Question: sir eid ul fitr ko ghusl karna sunnat hai aur is ghusl ki niyyat kiya hogi ?
Answer: bismehi taala, eid ul fitr aur eide qurban ka ghusal musthab he aur is ka waqt subh ki azan se suraj ghurub hone tak he aur behtar yeh he k eid ki namaz se pehle kar liya jaye (ref: tawzihul masail Aytullah Seesatani (d.b.) masaala no.651) niyyat qurbatan elalllah hogi.
Question: Taking bath on eideen is masnoon or mustahib?
Answer: In Islam Ghusl on Eidul Fitr day and Eidul Azha day are Mustahab. (Ref:Tauzeeh ul Masail Ayatullah Sistani Prob No 634) Note: There is no difference between masnoon and mustahab. (Khuda aap ki taufiqaat main izafa fermaay)
Question: MY QUESTION IS MAN AND WOMEN DO GHUSUL BEFORE JUMA PRAY
Answer: In Islam, several Ghusls are Mustahab. Ghusl-e-Jumuah is also a mustahab ghusl not wajib. Ghusl-e-Jumuah: Its prescribed time is from Fajr to sunset, but it is better to perform it near Zuhr. If, however, a person does not perform it till noon, he can perform it till dusk without a Niyyat of either performing it on time or as Qadha. And if a person does not perform his Ghusl on Friday it is Mustahab that he should perform the Qadha of Ghusl on Saturday at any time between dawn and dusk. And if a person knows that it will not be possible for him to procure water for his Ghusl on Friday he can perform the Ghusl on Thursday with the Niyyat of Raja, that is, as a desirable act.( http://sistani.org/index.php?p=251364&id=48&pid=2192 ). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: juma ka ghosula ka tarika
Answer: Tamaam wajib aur mustahab ghusl ka tariqa aik hi hai, niyat k baad pehlay pura sar(head) aur gardan(neck) dhona zarori hai aur baad mai baqi pura badan dhona zarori hai. Aur is baat ka yaqeen hasil kernay k liay k donu hisso (yani sar o gardan aur badan)ko mukammal tour par dho lia hai,zarori hai k jiis hissay ko dhoey us k sath dusray hissay ki kuch miqdar dho lain. (Ref:Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah #360,362). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Kia Jumma ke din ghusl karna Wajib hai yani kia Lazim hai ?
Answer: Jumay k din ka ghusl wajib nahi hai albetta mustahab hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 634) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: eid ul fitar k din gusal krna sunat ha ya mustahib.
Answer: sunat o mustahib hai,Q k in dono ka ik hi matlab(meaning) hai. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 1414 , maslah # fiqha istilahaat , pg # 479 , ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae).
Question: Asslam o Alaikum!!! Jumme k din gusal krna wajib hai ya sunnat??? please urgent reply den....
Answer: Mustahab hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 36,Mafhoom e Maslah #634). Update on dated 12-03-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: ager ap ke uper chapkali ghar jaye to keya gusal wajab ho jata ha
Answer: Jee nahi, is tarah ghusl wajib ya mustahab nahi hota. (Ref: Al-masael ul muntakhaba, pg#23). Update on dated 17-03-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Jume ke din ghusl Me Kiya pada jata hai
Answer: kuch parhna zaroori nahi hai niyyat bhi zaban sai adaa karna zaroori nahi dil mai irada hai tou kaafi hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 360). [Updated on 13-Jun-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]