Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 247
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: 3 rakat aur 4 rakat namaz mai ager shak ho kay hamari 3 rakat hai ya 4 tou kia hukum hai?

Answer: 1.Agar 3 rakaati Namaz hay masalan teesri aur chouthi rakaat main shak ho to Namaz Batil hay.2.Haan agar chaar rakaati namaz ho masalan Zohar,Asar aur Isha aur teesri aur chouthi rakaat main shak hoto wo samjhay ga kay chaar rakaat parhi hain aur Namaz ko Tamaam karay ga aur baad main aik rakaat Namaz e Aihtiyaat kharay hokar ya 2 rakaat baith kar parhay ga.Ref: Tauzeehul Masail A.Sistani Masala No.1152(2),1186(5)

Id: 248
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: zohar,asar,isha ki tesri aur choth rakat kay shak k baray mai kia hukum hai?

Answer: Is soorat main wo samjhay ga kay 4 rakaat parhi hain aur Namaz ko tamam karay ga aur baad main 1 rakaat Namaz e Aihtiyat kharay ho kar ya 2 rakaat baith kar parhay ga.Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Masala No.1186(5)

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 704
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Be-shohar Aurat say kia muraad hay? kia ye lafz sirf Gher shadi shuda kay lie istamaal hota hay?

Answer: Be-shohar aurat main baywa ya talaaq yaafta ya ghair shadi shoda sab shamil hain.(ref: Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#2364)

Id: 2320
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: agar ak shakhs ko tashahud parhtey waqt shaq ho jae k is ney do rakat parhi hain ya teeen to?????????

Answer: Chand sorato main agar kisi ko 4 rakati namaz ki rakato ki tadaad k baray main shak ho tu zarori hay keh fauran ghor o fikr karay or agar yaqeen ya gumaan shak k kisi aik taraf hojaay tu osi ko ikhteyaar karay or namaz ko mukammal karay warna shkiyaat e namaz k maslay per amal karay. Namaz ki rakaat main 9 qisim k shak sahi hain.jin main se aik ye hay k “ dosray sajday main dakhil honay k baad shak karay keh 2 rakatain perhi hain ya 3 rakatain, is sorat main osay u samajh laina chahiay keh 3 rakatain perhi hain or 1 rakat or perhay phir namaz ko mukammal karay or namaz k baad 1 rakat namaz e ehtiyaat kharhay ho ker baja laay.ehtiyaat e wajib ki bina per baith ker 2 rakat namaz e ehtiyaat kafi nah hogi.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Tauzihul masail, Maslah# 1186(1)) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 4766
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: namaz mein dehan bhtak jana sa agr ye cnfusion h jay k aek rakat parhe h ya 2,to kya krna chahiye?

Answer: Agar fajar ki wajib namaz mai shak ho jae k 1 parhi hai ya 2, to namaz batil hai aur start sai dubara parhni paray gi. albetta is k mazeed masail hai jo aap pouch saktay hain.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1152)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 6040
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: As Salam-o-Alaikum Agar chothi rakat mae yeh shuk ho ja a k yeh tesri rakat hae ya chothi hae to kya zarori hae.

Answer: Namaz k doran jis waqt bhi kisi ko 3 rakat aur 4 rakat k darmian mai shak ho zaroori hai k ye samajh lai k 4 rakatain parhi hain aur namaz ko tamam karay aur baad mai aik rakat namaz e ehtiyat kharay ho kar ya 2 rakat beth kar parhay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1186)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 7558
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: mje namaz mei wahaam rahta h mai her cheez buht zada dafa repeat krti hu r namaz b bar bar pahrti hu mje lagta h k ghalat parha h maine ye kuch miss kr dia h maine r is waja se mai buht preshan hu plz koi solution btae is k...

Answer: Zarori hai ke ap apne weham ki parwa na karain masalan ap ko her namaaz ki 2nd rakat main jab ap sajde se sar uthaain to shak hota ho ke main ne 2 sajde se sar uthaya hai ya 1 sajde se to zarori hai ke samjain ke 2 sajde se sar uthaya hai or phir tashahud phar kar baqi namaaz pharain.(Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen Part # 1st , Maslah # 849 , eidition # 1st , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Id: 11669
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: السلام علیکم اگر نماز کی پہلی یا دوسری رکعت کے سجود میں شک ہو کہ ہہلا سجدہ ہے یا دوسرا لیکن تیسری رکعت کیلئے قیام کرتےہی یاد آجائےکہ دونوں سجدے کئے ہیں تو کیا ایسی صورت میں نماز صحیح ہے؟

Answer: Agar namazi kharha hote waqt shak kare keh sajdah ya tashahud baja laya hay ya nahi tu zarori hay keh apne shak ki parwah nah kare.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail, edition#42, maslah#1159). [Updated on 14-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13410
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mai najasat ki shek ki waja sai namaz nahi Pharta hoon Kia karoon

Answer: Namaz parhna wajib hai shak ki wajah se us ko tark nahi kia jaa sakta. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 39, pg # 121) Jo shakhs buhat ziyada shak karta ho Us ko chahiay keh wo apne shak aur waswase ki parwah nah kare.(Ref: https://www.sistani.org/urdu/book/26352/4222/) [Updated on 10-Nov-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17633
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Jis ko har namaaz me bohut zyada shak hota ho wo kya kre

Answer: Jo insaan buhat ziyada shak karta ho use ye naseehat hai ke khud ki islaah kare aur is beemari se nijaat pane ke do raste haim: 1. Is baat par tawajjuh kare ke ye halat islaam aur aqal ke nazdeek na-pasandeedah hai Q ke insaan miyana rawi ki halat se kharij ho jata hai aur bager kisi nateeje ke apni insaani salahiyaton ko zaaya karta hai, aur ye kaam hargiz parhezgari nahin hai, islaam me is ki sakht mazammat hai aur ye shaitaan ki pairawi hai, Pas Agar insaan is baat ko samajh raha ho to is beemari se nijaat paane ka dosra marhala ye hoga. 2. Apne nafs par qaboo paane ki poori koshish kare, is ke behkawe me na aaye aur us ko apne par musallat na hone day aur ye yaqeen rakhe ke khuda wand use shak par tawajjuh na karne ke liye sarzanish nahin kare ga, masalan agar shak kare ke badan ke kisi hisse par paani punhcha ya nahin aur apne shak ki parwah na kare aur ye soche ke taharat haasil ho gayei hai, aur jitna bhi shukook se be tawajjuhi kare, khayal aur waswasa kamzor hota jaye ga yahan tak ke shaitaan is se mayoos ho jaye ga, taharat aur nijaasat ke masale me aik miyana rawi is ke andar paida ho jaye gi, yaqeen rakhe ke agar is mukhalifat ke silsile ko jaari rakhe to yaqeenan shaitaan par kamiyabi haasil hogi aur Allah ki madad is ke shaamil e hal hogi, shaitaan ka fireb kamzor ho jaye ga, khuda wand quran me faramata hai: ke (beshak shaitaan ka makr o fireb kamzor hai). Agar Kaseerul shak wo shaks hay jo bhut ziyada shak kare ,namaz ke ajza me se kise jus ke anjaam dene ke bare me shak kare tu ise yu samagna chaaie ke is jus ko anjaam dedia hay . (Ref: https://www.sistani.org/urdu/qa/02843/ ), tauzihul masail aqa sistani pg ,191,masla no.1171,1172) [Updated on 02-Feb-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!