Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 522
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: agar paishe imam jamat me quonoot chor dey to kiya namaz sahi hay.

Answer: b.t. tamam wajib or musthab namazo me dusari rakaat me rukooa se pehle qunut musthab he. (ref: tawzuhul masail Aytullah Seestani (d.b.) masala no. 1104) (musthab bato ko chhor dene me koit harj nahin)

Id: 3473
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Please i want to kknow what verses should i read in dua-e-qunoot. Send me dua-e-qunoot.

Answer: You can read any dua in qonoot.like rabbi zidnee ilmaa(رب زدنی علما).(Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1106). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 3556
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Pls Duae kunut bhej dijeye pls provide me duae kunut .

Answer: You can read any dua in qonoot.Like rabbi zidnee ilmaa(رب زدنی علما). Aap is link per click ker k bhi qonoot daikh saktay hain:http://al-shia.org/html/urd/resaleh/html/index2/49.htm . (Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1106). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 4138
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: esha ke witar ke teesri rakat mian dua e qanoot pahri jati hea keya is ke badle koi our suhrat par sakte hain .

Answer: Note:is website pr fiahe jafria k mutabiq jawabat diye jatay hain.

Id: 4825
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: aoa...kia namaz me dua e qunut k bad kuch b dua mang sakte hen?? ya dushmanan e Ale Rasool (s.a.w.w.) pr tabarra kar sakte hen???

Answer: 1)Apni taraf sai dua bana kar parhna jaiz hai laikin masoomeen a.s. sai marwi duain parhna behtr hai. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 2, sawaal # 87,pg # 45) 2)Qunoot mai insan jo zikr bhi parhay chahay aik dafa subhan Allah hi kahay kafi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1106)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 7763
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: dua qonot yad na ho to konsi sorat parh skte he plz btatye pri sorat

Answer: koi si bhi dua phar sakte hain, mager behter ye hai ke un duaoon ko phara jaae jo Masomeen (a.s) se warid hoi hain. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen Part # 1 , Maslah # 664 , eidition #1st , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Id: 14013
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Dua e qunoot m kia phrte hein?

Answer: Qunoot mai insan jo bhi zikr parhay chahay aik dafa Subhanallah(سُبْحَانَ اللہ) hi kahay kafi hai. ya jese: Rabbi zidnee ilmaa (رب زدنی علما). parha jaye, aur is link per click ker k masla #1329 men bhi qonoot daikha jasakta hai: https://www.sistani.org/urdu/book/26352/4362/ .(Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masail, Edition #42, maslah #1106) [Updated on 26-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15532
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salam Dua qanoot agar puri yad na ho to kia dua faraj parhi ja skti hai qanoot kay leay jab hath uthayn tb ??

Answer: Qunoot men insan jo bhi zikr (yaad ho) parhay chahay aik dafa Subhanallah (سُبْحَانَ اللہ) hi kahay kafi hai. ya jese: Rabbi zidnee ilmaa (رب زدنی علما). parhi jaye, aur dua e faraj bhi parhi ja sakti hai, aur is link per click kar k maslah #1329 men bhi qonoot daikha jasakta hai: https://www.sistani.org/urdu/book/26352/4362/ . (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, maslah #1106). [Updated on 18-Jul-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16200
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalamo alaikum Qonoot har namaz me alag alag padha jata hai ?

Answer: Har namaz me alag alag qunoot perhna zarori nahe hay balke har namaz me aik he jisa qunoot perh sakte hay or alag ,alag qunoot bhe perh sakte hay .Qunoot men insan jo bhi zikr (yaad ho) parh sakta hai chahay aik dafa Subhanallah (سُبْحَانَ اللہ) hi kahay kafi hai. ya jese: Rabbi zidnee ilmaa (رب زدنی علما). parhi jaye, aur is link per click kar ke maslah #1329 men bhi qonoot dekha jasakta hai. Link: https://www.sistani.org/urdu/book/26352/4362/ . (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, maslah #1106). [Updated on 20-Jan-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16406
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalamualaikum Kia Hr namaz mai Dua e Kanoot Prhna Lazmi hai?

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya {shia mazhab} ke mutabiq jawabat diye jatay hain). Fiqh e jafferiya ke mutabiq qunoot parhna wajib nahin balke mustahab hai aur mustahab amal ko jan boojh kar bhi chhora jaa sakta hai, aur is ke na parhne se namaz bhi baatil nahin hogi. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1104). [Updated on 15-Mar-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!