Question: Masumeen nazil hote hain ya paida hote haib
Answer: Masoomeen a.s paida hote hain. In k waaldain hote hain. Ye bachpan guzaar ker jawaan or buzrug hote hain. Hamari ahadees or tareekh e islam ki kitabo main ye batain maujood hain. Maslan osool e kaafi ki jild awwal k baab abwaabut Tareekh main baab e maulood(Birth Chapter) k naam se 14 masoomeen ki paidaish ka zikr maujood hay. Zuhoor ka aqidah ghaali firqay ka hay.(Ref: Osool e kaafi, part#1, Abwaabut Tareekh). Update on dated 16-12-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).