Question: Kiya aik niyyat say mutaddid mayyatoon kay liye Namaz-e-Wehshat ada ki jasakti hay?
Answer: Rajaa ki niyyat say parhnay main koi qabahat nahi (yani rajaa ki niyyat say parh sakta hay).Ref:Istiftaat A.Sistani I-34
Question: Can we offer one Namaz e wehshat for two or three murda momeeneen
Answer: b.t. Rajaa ki niyyat say parhnay main koi qabahat nahi (yani rajaa ki niyyat say parh sakta hay).Ref:Istiftaat A.Sistani I-34
Question: mera sawal hai k namaz e wahshat o qabar kya sirf pehli raat jab murday ko dafan kiya jata hai tou parhi jasakti jai ya phir apny pyaron k liye un k inteqal k baad kabhi bhi parhi jasakti hai pehli raat k ilawa bhi
Answer: Namaaz wahshat qabar ki phele raat har waqt perhe jasakte hai laikin behter ye hai k phele raat namaaz isha k baad perhe jaay .agar maiyat ko kise door k city le jana ho ya kise aur waja se is k dafan me daair ho jaay to namaaz wahshat me bhi qabar ki phele raat tak dair ki jaay. (Ref: Ayatullah khumeni Tauzeehul masail 31st edition, maslah #,639,640 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: I am in USA and someone died in India and her burial is done and I have to perform namaze wahsaht should I wait for maghrib or I can perform anytime during the dayTime as it’s already night in India but it’s daytime in USA .
Answer: Yes, Namaz e wehshat e qabr will be perform according to dead person's city. (Ref: email rcvd from ayatullah sistani، Ref: Dated: 22-09-2016) [Updated on 19-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Namaz e wehshat E qabar ka Ahadees se kya refrence hy k rasool s.a.w.w ya ahlebait a s ne kab parhi aur talqeeen ki parheny ki Agar Sadqa gya jae wo behtar hy ya Namaz e wehshat
Answer: Aap is link pe click karen, aap ko puri maloomat mil jaigi. aur is link men mukammal refrence mojud hain.(Ref: https://ur.wikishia.net/view/%D9%86%D9%85%D8%A7%D8%B2_%D9%84%DB%8C%D9%84%DB%83_%D8%A7%D9%84%D8%AF%D9%81%D9%86) [Updated on 03-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya namaz e wehshat kisi Sunni k liyen parhi ja sakti hai?
Answer: Namaz e wehshat, shia momin ke alawa kisi aur ke liye nahin parhi jaa sakti. (Ref: istiftaat). [Updated on 31-Jan-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: As salam o alikum, agr hum same day nme wahsat qabr nhi phr skye .tu kia next day qaza nmze wahsat qabr phr skty hy...
Answer: Namaz e wahshat e qabr ki qaza nahin hai. (Ref: Tauzeeh ul Masail Jaame (farsi), Ayatullah Sistani(d.b), Part #1, Maslah #2068). [Updated on 27-May-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]