Question: main 5 time namaz ki pabandi kesa karoon
Answer: Namaz ki fazilatoon ko perhain maslan quran ki surah e roum ki ayat # 31 me khuda irshad fermata he k “aur namaz qaim karo aur mushrikoon me se na bano” Is ayat ko parh kar ye sochey k kia me mushrik ho agar nahi to namaz ko parhe. Aur bohat se tareeqain hein . (Ref : Kitab Payam e Shifa pg # 138)
Question: Agar aap kisi new place mei ho or namaz ka waqt ho, ap ko qibla kis rukh hy maloom na ho tu kis tarha namaz aada karni chahye?
Answer: 1)Jo shakhs namaz parhna chahae to zurari he k qible ki samth ka tai’yun karnay ki koshish karay ta’keh qible ki samth k baray me yaqeen ho jaay maslan 2 aadil aadmiyo ki shahadat jo hiss(sence) ya is jaisi kisi cheez ki buniyaad per qible ki samth ki shahadat de. Ya masjid k mehrab ko dekh kar ya momineen ki qabroo ko dekh kar ghuman paida ho us per amal kar le. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 770) 2)agar kisi k pas qiblay ka rukh mutain karnay ka koi zarya na ho ya koshis k ba wajood is ka ghuman kisi aik taraf na jata ho to is ka kisi bhi taraf rukh kar k namaz parhna kafi he. Aur ethiat e mustahib ye he k agar namaz ka waqt wassie ho to charoo taraf rukh kar k namaz parhay yani char bar namaz parhay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 772 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: kaya hamri namazay qurani salat hain?
Answer: jee haan, namaz ko Arabi zuban me salaah(صلاۃ) kehtey hein.
Question: Salam mera sawal ye ha k mera zehan(Dhian) namaz parhte waqt idhar udhar bohat jata ha khas kr gandi baton ke taraf. plz mujhe koi asan sa wazeefa bata den k me namaz sukoon se parh sakon.
Answer: Insan ko khayl rakhna chahea k namaz jaldi jaldi na perhay aur namaz ki halat mai khuda ki yad mai rehay aur khusho aur khuzoo aur waqar sai namaz perhay aur ye khayal rakhay k kis hasti sai kalam kar reha hai aur apnay aap ko khuda ki azmat aur buzrgi k moqablay mai haqeer aur na-cheez samjhay. Agar insan namaz k doran puri terh in batoo ki taraf motawajah rehay to wo apnay aap sai be-khabar ho jata hai jaisa k namaz ki halat mai Hazrat Ali a.s. k poun sai teer nikal lia gya aur imam a.s. ko khabr tk na hui. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, namaz k ahkam) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Plz telme soon jahan ham namaz parh rahy ho and bed aagay to namaz nahi hoti ???
Answer: Namazi k aaghay bed honay say nah namaz batil hoti hay or naa hi makhrooh hoti hay.namaz per koe faraq nahi perhta.(Ref: Sistani(d.b),urwatul wusqa,maslah # 1376 k baad ka maslah). Was-salam
Question: Asalam o alaikum PLzz mujhy Puri namaz ka Tariqa sikha dayin ap ki bohat mehrbani hogi Shuru sayin akhir tak......
Answer: Aap is link per namaz ka tariqa daikh saktay hain. http://sistani.org/local.php?modules=extra&eid=3&aid=40 (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: kaya namaz ada kar ke dua karne liye sajda karna jiaz hai? aur agar quran-e-pak ki talawat lagi ho aur sajda-e sahav a jaye to kaya karna chahiye agar begair wazu ke hon to?
Answer: 1)Insan k lie mustahab he k namaz k bad sajdah e shukr baja lain aur itna kafi he k shukar ki niyat se peshani zameen per rakhy laikin behter ye he k 100 dafa ya 3 dafa ya 1 dafa (shukral lillaah ) ya (afwan) kehay aur ye bhi mustahab he k jab bhi insan ko koe nemat milay ya koe musibat tal jay to sajdah e shukar baja lay. 2)Agar insan quran k wajib sajday wali ayat tape record me ya recording sunay to os per sajdah wajib nahi he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1110 , 1083 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: har nmaz k bad wazifa bta day...
Answer: Mustahabb he k namaz k baad insane kuch dair k liay taqebaat yani zikr, dua aur quran majeed parhay. Ye zaroori nahi he k taqebaat arabi zaban me hoon lakin behtr he k insane wo dua parhay jo duaoon ki kitaboon me batai gay hein aur tasbeeh e fatimah zehra s.a. parhay jis ki bohat ziada takeed aye he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1109) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Salam.o.alykum. Please mujay namaz kay tariqy surah k sath bata dain, or wazu karne ka tariqa b
Answer: Please aap darj zail links per click ker k namaz or wuzu ka tafseeli tariqa jaan lain. Namaz ka tariqa jaan ne k liay aap is link per click karain: (http://al-shia.org/html/urd/resaleh/html/index2.htm ) Sorah e Al-hamd k liay aap is link per click karain: (http://al-shia.org/html/urd/resaleh/html/index2/50.htm) Sorah e tauheed k liay aap is link per click karain: (http://al-shia.org/html/urd/resaleh/html/index2/51.htm) Wuzu ka tariqa jaan ne k liay aap is link per click karain: (http://al-shia.org/html/urd/resaleh/index.php) (Ref: http://www.sistani.org/index.php?lang=urd ). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: ham ko all namaz kit ni rakat hoti hai jay se ke fajar ki 4 rakat hoti hai zohar ki 8 rakat hoti hai ham ko baki namaz kitni rakat hoti hai nahi pata plz reply me now plz plz
Answer: Fajr ki 2 rakat, Zohar ki 4 rakat , asr 4 rakat, maghrib 3 rakat or isha 4 rakat namaz wajib hain. (Ref : Tauzeeh ul Masail Ayatullah Sistani d.b. masla #p#122 ). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)