Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 5150
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: mufti sahab aap kis nazreye se kah rahey hain k aurat ka QABRASTAN main jana jaiz hai agar aap k pass koi saboot hai tou mujhey btao?

Answer: Hadees e nabi(s.a.w.w.)ki hadees hay jis main nabi(s.a.w.w.) ne fermaya k main ne tum ko qabroon ki ziyarat kerne ka mana kia tha, pas ab ziyarat karo. (Ref: uloomul hadees wa Ahkamoho,Auatullah sheikh jaffer subhani, Mafhoom e pg#87). Update on dated 10-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 10394
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Non muslim ka muslim qaburstan me daffan hony ki rahee den..?

Answer: Musalmaan ko kaafir k qabrastano mai dafan karna or kafir ko musalmaano k qabrastaan mai dafan karna jaaiz nahi hai.(Ref:Tauzeeh ul masail aaytullah seestani edition#41,maslah#610) [Updated on 15-Apr-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 11980
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salam..kya main apni biwi or bachon ko apni Ami ki kabar pe le k ja sakta hn..meri ak beti 3 Saal ki ha or dosri 5 Saal ki..

Answer: Jee lay jaa saktay hain koe haraj nahi. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 3, sawaal # 202, pg # 85) [Updated on 06-Mar-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12284
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya graveyard ma bina gusal k Janabat ki haalat ma ja sakthy hai

Answer: Jaiz hai, lekin 12 Imamo (a.s) ke Haram main therna – ehtiyaat e wajib ke etibaar se – jaiz nahi hai. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah #354) [Updated on 04-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12427
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: سوال۔ کیا خواتین کا قبرستان جانا صحیح ہے؟

Answer: Khawateen ka qabrustan jana jaiz hay. (Ref: Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 3, sawaal # 202, pg # 85). [Updated on 18-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13685
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Meri beti jiski umer 7month 11din ki thi uski wafaat hugi ha Sawal kia uski maa qabar pr jasakti ha ore baap kia roz ja sakta ha ore bachi ka chaliswa huga ya ni ?

Answer: Aurat qabaristan jasakti hai. aur apni beti ki qabar par bhi ja sakti hai. aur walid bhi ja sakta hai, aur peer k din, junmerat k din khususan sham k waqt or hafte ko subah k waqt qabristan jane ki takeed warid hui hai. (Ref: Mujtahid se Puche gaye sawalat, Ayatul_Allah Sistani(d.b) Part#3, Pg#85, Ques#202). (Note: Chaliswan: yani aksar ahle islam ki janib se apne marne wale ki yad men aur us ke isaal e sawab k liye manai jane wali rasm hai to aap bhi chaliswan mana sakte hain). (Ref: https://ur.wikipedia.org/wiki/%DA%86%DB%81%D9%84%D9%85 [Updated on 15-Dec-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14071
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Ladies ka qabarustan jana kaisa hai??? Koi hadees reference k bhi den,aur ahle sunnat ki books se bhi reference deden,jazak Allah

Answer: Aurat ka qabaristan jana jaiz hai. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 3, sawaal # 202,pg # 85) Hadees e nabi(s.a.w.w.) hay ke jis main nabi(s.a.w.w.) ne fermaya k main ne tum ko qabroon ki ziyarat kerne ka mana kia tha, pas ab ziyarat karo. (Ref: uloomul hadees wa Ahkamoho, Ayatullah sheikh jaffer subhani, Mafhoom e pg #87) [Updated on 09-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17370
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Periods ki halat mein hum darbar ki ziyarat kar sakte hain kya

Answer: Jaiz hai, lekin 12 Imamon(a.s) ke Haram main theherna - ehtiyaat e wajib ki bina par - jaiz nahin hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #354,448). [Updated on 20-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17435
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Asalam o alaikum.. Can a women in her period visit graveyard ?? For the purpose of visiting her mother's grave ??

Answer: Halat haiz me aurat qabrustan jasakte sakti hai, Jaiz hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #354,448). [Updated on 14-Dec-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!