Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Roza ( 41 Questions)


Id: 1307
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kia wife ko kis karna sa roza tot jata ha

Answer: 1) Roze men Mani nikalne ke irade ke baghair koi bhi shehwat angez kaam karna Makrooh he. 2) Agar rozay dar mani nikalnay k iraday k baghair ye kaam kare aur ose itminaan ho k mani kharij nahi ho gi to agarchah mani kharij ho jaey is ka roza sahi he. 3) Albatta agar rozedaar ko etminaan na ho to is surat me jab mani kharij ho gi to is ka roza batil ho jaey ga. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1629,-1576).Shohar aur biwi dono apne badan k kisi bhi hissay ko dosray k badan k kisi bhi hissay se muss ya cho saktay hein chahae lazzat se ho ya baghair lazzat k. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 406 pg # 236, email rcvd from A.Sistani(d.b)) [Updated on 24-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 1314
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: roza ki halat me agr musht zani hojae(jo k gunah he)to roza batil hogaya.batil hone ki surat me qaza wajib he. kia kufarra bhi dena lazim he? kufara kia aur kitna hoga? please rehnumai farmae.

Answer: Roze men istimna karne se roza toot jata he. 1) Shohar aur biwi k ilawa kise aur tariqe se jinse lazzat hasil karna gunah e kabira hay . .(Ref:Ayatullah sistani, Minhajus Saliheen,Part#1, Maslah#30) 2) Jo shaks shadi na hone ki waja se fale haraam me mubtela hota ho is per wajib hai k shadi kar le.(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2407) 1) Agar jaan bhoojh kar Ramzan kay Rozay ko khanay, peenay, jima, Istamna ya azan e fajr tak janabat par baqi rehnay ki waja say batil karay to is par qaza(repeat) k ilawa kaffara bhi wajib hoga. 2). Aur jo koi kisi iskay ilawa kisi aur mubtilat-e-roza say batil karay to ehtiat-e-mustahab hai kay qaza kay ilawa kaffara de. Kaffara ye he ke in 2 men se koi ek kam anjam de: ya tou 2 Maheenay Rozay rakhay ya phir 60 sharae faqeero ko pait bar kar khana khelae ya har faqeer ko 750 gram gandum, roti wagera de. (Ref: Tauzeehul Masail Ayatullah Sistani (d.b), Masla#1553,1630-1633)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye) [Updated on 24-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 2196
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: saal me kyun kyun se roze hai jo sunnat or nafil hai or ye kab hote hai mujhe rakhna hai plz bataye

Answer: Chand din roza rakna haram or makroh hay jin se se chand ye hain: Haram rozay: Eid ul fitr aur eid e qurban ke din roza rakhna haram he. 2)Aur jis din k baray me insaan ko ye ilm na ho k shabaan ki aakhri tareekh he ya ramzaan ki pehli to agar wo is din pehli ramzaan ki niyat se roza rakhay to haram he. 3)agar aurat ke mustahab rozay rakhnay se shohar k haq talfi hoti ho to aurat ka roza rakhna haram he. 4) agar aulad ka mustahab roza maa baap k lie aziyat ka maujib ho to aulad ke lie mustahab roza rakhna haram he.Is k ilawa aur bhi haram rozain hein . Makroh rozay: Aashoor k din roza rakhna makhroh hay or os din ka roza bhi makhroh hay jis k baray main shak ho keh arfa(9 zil haj) ka din hay ya eid e qubaan ka din hay. Haram aur makrooh rozay k alawa saal k tammaam dino k rozay mustahab hein. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 1709 , 1710 , 1711,1717). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 2973
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: agar ham muharram ka 9 ka roza rakhe hai aur 10 ka chut gaya to kya ham 11 ka rah sakte hai

Answer: Muharram ki 10 tareekh ko roza rakhna Makhrroh hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1718) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 6626
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: janab Assalamoalekum main Roza Kushai ki sharai Hesiyat Janna Chahta Hoon? Kya Roza Kushai main jana chahiye ya nahin?

Answer: wssalam o alykum, roza kushai logo ko iftaar per dawat dena hai or roza kushaai main logo ko aftaar per bulana jaiz hai. or momin bhai ki dawat ko qabool karna chahiye. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 1414 , maslah # 1718 ,1956 , ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae).

Id: 7073
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: plz mai qazan roza ki niyyate shehri aur duae iftaar janna chahti hu plz aap mujhe arbi language ne send kare Shukriya

Answer: Niyat = ap ko pata ho ke ap chhore howe roze ke badle aaj ke din Allah Taala ki kushnodi or Allah Taala ke aage apni pasti ko zahir karne ke liye un 8 chezoo se Azaan e subha se Magrib tak perhaiz karain gi jin se roza batil hota hai. or dua e Iftaar ke liye dua ki kitaboo per iktifa karain.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 1531 , 1536 , ALLAH tofiqaat main izafa farmaae).

Id: 7626
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: roza kab farz hua

Answer: Roze 2 hijri me wajib hoe. ( Ref: chuda sitaare, alma najamul hasan , pg: 66) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 8683
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: ramzan ky rozay kis hijri mai farz hovay

Answer: Ramzan k roze 2 hijri main farz hoay.Update on dated 20-06-2015. (Ref: http://www.thefatwa.com/urdu/questionID/559/%D8%B1%D9%88%D8%B2%DB%81-%DA%A9%D8%B3-%D8%B3%D9%86-%DB%81%D8%AC%D8%B1%DB%8C-%D9%85%DB%8C%DA%BA-%D9%81%D8%B1%D8%B6-%DB%81%D9%88%D8%A7/ )

Id: 8684
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Asslamunalikum mera questionye hy k rozy ki sehri o aftar ki tming kia hy quran k mutabik?

Answer: Sorah baqra ki ayat#187 main hay k “tum khate peetay raho yahaan tak keh subah ka safeed dhaga, siyah dhage se zahir ho jaey, phir raat tak roze ko pora karo.(Ref: Quran , Ayat#187). Update on dated 20-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9085
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Roza K motaliq kon si surat ha

Answer: Surah baqra ,no:2, ayat no: 183 me roze k wajib hone ka tazkira moujood hai. Update on dated 26-06-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!