Question: Perfume jis mai Alcohal hota hai, usko laga kar namaz/roza jaiz hai kay nahi?
Answer: Choonkay ye najis nahi hay lihaza inka istemal jaiz hay aur is kay saath namaz aur roza bhi sahi hay.Ref:Book-4 Q.No.45.
Question: Can u please give me detail about performing AQIQA?
Answer: Mustahib hai ke larkay ka aqiqa nar (male) janwar se kia jai,aur larki ka maada (female) janwar se kia jai. Aur wo janwar uyoob (faults) se saalim ho (means koi kharabi na ho) aur sehat-mand (mota taza) ho.Riwayat mein hai ke wo janwar Bakra ya Bakri ho aur us ka gosht (meat) us ke tamam jagho par charha huwa ho.Behtar yeh hai ke woh Bakra ya Bakri moti ho, aur (bacchay ke) baap ya baap ki taraf se jo rishtay-daar hain un ke liyay aqiqay ka gosht khana makrooh hai, aur ahwat yeh hai ke maa aqiqay ka gosht na khae.Aqiqay ke liyay bakri (goat) & gaae (cow) & qurbani ke janwar kafi hain, jabke maindha (sheep) jo 2 saal ka ho woh ziyada behtar hai. Mustahib hai ke hadyoo (bones) ko joroo (joints) se juda kia jai aur kaha gaya hai ke hadyoo ko taurna (break karna) makrooh hai. Mustahib hai ke is mein se chautah hissa (1/4) daai ko diya jai aur baqi muhtajoo mein taqseem kia jai, jabke ziyada behtar yeh hai ke is ko paka (cook) kar walima kiya jai, jis mein 10 ya 10 se ziyada afraad (10 or more than 10 persons) ka hona ziyada behtar hai. Jis tarha se namak (salt) aur pani (water) mein pakana ziyada behtar hai. Aur baaz logo ke darmiyan mashoor hai ke hadyoo ko sufaid (white) kapray mein lapait kar dafnana (burried) mustahib hai, lekin hamaray paas is baray mein koi daleel nahi hai. (Ref: A.Sistani, Minhaaj-us-saaliheen, masala no. 1384)
Question: ASSLAAMUALIKUM I WANT TO ASK U CAN I USE ALCHOLIC PERFUMES DURING PRAY
Answer: ji haan, alcholic perfumes istimaal kiyay ja saktay hain. kyon ke in ki tamaam qismain paak hain. REF: A.Sistani, mujtahid se poochay gae sawalat, hisa 2, ques no: 53.
Question: Can perfumes be used? Do i need to take bath if i have to read Namaz with perfume on my body?
Answer: b.t. jo al-kohal ya sprit lakdi ya kisi or cheez se hasil ki jaye wo pak he. isi tarh khushbuyat (perfume) or polish me shamil mom bhi pak hain jin me al-kohal ho. (ref: tawzihul masail, Aytullah Khoui (r.a.) masaala no. 2917)
Question: during the process of making vanila flavour there is necessary use of alkohal to desolve the vanila beans,there is less than 1%of alkohal in every vanila flavoured ice creams and other vanila flavoured food.these foods are halal or haram.
Answer: All kinds of alcohol (whether extracted from wood or other sources) is pure, not najis. So, the medicines, the perfumes, and the food containing alcohol are pure and can be used. It is also permissible to eat such food if the amount of alcohol is very minute.
Question: Kia ALcholic perfume / body spray laganay kay namaz hojatee hay
Answer: Jee haan.alcholic perfume / body spray laga ker namaz perhi jasakti hay. Sanati(industrial) aur tibbi(medical) alkuhal ki tamam aqsaam paak hein. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 109) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Kia alkohal wali perfume use krna jaiz hai? Plz reply fast. Haq nawaz khaskheli.
Answer: 1-Jee haan alcohol wali perfume ka isatemaal jaiz hay.Q k sanati(Industrial) or tibbi(Medical) alcohol ki tamaam aqsaam paak hain.(Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 109) 2- Alcohol ki tamaam anwaa chahay onhain lakrhi se banaya gaya ho ya kisi or cheez se, paak hain. Is bina per wo tamaam dawa,en(medicine), itr(perfume), or khane wali chezain jin main alcohol shamil hay paak hain or in ki nijasat k hawalay se kisi ta,ammul k baghair aap inhain istemaal ker saktay hain or agar in main alcohol ki miqdaar bohot kam maslan 2 fisad(2%) hu tu inhain khaya bhi jasakta hay.(Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), jaded faqhi masayl masla # 37)
Question: mujhay aik deodorant bht pasand hai laikin us main alcohol hai, kia wo laganay say namaz ya rozay main koi faraq perta hai?
Answer: Alcohol paak hai aur us k sath namaz perh sakte hain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 109,787) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: ASSALAM WALIKUM ,MERA NAAM AHMED HAI AUR YEH JANA CHATHA HOON KI AGAR MAIE ALCOHOL MIXED PERFUME APPLY AKROON THO KAY MERI PAKI TOOT JAYEGE ,HAAN THO KYON AUR NA THO KAISE ?
Answer: Tamaam aqsaam k alcohol paak hain. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #109). Update on dated 22-02-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Aoa Kia perfume laga hu tu namaz hujati hae???? I am asking for both male and female
Answer: Alcohol pak hai layhaza perfume laga ker namaz perh saktay hain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 109+786). [Updated on 30-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]