Question: Salam. kiya namaz k Aakri Salam main Apni garden (neck) ko ghumana Mustahib hai ya Jaiz ha..? Jiasay k Ahel e sunnet bradran k hain hota hai.
Answer: Baghair kisi wajah k qible se moo phairna namaaz ko batil kar deta hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1118). Update on dated . (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Shia salam ki jaga ya ali madad kyun kehte hain
Answer: Bismehi taala, Ya Ali(a.s) madad kehna Jaiz hay. (Ref: Istiftaat S-19) is ka tafsili jawab aytullah khui (rizwanullah alahe) ne al-bayan fi tafsiril quran (publication. by jamia talimat e islami, karachi) me isi ayat ki tafsil me tafsil se diya hai, mukhtasaran yeh ke ya Ali (a.s.) madad ham is liye kehte hain ke khud khuda ne hi in ki itaat farz ki hai, goya in se madad mangna khuda se madad mangna hai or in ki itaat khuda ki itaat hai. Albatta yeh salaam shumaar nahin hota.(tamam shia salam ki jagha ya ali mada nahe khe khete balke khuch shia salam ke sath ya ali madad khete hai) (Ref: www.sistani.org). [Updated on 02-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aoa. Ahle sunnat namaz me lamba Tashahud parhtay to agar ham unkay pichay namaz parh rahay hon to ham Tashahud me darood tak parh kr unka wait karein aur jab wo salam parhein tab hi ham salam parhein ya ham mukamal kar lein salam parh kr aur unke saath taqiiya kay tor par salam parh lein?
Answer: