Question: kya islam mai palmistry jayz hai k nahi jst 4 knowledge.
Answer: Pamestry(dast shanasi) ki shariyat e islam me koe haqiqat nahi hai aur jab tak kisi baat ka yaqeen nah ho us ki khabar dena jaiz nahi hay. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 3, Mafhoom e sawaal # 149,pg # 70) Update on dated 10-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Kya Nikaah se pehle ladki aur ladke ka sitara dekhna jayez hai.
Answer: Wssalam o alykum, Islam main in ka sahi natija dena sabit nahi hai. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 3 , sawaal # 145 , pg # 69) . Update on dated 10-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Assalamuallaikum. kya ladka aur ladki ka sitara puchna kisi aallim se jaiez hai. Allah hafiz
Answer: Wssalam o alykum, Islam main in ka sahi natija dena sabit nahi hai. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 3 , sawaal # 145 , pg # 69) . Update on dated 10-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: sir mera question yeh hai k main eik larki se pyar karta ho ose shadi karna chahta ho mgr larki k ghar walo ny ilm e jafar k ilm se sitary milwaye hai mere or oske jo ke onke mutabiq nhi mil rhy hai or jis najomi se onhony pochwaya hai osny yeh btaya hai k agr os larki ki shadi mujhsy hugayi to hum khush nhi reh sakty or wo bemaar rahygi or husakta hai k mar bhi jaye mai buhat pareshan ho mera dil nhi manta yaqeen karny ka main kya karo kya osse shadi nhi karon ?plz answer zaroor dain yeh meri zindagi ka sawal hai plz ...
Answer: