Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 8018
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: husband ki death ho chuki ha 3 sal sy to baz oqat bury khyal mind ma aty han in sy roza rkhny k elaw koi hll btany k jan choot jay

Answer: Hazrat Imam Ali Raza a.s. sai marwi riwayat k mutabiq zawal k waqt 150 martaba “Ya Quddoos ” ka wird dil ko noorani kar deta hai aur osay shatani waswasoo sai aman mil jati hai. (Ref : Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal pg # 20) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 8131
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mera nfs gndy kam krany k lia mjbor krta h mjy aisa wfiza btay k me gunah sy dor rhn

Answer: Hazrat Imam Ali Raza a.s. sai marwi riwayat k mutabiq zawal k waqt 150 martaba “Ya Quddoos ” ka wird dil ko noorani kar deta hai aur osay shatani waswasoo sai aman mil jati hai. (Ref : Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal pg # 20) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye) Hazrat Ali a.s irshad farmatay hain k Jo shakhs namaz e subah k baad 11 martaba surah e tauheed ki tilawat karay to os din wo koi gunah na karay ga chahay shaitan kitni hi koshish karay. (Ref : Dunya o aakhirat ki 100 preshanio ka hal pg # 42) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 8702
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kindly do me a favour by avoiding a girl that I love ...because she is character less.. And I don't stop my self to involved in her .. Kindly suggest me helpful answer ..

Answer: Shaitani waswaso or bure khayalaat se mehfooz rehne k liay har namaz k baad or raat ko sone se pehle sorah mominoon ki ayat#97,98 ko perh lain. (Ref: Nawaey saliheen, Mafhoom e pg#335). Update on dated 21-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 8888
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Please give me Nad-e-Ali wazifa and its procedure for Tazkiya Nafs

Answer: Tazkiya e nafs or roshan e qalbi k liay namaz e subah or isha k baad awwal o aakhir 7 baar salawaat k sath 100 baar sorah e shoora ki ayat#53 ko 100 baar perhain tu insha allah zahir o batini aalaisho o khabasatu se nafs bazaar hoga. (Ref: Nawaa e saliheen, pg#342). Update on dated 13-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9042
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Ashsalam walekum hajrat mera sawal aap se hai mere biwi ko gussa bahut aata hai har choti Choti baton me guess ho jate hai chirchira jate hai Mai bahut pareshan hu aap koi dua bataye

Answer: 1)Gussay ka ilaj chand cheezo par moqoof hai jis mai sai kuch aap ki khidmat mai tehreer kertay hain. 1: Un hadeeso ko parhain k jo ghusse ki muzammat mai warid hui hain. 2: Un hadeeso ko parhain jo ghussa nah kerne k sawab mai warid hui hain. Jaisa k hazrat paighambar s.a.w.w. sai marvi hadees hai k jo shakhs kisi par ghussa nah karay khuda rooz e qayamat is par azab nah karay ga. 3: jis shakhs par insan ghussa kerta hai to osay ghaur kerna chahiay keh os kamzor par jo qudrat osay hasil hoe hai, os sai bohat ziada khuda ghussa kernay wala hai pas halat e ghussa mai itna khayal kerna chahiay k khuda kaheen isi terah apna ghazab aap par jari nah karay. (Ref : Urooj us Sadaat, Mafhoom e pg # 348-52). 2)Gussay ko door karnay k lie surah e aal e imran ki ayat#134 ko cheeni(sugar) per 101 martaba musalsal 21 din tak parhain aur pee lain insh Allah faida ho ga. (Ref: Naeem ul aamaal, Mafhoom e pg# 369). Update on dated 15-03-2016. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 12408
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: GuNaaH Se bachne ki dua aur NaF'S ko control krne ki dua bataye

Answer: Hazrat ali (a.s)irshad farmatay hain k jo shakhs namaz e subah k baad 11 martaba surah e tauheed ki tilawat karay to os din wo koi gunah na karay ga chahay shaitan kitni hi koshish karay ref dunya o aakhirat ki 100 preshanio ka hal pg 42 [Updated on 18-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13627
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalam o alaikum , sir mn buhat pareshan hun agar hum kisi se shaadi karrai hain or woh hum se aesi baat pouchai jo agar mene usko bata diya toh mene apnay gunnah ka saboot banaliya toh mn ussey jhute bolo ya sach

Answer: 1) Doosro k saamne apne gunah ka iqraar karna (yani ye batana ke mene fulan gunah ko anjam diya hai) jaiz nahin hay).(Ref: Mujtahid se poche gaye sawalaat, part#2, pg#88). 2) Jhoti qasam khana jaiz nahi hay. Albatta aap ko chahiay k aap tauriyah karain, yani aise alfaaz istemaal karain k jis se wo khuch or samjhain aap ki muraad khuch or ho. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2638). [Updated on 29-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13774
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya Zina ki Mafi qabool ho gi agar wo sachy dil se mangi jay aur apny ghuna per sharminda ho to ?

Answer: 1: Sab gunah maaf ho saktay hain, agar inssan tauba karay tou usay ye yaqeen hona chahye k parwardigaar e aalam ki rehmat bohat wasee hai wo maaf karne waala hai. Q k Parwardigar nai quran majeed mai wada kia hai k wo toba karney waloo ki toba ko qabool karta hai. aur aisa hargis nahi ho sakhta k wo apne waday par amal na karay. (Ref : website Ayatullah sistani d.b. ques # 1 , toba http://sistani.org/local.php?modules=nav&nid=5&cid=888) 2: Aap sab se pehlay tu aap ko apnay is gunah per nidamat honi chahiay or Allah se istighfaar or tauba talab kerni chahiay or apnay aap se ehed or wada kerna chahiay k is ghunah e azeem ko phir kabhi anjaam nahi dain gi.or hamaisha yaad rakhain k Allah aap ko har waqt daikh raha hay or aap is gunah ko anjaam day ker shaitan ka hokum maan rahay hain or Allah ki na fermani ker rahay hain.aap koshish karain k aap khud ko dosri mufeed kaamo main masroof ker lain jaisay khail, perhae waghaira waghaira or har os cheez se perhaiz karain jo aap ko in kaamo ki janib ubhaaray. (E-mail Rcvd from A.Sistani(d.b) Sep 27, 2010). [Updated on 29-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13907
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalamo alaikum. Me bht preshan hun me bht gunehgar hun me ne lrko se bate b ki. Zana b kia kale jadu b krae. Jhut b bola. Aj me bht tkif me hu. Bht mafi mngti hu Allah se. Kia kru mje btao ta k Allah razi ho mj se

Answer: Sab gunah maaf ho saktay hain, Agar inssan tauba karay tou usay ye yaqeen hona chahye k parwardigaar e aalam ki rehmat bohat wasee hai wo maaf karne waala hai. Q k Parwardigar nai quran majeed mai wada kia hai k wo toba karney walon ki toba ko qabool karta hai. aur aisa hargis nahi ho sakhta k wo apne waday par amal na karay. Haqiqat e tauba gunah ki anjaam dahi per nidamat hay. or isi liay kaha gaya hay k “ nidamat hi tuba hay ”. or waazeh hay rahay k haqiqi nidamat hamesha gunah k tark k mazboot iraday or dobara is ki taraf nah palatnay k iraday k saath hoti hay. or haqiqi nadim shaks zaroor bil zaroor apnay pichlay gunahon ka izala or tadaruk karta hay. agar os ka gunah huqooq e khuda main se ho tu khuda ki baargaah se maghfirat talab karay or agar qaza ya kaffara ya dobara amal ka anjaam daina wajib ho tu anjaab dain. Or agar huqooq e naas os k zimmay ho tu zarori hay k sahib e haq se os haq ka apnay oper halal honay ki ijazat lay lay ya oska haq os ko day day. taubah faqat astaghfirul laah kehnay se nahi ho jati, balkeh nidamat or hamesha gunah k terk kernay ka mzboot irada or os ka tadaruk laazimhay. albattah agar tauba k baad gunah karay tub hi remat e Khuda se mayoos nah ho balkeh zarori hay k dobarah tauba karain. kyun keh Khuda kareen or meherban hay. or bakshnay wala hay. or tauba karnay walo ko doost rakhta hay. hadees e shareef main hay k: “ Aik lamhah r fikr karna 60 saal ki ibadat se behter hay” or tauba main asar andaaz cheez ye hay k azmat e Khuda or os ka apnay bando per haq or khuda ka her jagah hazir o nazir honay per fikr karna hay. or isi liay hadees main ayay hay: “ tanhaae main bhi gunah k anjaam dainay se parhaiz karo k Khuda hazir or daikhnay wala hay ”.(Ref: website Ayatullah sistani(d.b) ques #1, toba, http://sistani.org/local.php?modules=nav&nid=5&cid=888) (Ref: email rcvd from Aqae sistani(d.b), dated:17-08-2011). [Updated on 27-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14353
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mery bahi ko bohat kosa ataa ha hor pershan hota ha dil e damag ko sakoon nahi ha hor bohat jazbati ha koi quarni wazifa batay

Answer: Gussay ko door karnay k liye surah e aal e imran ki ayat no 134 ko chini(sugar) per 101 martaba musalsal 21 din tak parhain aur pe lain inshallaha faida ho ga. (Ref: Naeem ul aamaal pg# 36). Ayatullah kashmiri k mutabiq 7 rooz tak agar surah e alam nashrah surah #94 ko aik bar subah aur aik bar sham mai tilawat kar lia jae to tamam huzn gham door ho jain gay. (Ref: Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal, pg #94). [Updated on 23-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!