Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 7453
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: aoa. bawaser ky lea koi quranic wazefa bataen

Answer: wssalam o alykum, Ager is dua (ya raheema kulli sareekin wa makroobin, ya raheemo bi rahmatika ya arhama al-rahemeena) ko peer ya roz e jumma likh kar moom jama kar ke kamar main band lain to INSHALLAH ALLAH TAALA is se nijaat aata kare ga. (Ref : nawaa e saleheen , pg #330, ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae).

Id: 8889
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Sir meri mother ko bawaseer ka problem he. na blod aata he or na hee massay bany hoye hain. sirf jalan hoti he..or kabhi kabhi tou bohat shadeed jalan hoti he.kindly koi ilaaj batain. JAZAKALLAH

Answer: wssalam o alykum, Ager is dua (ya raheema kulli sareekin wa makroobin, ya raheemo bi rahmatika ya arhama al-rahemeena) ko peer ya roz e jumma likh kar moom jama kar ke kamar main band lain to INSHALLAH ALLAH TAALA is se nijaat aata kare ga. (Ref : nawaa e saleheen , pg #330). Update on dated 27-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 10690
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: mera q ye hai k mein apny father ky sath umry p jana cahti hun but mery father ko bawaseer ki shikayet hai to kya wo ehram ky nechy kuch pehan sakty hain ta k un ka ehram saf or pak rahy ?

Answer: Jee ehram k nichey koe kaprha waghair pehen sakte hain, bas ye khiyaal rahe k wo kaprha sila hoa nah ho. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Manasik e haj, maslah #242). Update on dated 29-08-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey). Ijaj: Bawaseer k ilaj k liay Mektum homeo pharma company ki homeopathic medicine T-7 ka istemaal karain. Or mektum haemorrhoids ointment ka istemaal karain. Insha allah is marzse nijaat mi jaey gi.

Id: 24195
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: mery father ko bawaseer ki problem hai . or ye masla un ko kfi salon sy hai . ab un k kapry gandy ho jaty hain . un ko buht ziyada problem ho rai hai .doctors sy kafi disscus kiya but wo just oppration ka kehty hain or mery father oppration ni karwna cahty . please ap koi help kren .

Answer:

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!