Question: can u send me a ghusl ayat if i had got wet in my email id thanking you
Answer: Ghusl e janabat ki dua mustahib he wajib nahi or dua ye hay k . ( اللهم طهر قلبي وتقبل سعيي واجعل ما عندك خيراً لي ، اللهم اجعلني من التوابين واجعلني من المتطهرين ) (allaa humma tah’hir qalbee wataqabbal saa’yee waj’al maa indaka khairallee, alla hummaj alnee minat tawwabeena waj alnee minal muat tahhireen) (ref : sistani(d.b),urwatul wusqa part#1, [683] ka masla#22 ).
Question: agr gusal karna zarorri ho aur jism par zakham ki waja se pani lagana mana ho tu kya karna chaayie?
Answer: Agar badan per zakham ya phora ho to to mukkalaf ko ghusl ya tayammum ka ikhtiar he. Agar wo ghusl ko ikhtiyar karta he aur zakham ya phoray per jabira(patti) na ho to ethiat e mustahib ye he k zakham ya phoray per pak kapra rakhay aur us kapray k upper mussa karay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 338) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: asalam ale kum jab shohar zabardasti har raat ko sex kare aur ghusal utarne ka roz time nahi milta ho kyonki 6 bacchon ke sath orat ko sara waqtghar ke kaam main guzarta ho to koi gunnah hai
Answer: 1)Ghusl e janabat wajib namaz parhney k lie aur is jaisi dosri ibadaat k lie wajib hota he.laihaza namaz o roza or dosri ibdaat k aap ko ghusl kerna wajib hoga,warna aap gunah gaar hongi. (Ref: sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 356) 2) Bivi k liay zarori(wajib) hay k jab bhi shohar os say jinsi lazzat(sex) haasil kerna chahay tu oski khahish pori karay or shar’e uzr(any Islamic reson,i.e:in periods) k baghair shohar ko hambistari say nah rokay.(tauzee hul masail,Ayatullah Sistani(d.b),maslah #2376) 3) Haiz ki halat main jima(intercourse) kerna shohar or b.v dono k liay haram hay.Agar mard apni biwi se haiz ki halat me jima karay to is ke lie zurari he ke estigfar karay aur kaffara dena wajib nahei he. Agarcha behtar he ke kaffara bhi de. (ref :Ayat ullaha sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah#450). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: mujhe please bataein ghusl ke ayath(hetalam aur hambistiri wife sath )I wanted to confirm to myself, what Iam saying and doing is correct or not in ghusl shukriya..salamalaikum
Answer: 1) Ghusl kernay k 3 tareeqay hain. i) Tertibi(sequence) ii) Irtimasi tadrijee(gradual immersion bath). iii)daf’ee(Immediat immersion bath).Ghusl e tertibi ka tariqah ye hay:-- sab say pehlay ghusl ki niyat say sar(Head) or gardan(Neck) ko mukammal dhoya jaay,or is k baad poray badan ko aik saath dhoya jaay.or behtar ye hay k badan ko do hisso main dhoya jaay pehlay badan ka seedah hissa or baad main ulta hissa.ghusl main naak or moonh main paani daalna wajib nahi hay.ghusl main jism k tamaam hisso tak paani pohan chaana wajib hay ,or agar ghusl k baad yaqeen ho k sar ya garden ka koe hissa khushk hay tu sar ya garden ki sirif osi jagah ko ghusl ki niyat say dhoo ker badan k dono hisso ko dobah say ghusl dain. or agar badan ka koe hissa khushk hay tu ghusl ki niyat say sirif osi hissay ko dhoo lain. (ref: Ayat Ullah sistani (d.b), tauzee hul masail,maslah#360-365). 2)Ghusl e janabat ki dua mustahib he wajib nahi or dua ye hay k . ( اللهم طهر قلبي وتقبل سعيي واجعل ما عندك خيراً لي ، اللهم اجعلني من التوابين واجعلني من المتطهرين ) (allaa humma tah’hir qalbee wataqabbal saa’yee waj’al maa indaka khairallee, alla hummaj alnee minat tawwabeena waj alnee minal muat tahhireen) (ref : sistani(d.b),urwatul wusqa part#1, [683] ka masla#22 ). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Assalamu Alaikum, Ghusl ke time padne ki Dua me please help kijiye.
Answer: 1)Ghusl haiz main koe dua wajib nahi hay.(urwatul wusqa part#1, sistani(d.b), pg#228,229). 2)Ghusl e janabat ki dua mustahib he wajib nahi or dua ye hay k . ( اللهم طهر قلبي وتقبل سعيي واجعل ما عندك خيراً لي ، اللهم اجعلني من التوابين واجعلني من المتطهرين ) (allaa humma tah’hir qalbee wataqabbal saa’yee waj’al maa indaka khairallee, alla hummaj alnee minat tawwabeena waj alnee minal muat tahhireen) (ref : sistani(d.b),urwatul wusqa part#1, [683] ka masla#22 ).
Question: kia shohar ka uski biwi ki wafat k bad uski myyat ko ghusal dena jaiz hai agar nahin to kun?
Answer: Note : Is website per fiqha e jaffaria k mutabiq jawabat diay jatay hein. Sohar apni biwi ko ghusl e miyyat de sakhta he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 548)
Question: haiz ki halat mein ghusle janabat kar sakte hain ya phir jab haiz se farigh hoon tho ghusle haiz aur janabat saath mein karoon plz jaldi jawab de dain
Answer: Jee haan, haiz ki halat mein tamaam wajib ghusl or ghusl e janabat kerna sahi hain or isi terah tamaam mustahab ghusl kerna bhi sahi hain, laikin haiz k khatam honay se pehlay ghusl e juma kernay main ishkaal hay(yani ghusl e juma ehtiyaat ki bina per sahi nahi hoga). Jis shaks per khuch ghusl wajib hoon wo on sab ki niyat ker k aik ghusl ker sakta hay.or agar in main se kisi bhi aik makhsoos ghusl ka qasd karay tu wo baqi ghuslo k liay bhi kafi hay.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Minhajus saliheen, part 1 maslah 233, Tauzihul masail, Maslah # 389 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Me ne ye suna he k ghsal k bad wuzoo karna chai he
Answer: Jis shakhs ne ghusl e janabat kia ho zarooori he k namaz k lie wazoo na karay. Balke ghusl e istehaza motawasita k siwa tamam wajib ghusloon aur masla no 634 me bayan karda tamam mustahabb ghusloon k baad bhi namaz parh sakhta he agarchah ethiat e mustahabb ye he k wazoo bhi karay. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 389) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: valentine day ki history kaya hai. Please give me ans. Please
Answer: Aap is link par click ker k is ki malomaat hasil ker saktay hain. Laikin ye baat bhi wazeh rahay k ye koe Islami rasm ya tehwaar nahi hay bal ghair muslimo ka tehwaar hay. (http://en.wikipedia.org/wiki/Valentine_day#Historical_facts) Note: jins e mukhalif se dosti kerna jaiz nahei koun ke ghuna me mubtila hone ka khof majood he. ( kitab nigah aur libas ques # 106 , pg # 69). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: ASSALAMO ALAYKOOM janab mera sawal ye he k biwi ko jab bachcha hota he to uske kitne din bad biwi k sath humbistari ki ja sakti he replay asap khuda hafiz
Answer: Aurat ko bacha paida honay k 10 din tk jo khoon ata hay osay nifaas kehtay hain. Aur jo aurat nifaas ki halat may ho os say jima karna haram hay lakin os par koi kaffara nahi hay. Ye ho sakta hai k khoon nifaas aik leheza se ziyada na aay laikin 10 din k baad aane wale khoon ko nifaas nahe khete . (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah #498, 504,501) note : Behtr hay k is baray mai doctor sai roju karain k bacha paida honay k 10 din k baad kab intercourse kar saktay hai ya nhi ya kitnay din tk intercourse nhi krna chaheay. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).