Question: Kia ghar mai tote rkh skte hain
Answer: Jee ap usse rakh sakte hain.(Ref: https://www.sistani.org/urdu/qa/search/2274718/) [Updated on 06-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Paltu billiyan inkey bachey sale kr skty hein
Answer: Agar inki khareed o farokht se koi halaal faida hasil ho to is surat men inka khareed o farokht jaiz hai. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 2, Mafhoom e Maslah # 01, Eidition 1417 hij) [Updated on 25-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Moor palna jaiz hai?
Answer: Moor ka paalna jaiz hai.(Ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 3, Mafhoom e ques # 169, pg # 75). [Updated on 28-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kon kon se janwar paalna jaiz hai?
Answer: Tamam Janwar ya Parinday paalna jaiz hai.soar or ggghair shikaari kitto ko khareedna or baichna bhi jaiz nahi hay.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2016 + Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 3, Mafhoom e ques # 169, pg # 75). [Updated on 30-Sep-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Asallam alequm kya islam mai billiyan paalne ki ijazat hai.
Answer: 1: Jee han, Billi paalna jaiz hai. (Ref: Mujtahid se pouchey gay sawalat, Ayatullah Sistani(d.b), part #3, Mafhoom e sawal #169, pg #75). 2: Agar namaz parhne waale ke libas per billi k itne kam baal hoon jisay nah hona shumaar kia jaey jaisay k 1 2 or 3 baal maujood hoon tu namaz durust hai. lekin agar is se ziyada baal maujood hon to namaz batil ho jati hai. (Ref: Tauzeeh ul masail jaame, Ayatullah Sistani(d.b), part #1, maslah 995). 3: Haram gosht janwer jaise billi k monh ya naak ka pani ya koe dosri ratubat namaz perhne wale k badan ya libaas per lagi ho, agar wo tar (gheeli) ho to namaz batil laikin agar khush ho aur is ki ain nijasat zaail ho gayei ho to namaz saheeh hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, maslah #80,813). [Updated on 26-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agar murghian hamari kotaahi se mar jaein to kaffara Kya hota hai?
Answer: Koi kaffara nahi hota. (Ref: Mujtahid say pochay gaay sawalaat, Part #3 sawal #171, pg #76). [Updated on 03-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya islam me sher palna Jaiz h?
Answer: Jee, Jaiz hai agar is se koe halal faidah hasil kia jaata ho. lekin ehtiyaat e wajib ki bina par us ki zaroorat ka khayaal rakhna zaroori hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Minhaj us Saliheen, edition 1443 hijri, part #2, maslah #13. + part #3, maslah #458,459). [Updated on 26-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: asslam alikum. kya aaap mujhe bta sakty hy ky ghar may chicken ka bacha palna yani choza palna kysa hy q ky idhar to saudia may band ghar hoty hy or wi khula ghom phir nhi sakty ir agr wo mar jaye to is ka gunah kya hy myry hisab sy to zindagi mout allah ki traf sy hi hy to phir bhi aao bta dy shukriya
Answer: