Question: maine nafil roza rakha or subha 4 bje sehari bhi ki or niyat ke liy late uthi 6 : 35 ko uthi to roza rakh sakti hu kya ???
Answer: Agar aap is niyat k sath soyi thin k kal roza rakhoon gi tu yehi aap ki niyat hogi or aap ka roza sahi hoga. Insan ke liay rozay ki niyyat dil se guzarna ya masalan yeh kehna ke "me kal roza rakhonga" zaroori nahi balkeh is ka irada karna kafi hai keh woh bargah e ilahi me apni zillat ke izhar ke liay azan subah se maghrib tak koi aisa kaam nahi karega jis se roza batil ho aur yeh yaqeen hasil karne ke liay is tamam waqt men woh rozay se raha hai zaroori hai keh kuch der azan e subah se pehle aur kuch der maghrib ke baad bhi aise kaam karne se parhaiz kare jin se roza batil ho jata hai. (Ref:Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh ul masail, masla # 1531 ). Mustahab roze me bhi niyat karna zaroori hai. han agar aap ne magrib se kuch waqt pehly bhi niyat kar li to kafi hai. (Ref:Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh ul masail, masla # 1534 ). [Updated on 01-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mera swal ye he keh periods ki wajah se jo rozy chutty thy ab me uski qaza Rakh ri tw kisi ne mjhy kaha keh me sehri 3:30 yaani ramzan ki timing pe band krdun jab ke yahan fajar 5:55 pe hoti Aap pls btaein me sehri kab rok dun
Answer: Jee nahin, balke jis waqt namaz fajar ho rahi ho us se ihtiatan 10 minutes pehly roze ko batil karne wali cheezon se parhez kiya jaye. Q ke ramzan k roze ki niyat ka aakhri waqt aik aise shak k liay jis ki tawju ho, azan se phele hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail Edition 41st , maslah #1533) [Updated on 29-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kia injection sy roza toot Jaya hai?
Answer: Injection lagwane se roza batil nahe hota. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41st edition, maslah #1557 ) [Updated on 29-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]