Question: Mera dimag mai bht fazool waswasy aty hai iska lia koi wazifa btai
Answer: 1-Ayat ullah aqa e behjat, shaitani waswaso ko door karne k liay (Laa haula walaqoowata illaa billahil aleeyil azeem.) parhne ki bohot takeed farmate thay. 2-Sorah e juma ko pabanidi se rozana parhne se shaitani waswaso se mukammal nijaat mil jaati hay.(Ref: Dunya o akhirat ki 100 preshaniyo ka hal, pg#52). [Updated on 11-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Sir mera aik hi beta h 4 sal ka mujy uss k bary shetani waswasy aty k.agr main usy mar dalon phr main bht roti k main to uss ki maa hon mery damag main asi soch ksy a skti h plz help me
Answer: 1-Imam jaffer sadiq a.s irshad farmate hain keh: Jo shaks sorah e juma ko raat, din ya asr k waqt tilawat kare gat u wo shaitani waswasae se amaan main hoga. (Ref: Dunya o akhirat ki 100 preshaniyo ka hal, pg#51). 2- Ayatullah behjat shaitani waswaso ko door karne k liay “Laa haula walaa qoowata illaa billaahil aliyil azeem” ۔(لا حول ولا قوۃ الا باللہ العلی العظیم) perhne ki bohot takeeed farmate thay. (Ref: Dunya o akhirat ki 100 preshaniyo ka hal, pg#52). [Updated on 17-Sep-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalam o alaikum sr plz is ka koi wazifa bta dy k bury khialat sy kesy bacha ja saky
Answer: W/ssalam, rozana 1000 martaba ya Allaho or raat ko sone se pehle sura e Yaseen pharye. (Ref : nawaa e saleheen , pg # 276,48) [Updated on 16-Sep-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: مجھے نماز پڑھتے وقت مختلف خیالات آتے ہیں مہربانی فرما کر احادیث اور سیرت اہعمہ کے مطابق جواب دیں
Answer: Shaitani waswaso or bure khayalaat se mehfooz rehne k liay har namaz k baad or raat ko sone se pehle sorah mominoon ki ayat#97,98 ko perh lain. (Ref: Nawaey saliheen, Mafhoom e pg#335). [Updated on 29-Sep-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Muje apni maa k bare me bure khayal ate hai
Answer: Shaitani waswaso or bure khayalaat se mehfooz rehne k liay har namaz k baad or raat ko sone se pehle sorah mominoon ki ayat#97,98 ko perh lain. (Ref: Nawaey saliheen, Mafhoom e pg#335). [Updated on 29-Sep-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mere Man me bure bure khyal aa rahe hai me kya karu. Me rokne ki bahut badi koshish karta hu. Lekin Kamyab nahi Ho PA raha hu. Plz ans me
Answer: 1- Ye sub shaitani waswase hain, 1-Imam jaffer sadiq a.s irshad farmate hain keh: Jo shaks sorah e juma ko raat, din ya asr k waqt tilawat kare gat u wo shaitani waswasae se amaan main hoga. (Ref: Dunya o akhirat ki 100 preshaniyo ka hal, pg#51). 2- Ayatullah behjat shaitani waswaso ko door karne k liay “Laa haula walaa qoowata illaa billaahil aliyil azeem” ۔(لا حول ولا قوۃ الا باللہ العلی العظیم) perhne ki bohot takeeed farmate thay. (Ref: Dunya o akhirat ki 100 preshaniyo ka hal, pg#52) [Updated on 24-Mar-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Sab kuch sahi hone ke baad bhi Nikah mein shak hona ?
Answer: Agar koi kaseerush Shak ho aur waswasay ki beemari main mubtala ho tu usko shak ki parwa nahi karna chahiye aur apnay aamaal ko durust samajhna chahiye.(Ref:Istiftaat A.Sistani I-49) [Updated on 06-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Ghaliban Saari sharait sahi hone ke bad bhi Nikah ke sahi hone aur Allah ki baargah mein uski qubuliyat mein shak hona ? Ye badgumani ki Nikah qubool hi nahi hoga ye Zann e ghalib aana aur Nikah ke baatil ho Jane Ka khauf ?
Answer: Agar koi kaseerush Shak ho aur waswasay ki beemari main mubtala ho tu us ko shak ki parwa nahi karna chahiye aur apnay aamaal ko durust samajhna chahiye.(Ref: Istiftaat A.Sistani I-49) [Updated on 06-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya gustakhana , bure o gande waswasay aane se insan kaafir ya murtad ho haha hai ?
Answer: Jee nahin Is tarah sai koe banda deen sai khaarij nahi hota. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 39 maslah no 103, masaelul muntakhaba, maslah#24) [Updated on 28-Oct-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agar koi shakhs Kaseer us shak ho aur kisi khyal ya waswasay ki wajah se usko ye lagey ki uska Nikah shar'an durust nahi hoga to wo kya Karey ?
Answer: Os ko chahiay keh wo apne waswase ki parwah nah kare. (Ref: https://www.sistani.org/urdu/book/26352/4222/) [Updated on 31-Oct-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]