Question: Assalamualikum mere husband n kl khaab m dekha k m unhy jaan s mar rhi hu .. m unki dusri biwi hu ! Kya ap tabeer bata skty ?? Or m roz bura Khab dekhti hu khoof wale koi kali chez k
Answer: 1-Is Khawab ki tabeer ye hay keh aap k shohar ko nafa, taraqqi or dolat hasil hogi.(Ref: tabeer e roya, pg#170). 2-Hazrat e Ameerul momineen se manqookl hay kkeh jo shaks soote main dare ya neend nah ane main pareshani hoti ho tu sorah e kahf ki ayat#11 or 12 ko parhe. (Ref: tabeer e roya, pg#27). [Updated on 27-Mar-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: AOA. Meri wife 7th month pregnant he 8th start hone wala he. Wo har raat ko buray khuwab dekhti he jese koi usko maar rha he ya koi usko bache se door kr rha he ya hamara bacha chala jaega. Kya he in khwabon ki waja. Hum bht pareshan hen
Answer: Sone se pehlay 1 baar tesbeeh e zehra sa ko perhain or is k baad 10 baar ye dua perhi jaey: Laa ilaaha illah laah, wahdahoo laa shareeka lah, lahol molko walahol hamd, yohyee wa yomeeto wa yomeeto wa yohyee, walahokh tilaaful laili wan nahaar, wa howa alaa kulli shaien qadeer. لا الہ الا اللہ، وحدہ لا شریک لہ، لہ الملک ولہ الحمد، یحی و یمیت و یمیت و یحیی، بیدہ الخیر، ولہ اختلاف اللیل و النھار، و ھو علی کل شیئی قدیر۔ (Ref: tabeer e ruya, alama majlisi, pg#28). [Updated on 27-Jan-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Ghar mein chor dahil hona
Answer: sawaal repeat hay [Updated on 06-Aug-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: A.O.A mera ye sawal hai k ma ne apni wife ka apny dost se zana karwaya ha neend me ab mujhy kia krna chahiye mafi kesy ho gi meri jawab lazmi den please
Answer: Neend me is tarah ka amal karwane se agar aap ki muraad alam e khuwab me aap ne aisa daikha hai to is se gunah nahin hoga. (R+ef: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #1, Edition #1439 hij, Maslah #30). [Updated on 01-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]