Question: Salam aleakum Agha minoxidle hair spray mai alcohol mila huwa hota hai kia usy hair per use kr sagty hain.....
Answer: Alcohol ki tamaam aqsaam paak hain chahay onhain lakrhi ya kisi or cheez se banaya gaya ho, Is bina per wo tamaam khane wali chezain, dawaen(medicine), or itr(perfume) jin main alcohol shamil hai paak hain or in ki nijasat k hawalay se kisi taammul k baghair Aap inhain istemaal ker saktay hain or agar in main alcohol ki miqdaar bohot kam maslan (2%)fisad ho to inhain khaya bhi jasakta hai. (Ref: Tauzeeh ul masael, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Mafhoom e Maslah #109) (Ref: Jadeed fiqhi masael, Ayatullah Sistani(d.b), maslah #37) [Updated on 28-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalam o alaikum Mera sawal yeh h k Kisi bhi drink me agr 8 percent alcohol mix hoto kia woh halal h or perfume me Jo alcohol hota h woh jaiz h?
Answer: 1: Agar kisi cheez me 8 percent alcohol mix ho to Jaiz nahin. 2: Har qism ka alchohal pak hai lihaza perfume me jo alcohol hota hai wo jaiz hai. (Note: Alcohol pak to hai lekin kisi cheez me is ka istemaal direct jaiz nahin hai, Aur agar alcohol kisi bhi cheez me mila hua ho to alcohol ki miqdaar us cheez me 2 percent se ziyadai miqdaar jaiz nahin hai magar ye ke us me pani ya koi aur cheez us me milayei jaye taake alcohol ki miqdaar us cheez me 100 me se 2 percent ya us se bhi kam ho jaaye. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail, edition #42, maslah # 109. link: https://www.sistani.org/urdu/qa/01731/ ). [Updated on 11-Mar-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya jis perfume me ethanol mila huva ho wo laga sakte h kya wo jayaz h
Answer: Alcohol ki tamam aqsaam (ethanol, ethyl alcohol, grain alcoho) paak hain lehaaza perfume laga sakte hain, aur jaiz hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #109). [Updated on 05-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]