Question: What is the meanings of "WALI FAQHI" and this time Who is our "Wali Faqhi" .
Answer: Fuqaha ki Ibaratoon main maujood lafz-e-Wilayat jo Umoor-e-Hisbiya (Umoor-e-Hisbiya say muraad wo umoor hain jin ko Sharae Muqaddas Moattal nahi karna chahta jaisay Amwaal ko Yateemoo tak pohunchana) kay liye Istemaal hota hayaik aisa ikhtiyaar hay jo har Jamiush Sharait mujtahid kay liye saabit hay laikin wilayat ka wo mafhoom jo kay zikr karda tareef say izada wasee hay aur wo un tamam umoor ko shamil karta hay kay jis par aik Ijtimaee Islami Nizaam mauqoof hota hay.wo aisay shakhs kay liye hoga jo faqeeh bhi ho aur is kay control main koi Ilaqa bhi ho jis par amal daraamad kay liye kuch mazeed sharait bhi hain aur wo ye hay kay wahan kay momineen kay nazdeek us faqeeh ko achi khasi maqbooliyat hasil ho.Ref:Istiftaat A.Sistani I-3.
Question: What is the meaning of "Wali Faqhi" and who is our "Wali Faqhi"?
Answer: Umoor e Hisbiya (yani wo umoor kay jin kay Moattal honay par Shaaray Razi nahi) un main Wali Faqih Jamiush-Sharait (yani Mard - Baligh - Aaqil - Halal Zada - Zinda - Aadil - Shia Isna Asheri) Mujtahid hota hay jab kay wo umoor jin par aik Ijtimaee Islami Nizaam mauqoof hoa karta hay is kay liye Jamiush Sharait mujtahid main kuch aur Sharait bhi hona chahiye,jin main say aik ye hay kay usay (is aitibaar say) Awam main umooomi toor par maqbooliyat Hasil ho.Aur Aik Khas Ilaqa us kay Control main ho Jahan par wo Aihkamaat ko Jari kar sakay.Ref:Istiftaat A.Sistani I-3.
Question: salaam Sir my question is that what is the method of Governece in Muzhub e ehlebyet???
Answer: Umoor e Hisbiya (yani wo umoor kay jin kay Moattal honay par Shaaray Razi nahi) un main Wali Faqih Jamiush-Sharait (yani Mard - Baligh - Aaqil - Halal Zada - Zinda - Aadil - Shia Isna Asheri) Mujtahid hota hay jab kay wo umoor jin par aik Ijtimaee Islami Nizaam mauqoof hoa karta hay is kay liye Jamiush Sharait mujtahid main kuch aur Sharait bhi hona chahiye,jin main say aik ye hay kay usay (is aitibaar say) Awam main umooomi toor par maqbooliyat Hasil ho.Aur Aik Khas Ilaqa us kay Control main ho Jahan par wo Aihkamaat ko Jari kar sakay.Ref:Istiftaat A.Sistani I-3.
Question: is zamane main wilayat e faqe kon hai
Answer: Fuqaha ki ebaaratoo main maujood lafz-e-Wilayat jo umoor-e-hisbiya kay liye istemaal hota hay aik aisa ikhtiyaar hay jo har Jamiush Sharait mujtahid kay liye sabit hay.laikin wilayat ka wo mafhoom jo zikr kardah tareef say ziada wasee hay aur wo un tamam umoor ko shamil karta hay kay jis par aik ijtimaee islami nizaam mauqoof hota hay.wo aisay shakhs kay liye hoga jo faqeeh bhi ho aur us kay control main koi ilaqa bhi ho jis par amal daraamad kay liye kuch mazeed sharait bhi hain aur wo ye kay wahan kay momineen kay nazdeek us faqeeh ko achee khasee maqbooliyat hasil ho.Ref:I-3
Question: Please tell me the concept of Wali-e-Faqih?
Answer: A.Sistani kay nazariye kay mutabiq aik Jamius-Sharait Mujtahid un tamam umoor main wilayat rakhta hay jin par insaanoo ka ijtimaae nizam qaim hay.Ye bhi aik fiqhi masala hay aur is main bhi muqallid apnay mujtahid ki janib hi rujoo karay ga.Ref:Book-2,Q.No.7.
Question: What do mean by WALI_E_FAQEEH?
Answer: bismehi taala, Fuqaha ki Ibaratoon main maujood lafz-e-Wilayat jo Umoor-e-Hisbiya (Umoor-e-Hisbiya say muraad wo umoor hain jin ko Sharae Muqaddas Moattal nahi karna chahta jaisay Amwaal ko Yateemoo tak pohunchana) kay liye Istemaal hota hayaik aisa ikhtiyaar hay jo har Jamiush Sharait mujtahid kay liye saabit hay laikin wilayat ka wo mafhoom jo kay zikr karda tareef say izada wasee hay aur wo un tamam umoor ko shamil karta hay kay jis par aik Ijtimaee Islami Nizaam mauqoof hota hay.wo aisay shakhs kay liye hoga jo faqeeh bhi ho aur is kay control main koi Ilaqa bhi ho jis par amal daraamad kay liye kuch mazeed sharait bhi hain aur wo ye hay kay wahan kay momineen kay nazdeek us faqeeh ko achi khasi maqbooliyat hasil ho.Ref:Istiftaat A.Sistani I-3.
Question: sir plz brisf describe wilayate faqeeh and its basis
Answer: walayat e faqhie aik fiqhi masla he aur is me bhi muqalid apnay mujtahid ki janib rajooe karay ga. Ayat ullaha sistani d.b.k mutabiq aik jamae shariat mujtahid in tamam umoor me walayat rakhta he jin per insaano ka ijtemai nizaam qaim he. (ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 2, ques # 7, pg # 22)
Question: salam mera question ye hai k wali w faqih ki kia hesiat hai aur is ka wajood aaimma k zamany me tha ya nai aur agar nai tha to ab q hai plz answer
Answer: Fuqaha ki Ibaratoon main maujood lafz-e-Wilayat jo Umoor-e-Hisbiya (Umoor-e-Hisbiya say muraad wo umoor hain jin ko Sharae Muqaddas Moattal nahi karna chahta jaisay Amwaal ko Yateemoo tak pohunchana) k liay Istemaal hota hay aik aisa ikhtiyaar hay jo har Jaamay ush Sharait mujtahid k liay saabit hay laikin wilayat ka wo mafhoom jo k zikr karda tareef say ziyada wasee hay aur wo un tamaam umoor ko shamil karta hay k jis par aik Ijtimaee Islami Nizaam mauqoof hota hay.wo aisay shakhs k liay hoga jo faqeeh bhi ho aur is k control main koe ilaqa bhi ho jis par amal daraamad k liay kuch mazeed sharait bhi hain aur wo ye hay k wahan k momineen k nazdeek us faqeeh ko achi khasi maqbooliyat hasil ho.(Ref:Istiftaat A.Sistani I-3). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: YA ALI MADAD jo log wilayat faqih kay qail hain woy wilayat-e-ali kay qail nahin explain
Answer: walayat e faqhie aik fiqhi masla he aur is me bhi muqallid apnay mujtahid ki janib rajooe karay ga. Ayat ullaha sistani d.b.k mutabiq aik jamay shariat mujtahid in tamam umoor me walayat(ikteyaar) rakhta he jin per insaano ka ijtemai nizaam qaa’im he. (ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 2, ques # 7, pg # 22) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: wilayat faqih fiqhi masla hai tau wilayat e ali kis ka masla hai aur is kay baray mein kaun bata ga?
Answer: Wilayat e Ali(a.s) ka maslah usooldeen mai se hai or usool e deen k maslay main taqleed nahi hoti balky az roay basirat janna zarori hai. (Ref : Tauzeeh ul Masail Ayatullah Sistani d.b. masla #1 ). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)