Question: Salaam. Sajda-e-Sahoo ka kiya tareeqa hai or keb kiya jata hai.
Answer: Tareeqa : Sajda-e-Sahw ka tareeqa ye hay k Namaz k Salam k baad foran Sajda-e-Sahw ki Niyyat Karay aur Aihtiyat ki bina par kisi aisi cheez par Paishaani rakh day jis par Sajda karna Sahih ho.aur Aihtiyat-e-Mustahib hay k Sajda-e-Sahw main Zikr Parhay aur Behtar hay k ye kahay "Bismillahi wa billah Assalaam o Alaika Aiuhannabiiu warahmatullahi wabarakaatuh" is k baad usay chahiye k baith jae aur dobara sajday main jaey aur pehlay wala Zikr parhay aur baith jaey phir Tashaahhud parhnay k baad kahay " Assalaamo Alaikum " aur behtar ye hay k warahmatullahi wabarakaatuhu ka Izaafa karay. Wo Maqamaat jahaan Sajdae Sahw wajib hota hay : Do(2) Soortain hain. 1:Tashahhud bhool jana. 2: Chaar(4) rakaati Namaz main doosray sajday k doraan Shak karna k Char(4) rakatain parhi hain ya Paanch(5). In Teen(3) Soortoon main Do Sajda e Sahw karna Aihtiyat ki bina par Zaroori hay. 1:Namaz k baad Ijmaali tor par Ilm ho jaey k koi cheez kam ya ziada ho gae hay jab k Namaz sahi honay ka Hukum ho. 2:Namaz ki Halat main bhoolay say baat karna. 3:Jahan Salaam na parhna zaroori ho e.g Pehli Rakat wahan bhoolay say salam parh lena. Ref: Tauzeehul Masail (A.Sistani) Masala 1237,1223.
Question: my question is when a namazi prays alone and he/sha admitts sajda sahwa how he will perform sajda sahwa kindly answer in detail jaza k allah
Answer: 1) Sajda-e-Sahw ka tareeqa ye hay k Namaz k Salam k baad foran Sajda-e-Sahw ki Niyyat Karain aur ehtiyaat ki bina par kisi aisi cheez par paishaani rakhain jis par Sajda karna Sahih ho.aur ehtiyaat-e-Mustahab hay k Sajda-e-Sahw main Zikr Parhain aur Behtar hay k ye kahain "Bismillahi wa billaah, Assalaam o Alaika Ayuhannabee’u warahmatullahi wabarakaatuh" is k baad usay chahiye k baith jae aur dobara sajday main jaay aur pehlay wala Zikr parhain aur baith jaain phir Tashahud parhnay k baad kharhay " Assalaamo Alaikum " aur behtar ye hay k warahmatullahi wabarakaatuh ka Izaafa karain. 2) Wo Maqamaat jahaan Sajda e Sahw wajib hota hay :1:Tashahud bhool jana. 2: 4 rakaati Namaz main doosray sajday k doraan Shak karna k 4 rakatain parhi hain ya 5. In: 3: Ehtiyaat e wajib ki bina per namaz k baad Ijmaali tur per Ilm ho jaay k koe cheez kam ya ziada ho gae hay jab k Namaz sahi honay ka Hukum ho. 4: Ehtiyaat e wajib ki bina per Namaz ki Halat main bhoolay say baat karna.5: Ehtiyaat e wajib ki bina per Jahan Salaam na parhna zaroori ho maslan pehli rakat, wahan bhoolay say salam parh lena. Ref: Tauzeehul Masail (A.Sistani) Masala 1237,1223.)
Question: kin kin halaton main sijda-e-sahw jaruri hai meharbani ker ke tafsil main batain
Answer: Zarori hay k insaan namaz k salam k baad 2 cheezo k liay is tariqay k mutabiq jis ka zikr ho ga 2 sajda e sahw karay: 1)-tashahud bhool jana. 2)-4 rakati namaz main doosray sajday k doran shak kerna k 4 rakatain perhi hain ya 5 ya shak kerna k 4 rakatain perhi hain ya 6. Or 3 sorato main ehtiyaat e wajib ki bina par zarori hay k 2 sajda sahaw baja lain: 1) namaz k baad ijmali taur par maloom hojaay k koe cheez kam ya ziyada hogae hay jab k namaz par sahi hone ka hukum ho. 2)namaz k halat main bholay se koe baat kerna. 3)jahaan salam nah perhna zarori ho maslan 1 rakat , wahaan bholay se salam perh laina.(Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah# 1213). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: sajda sahu agar na karain balkay nimaz he again parh lain to kaya ye sahe hai
Answer: jaiz hay. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 1414 , maslah # 1187 , ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae).
Question: Agr jamat k satg nmaaz parhain or kuch raqat reh jain jo hum khud parhain or un main ghalti ho jay to kya hum sajda sahab karain gay mukamal refrence number k sath btain please
Answer: Jin cheezo ki waja se sajda seaf karna perta hai wo ye hai. Jab tashahood bhool jaay ,(2) 4 rakate namaz me dosere sajde k duran shak karna k 4 rakat perhi hai ya 5 rakat aur 3 surato me ehteyate wajib ki bina per zarore hai k 2 sajde sahw baja lay (1) ijmali tour per maloom ho k namaz k duran koe cheeze kam ya ziyada ho gae hai jab k namaz per sahi hone ka hokum ho (2) namaz ki halat me bhole se koe baat karna (3) jahaan salam na perhna zarori ho ,maslan pheli rakat ,wahaan bhole se salam perh lena. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #1223 ) sajda sahw ka tariqa ye hai k namaz k salaam k baad insaan fouran sajda sahw ki niyat kare aur ehteyaat e laazim ki bina per peshaani kisi aise cheez per rakh de jis per sajda karna sahi ho is k baad insaan ko chahiay k baith jaay aur dobara sajde me jaay aur baith jaay aur tashahud perhe aur us k baad as-salaammu alaikum perhe . (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #1234 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: sajda sahu tamam namazon mai kiya jaye ya sirf farz namazon mai?
Answer: Har wajib or mustahab namaz jis main 5 aqsaam k sahw(bhool chook) main se koe sahw hoa ho tu sajda e sahw kerna zarori hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1223). Update on dated 18-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Sajida e sahew kaise karte hn mn Aqa Sistani ki taqleed mn hn
Answer: sajda e sahw ka tariqa ye hay k namaz k salam k baad insan fouran sajda e sahw ki niyat kare aur ehtiyaat e laazim ki bina per peshaani kisi aisi cheez per rakh de jis per sajda karna sahi ho is k baad insan ko chahiay k baith jaay aur dobara sajde me jaay aur baith jaay aur tashahud perhe aur us k baad as-salaammu alaikum perhe . (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41st edition, maslah #1237). [Updated on 15-Apr-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aoa, sajad e sahaf k barey mein bata dein please, ye kin wajohaat ki bina pe kiya jaata hai or kin wajhohaat pe na bhi karein to masla nahi hota?
Answer: Jin cheezo ki waja se sajda sahav karna parhta hai wo ye hai. Jab tashahood bhool jaay ,(2) 4 rakate namaz me dosere sajde k duran shak karna k 4 rakat perhi hai ya 5 rakat aur 3 surato me ehteyate wajib ki bina per zarore hai k 2 sajde sahw baja lay (1) ijmali tour per maloom ho k namaz k duran koe cheeze kam ya ziyada ho gae hai jab k namaz per sahi hone ka hokum ho (2) namaz ki halat me bhole se koe baat karna (3) jahaan salam na perhna zarori ho ,maslan pheli rakat ,wahaan bhole se salam perh lena. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #1223 ) sajda sahw ka tariqa ye hai k namaz k salaam k baad insaan fouran sajda sahw ki niyat kare aur ehteyaat e laazim ki bina per peshaani kisi aise cheez per rakh de jis per sajda karna sahi ho is k baad insaan ko chahiay k baith jaay aur dobara sajde me jaay aur baith jaay aur tashahud perhe aur us k baad as-salaammu alaikum perhe . (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #1234 ) [Updated on 27-Jun-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: AOA ma ny namaz ma surah prhi us ma glti hoe choti si ma ny glti sae krny k lia dobara surah parh li to sajda sahu krna ho ga?
Answer: agar koi shaks bhole se aisa kalima khe jis ke huroof aik ya is se ziyada ho tu kho wo kalima mana bhe rakhta ho is shaks ki namaaz batil nahe hote laikin ehteyaat ki bina per is ke lie zarore hay ke namaz ke baad sajda sahw baja laae. agar koi shaks aik aise cheez ko jo is ne bhole se galat perhe ho dobaara sahe tour per perhe tu is ke dobara perhne per sajda sahw wajib nahin hota.(Ref : Tauzeeh ul masail Ayat Ullah Sistani (d.b.) Edition 39 Masla #1119, 1226). [Updated on 08-Apr-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalamu alaikum, Mai ye Jaan na Chahta hu ke agar hum par sajda e sahw laazim ho jae toh sajde e sahw ke sajdo me kya padhe, Jaise baaki namazo ke sajdo me padhte hai "subhana rabbiyyil aala" Ya koi or dua ya tasbeeh padhna farz ya waajib hai. Jazak Allah
Answer: