Question: EMAN BACHANE K LIYE KYA JHOOTA EHAD KR SKTE HAI or kya bohri larke sy nikah jayaz hy
Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). 1: Agar pehle tauriya ya taqayya kiya jaa sakta ho to pehle yahi karna hoga aur agar is se bhi maslah hal na ho to jhoota ehad kiya jaa sakta hai. waise aam haalaat men Jhoot bolna (ya wada or ehad karna) yani wo khabar dena jo haqeeqat mai na ho gunah e kabeera hay chahay is se kisi ko nuqsan pohnche ya nah pohnche. Is mai koi faraq nahin ke jhoot mazaq mai bola jae ya sanjeedgi mai. 2: Jhoot bolna faqat do maqamaat par jaiz hai, 1. Apni jaan bachane ke liye. 2. Do logon men islah karane ke liye. 3: Agar tauriyah kiya jaye to koi haraj nahin hai. tauriyah yani alfaaz ke zaaheri mafhoom ko chhor kar dosray matlab ki niyat karey maslan agar koi zaalim kisi ko aziyat dena chahe aur kisi dosray shakhs se pooche ke kiya tum ne fullan shakhs ko dekha hai? Aur is ne us shakhs ko aik minute pehlay dakha ho to wo kahay ke mein ne use nahin dekha aur qasad (irada) ye karay ke is waqt sai 5 minute pehlay mene use nahin dekha. 4: Agar apne mazhab ke tabdeel ho jane ka khouf na ho aur apne wazaaif ke anjam deny men rukawat banne ka koi khouf bhi na ho to buhri larke se shadi kar sakti hain, aur agar apne mazhab ke tabdeel ho jane ka khouf ho ya apny aamal apnay wazifay ki bina par anjam nah day saknay ka khouf ho to jaiz nahin hai. (Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #2, Maslah #38, part #3, mafhoom e maslah #215. + sawal o jawab website agha sistani Link: https://www.sistani.org/urdu/qa/01776. + Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, Maslah #2638). [Updated on 12-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: AoA Mera aik sawal h ke Kia hum salary ke bare jhoot bol Skte he maslan Meri salary h 20 hazar mein ye jhoot bol skta hn ke Meri 15 hazar salary he Kia ye Jaiz he??
Answer: 1: Jhoot bolna yani wo khabar dena jo haqeeqat mai na ho ye gunah e kabeera hai chahe is se kisi ko nuqsan pohnche ya nah pohnche. Is mai koi faraq nahin ke jhoot mazaq me bola jaye ya sanjeedgi men. 2: Jhoot bolna faqat do maqamaat par jaaiz hai: 1. Apni ya momineen ki jaan bachane ke liye. 2. Do logon men islah karane ke liye. 3: Agar tauriyah kiya jaye to koi haraj nahin hai. tauriyah yani alfaaz ke zaaheri mafhoom ko chhor kar dosray matlab ki niyat karna maslan agar koi zaalim kisi ko aziyat dena chahe aur kisi dosray shakhs se pooche ke kiya tum ne fullan shakhs ko dekha hai? Aur is ne us shakhs ko aik minute pehlay dakha ho to wo kahay ke mein ne use nahin dekha aur qasad (irada) ye karay ke is waqt se 5 minute pehlay mene use nahin dekha. (Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #2, Maslah #38. + sawal o jawab website agha sistani Link: https://www.sistani.org/urdu/qa/01776 . + Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, Maslah #2638). [Updated on 18-Mar-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: kisi ki izzat agr apki wjah say khrb hyi ho r ap bad may usi ki izzat bachanay kay liye sara ilzam khud pr daal saktay ho?
Answer: 1: Agar aap ne wo kaam nahin kiya aur dusron ko kahen ke ye mene kiya hai (yani ilzaam apne sar lay lena) ye jhoot kehlaye ga aur jhoot bolna yani wo khabar dena jo haqeeqat me nah ho ye Haram aur ghunah e kabira hai. chahe is se kisi ko nuqsan puhnche ya nah puhnche. 2: Agar tauriyah kiya jaye to koi haraj nahin hai. Tauriyah yani alfaaz ke zaaheri mafhoom ko chhor kar dusray matlab ki niyat karna maslan agar koi zaalim kisi ko aziyat dena chahe aur kisi dosray shakhs se pooche ke kiya tum ne fullan shakhs ko dekha hai? Aur is ne us shakhs ko aik minute pehlay dakha ho to wo kahay ke mein ne use nahin dekha aur qasad (irada) ye karay ke is waqt se 5 minute pehlay mene use nahin dekha. (Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #1, maslah #30, Part #2, maslah #38. + sawal o jawab website agha sistani Link: https://www.sistani.org/urdu/qa/01776 . + Tauzeeh ul masail, edition #42, Maslah #2638). [Updated on 08-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Non mehram se peecha chudane ke liye jhoot bol sakte hae
Answer: 1: Jhoot bolna yani wo khabar dena jo haqeeqat me nah ho ye Haram aur ghunah e kabira hai. chahe is se kisi ko nuqsan puhnche ya nah puhnche. 2: Agar tauriyah kiya jaye to koi haraj nahin hai. Tauriyah yani alfaaz ke zaaheri mafhoom ko chhor kar dusray matlab ki niyat karna maslan agar koi zaalim kisi ko aziyat dena chahe aur kisi dosray shakhs se pooche ke kiya tum ne fullan shakhs ko dekha hai? Aur is ne us shakhs ko aik minute pehlay dakha ho to wo kahay ke mein ne use nahin dekha aur qasad (irada) ye karay ke is waqt se 5 minute pehlay mene use nahin dekha. (Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #1, maslah #30, Part #2, maslah #38. + sawal o jawab website Ayatullah Sistani(d.b), Link: https://www.sistani.org/urdu/qa/01776 . + Tauzeeh ul masail, edition #42, Maslah #2638). [Updated on 02-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salam. Facebook pe fake ids se comments kar ke apne page pe reviews upload karna page permotion k liye aur product asal mai bhi achi hai to kya fake comment kr k reviews bnane mai koi gunah to nahi ? Rehnumai farmayen
Answer: Nahin, is tarah nahin kar sakte hain Q ke ye jhoot or dokha dahi hai aur jhoot or dhoka dahi Haram hai. (Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #1, maslah #30. + Part #2, maslah #29,38). [Updated on 26-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: hamnay dono family nai decide kia hai kai haq mehar sirf bola jayega 20 lakh family ko show karnay kai lia magar likha jayega 2 lakh kia yeh thik hai dono family ki rzamandi hai isme?
Answer: Family ko show karnay ke liye 20 bata kar 2 lakh likhna, yeh sahi nahin hai,kyu ke jhoot or dhokhe me shumaar hota hay, Albatta nikah sahi hoga Q ke agar nikah e daaimi me meher muayin nah kiya jaye to nikah sahi hai, aur agar mard, biwi ke sath jima (hambisrti) kare to zaroori hai ke us ka meher usi jaisi aurton ke meher ke mutabiq day. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, mafhoom e maslah #2373). [Updated on 19-Dec-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalamualaikum mera sawal ye hy k agar mere 80% marks ayein or hum jhoot bolein k 90% marks ayein izzat bachany k liye tho kia ye jhoot ho ga kia taleemi maidan mein izzat bachany k liye jhoot bolein tho wo jhoot ho ga or agr hy tho kia kfara ho ga
Answer: 1: Jhoot bolna yani wo khabar dena jo haqeeqat me nah ho ye Haram aur ghunah e kabira hai. chahe is se kisi ko nuqsan puhnche ya nah puhnche. 2: Agar tauriyah kiya jaye to koi haraj nahin hai. Tauriyah yani alfaaz ke zaaheri mafhoom ko chhor kar dusray matlab ki niyat karna maslan agar koi zaalim kisi ko aziyat dena chahe aur kisi dosray shakhs se pooche ke kiya tum ne fulan shakhs ko dekha hai? Aur is ne us shakhs ko aik minute pehlay dakha ho to wo kahay ke mein ne use nahin dekha aur irada ye karay ke is waqt se 5 minute pehlay mene use nahin dekha. (Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #1, maslah #30, Part #2, maslah #38. + sawal o jawab website Ayatullah Sistani(d.b), Link: https://www.sistani.org/urdu/qa/01776 . + Tauzeeh ul masail, edition #42, Maslah #2638). [Updated on 02-Apr-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: A/w...mera naam Rijwan khan hai main nepal ka rahne wala hu...meri saadi ek ladki se hone waali hai...usse meri baat 3 saalo se hoti hai...maine usse kayi jhut bole...wo mujh per bahut bharosa karti thi but kuch mahino se usne mera 2,4 jhut pakad liye hai..ab wo mujh per sak karne lagi hai..kahti hai tumhara kisi aur ladki k saath chakkar tha...wo kahti hai ki aap hume sabkuch such such batado hum aapko nhi xodenge aur saadi v aapke saath karenge aur aapko kavi jaaleel v nhi karenge aur na wo baat kavi nikalenge marte dam tak.. lekin aap kurane paak per haat rakh ker kasam khawo...to kiya main us ko apne bareme such batadu????? kuraan ki jhuti kasam khalu????
Answer:
Question: Agar hum koi jhoot bol kr gair muslim country se pese lelen kia wo haram hoga? Jhoot bolna kisi bure kaam k liyan nahi bs humra faida horha hoga baqi kisi ka nuksan ya kisi ko takleef nahi hogi.. tou kia yeh wo pesa jo jhoot bol kr aya hai kisi gouv se wo haram hai?
Answer:
Question: mere behnoi nei mujh sei quran mere sar par rakhwa kar aur mera hath bhi quran par rakhwa kar pocha kei tumhari kabhi us larkei sei baat hoi hai aur mei nei jhoot bol diya kei nahi hoi. jab kei meri 5 6 baar us larkei sei baat hoi hai . Mei kabhi jhoot na bolti lakin wo mera bhai nahi behnoi tha aur mei nei apni izzat bachanei kei lie bol diya. mei ek larki hun kiya mei agar roze rakh kar kafara ada karun tu kufara ada hu jae ga?
Answer: