani, ya koi or ratoobat, to wo ratoobat 3 sharton k sath mani ka hukm rakhti hai, 3 sharait hon ye hen, 1- shehwat ke sath nikli ho, 2-uchal kar nikli ho, 3- nikalne ke bad badan sust ho gaya ho, lekin ager in 3 alamaton men se sari ki ari ya kuch mojud na hon to wo mani ka hukm nahi rakti(yani use mani nahin kahenge). (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #345). 2: Wo ratoobat jo kabhi kabhi shehwat(sex) ubharne pr mard k aalaa-e-tanasul se kharij hoti hai use Mazzi kehte hen or wo paak hai, or wo ratoobat jo kabhi kabhi mani k kharij hone k bad niklti hai use Wazzi kehte hen ya phir wo ratoobat jo baz oqat peshab k bad nakalti hai use Wadi kehte hen agr in bad wali 2 ratoobaton se peshab mila hua na ho to pak hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #70). [Updated on 08-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalam_O_ALaikum...sir pehai bt mai apko ye bta do k mujha gussa bht ata hai...and jb mujha mobile per kse dst per gussa ata hai to mai ksam kha lyta hn k ab msg nikro gi...but os k bawajod jb agay sy wo sorry ka repply krtay hai to mai on k sth bt kr lyte hoo..........so kya sir iss chz ka gunha hai
Answer: