Question: safar mein roza farz hai ya nahi?
Answer: 1)Jis musafir k lie safar mai 4 rakati namaz k bajay 2 rakat parhna zaroori ho osay roza nahi rakhna chahaea lakin jo musafir puri namaz parhta ho maslan wo shakhs jis ka pasha hi safar ho ya jis ka safar kisi na-jaiz kaam k lie ho to zaroori hai k safar mai roza rakay. 2)Ramzan mai safar karnay mai koi haraj nahi hail akin rozay sai bachnay k lie safar karna makrooh hai. 3)koi shakhs jisay ye ilm na ho k musafir ka roza rakhna batil hai agar safar mai roza rakh lay aur din hi din mai osay masla maloom ho jay to is ka roza batil hail akin agar maghrib tak hokum maloom na ho to is ka roza sahi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1685,86,90) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Mah e ramazan mai raat k waqt aik shakhs ki niyat thi k wo doosray din zawal sai pehlay safar karay ga, subah k waqt is nai safar ka irada trk kar dia to kia is sai rozay ko zarr phounchay ga?
Answer: Roza shi hai. (Ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # Roza, ques # 124, pg # 63)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: salam safar mai rozy k kya ahkam hain? aur ktny fasly k safar par roza chora ja sakta hai?
Answer: Jis musafir k lie safar mai 4 rakat namaz 2 rakat ho jati hai osay roza nahi rakhna chaheay. Yani jab os ka safar 44 kilometer sai ziada ho aur 10 din ya os sai ziada rehnay ka irada na ho tab roza nahi rakhna chaheay. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1685)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: salam.sir safar ki halat mai roza rakha ja sakta hai k nai agr distance 60 70 km ho...
Answer: Wssalam o alykum, Ager itna fasla ho k namaaz qasar pharna zarori hojaye to ager musafir roza rakh le to wo batil hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah #1685 , 1690 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: Sallam Sain Mera Sawal ye h k 20 km tak agr rozedar safar kre zawal se phle waps ghr na aai tu us ka roza h ya nhi? Aur plz ye btaiee k kitne kilometer tak rozedar safar kr skhta h?
Answer: Agar aane jaane ka safar mila kar 44 km ho or zuhur se pehle safar kare tu ehtiyaat e wahib ki bina roza nahi rakha jaa sakta..(Ref:Tauzeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 1259 and 1685) [Updated on 15-May-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: !اسلام علیکم روزے کی حالت میں اپنے گھر سے ڈھائی سو کلومیٹر کا فاصلہ طے کر لیا جائے اور وہاں تین دن تک قیام کا مقصد ہو تو واپس اپنے گھر کس وقت سفر کرنا مناسب ہوگا۔
Answer: W/salam. Jis musafir ke liye safar main 4 rakat namaz 2 rakat ho jati hai osay roza nahi rakhna chahiye. Yani jab os ka safar 44 kilometer sai ziada ho aur 10 din ya os sai ziada rehnay ka irada na ho tab roza nahin rakhna chahiye. Agar safar ki ibtida zuhur se pehle ho tu phir ehtiyaat e wajib ki bina per safar main roza nahin rakh sakta or agar safar ki ibdida zuhur k baad kare tu ehtiyaat ki bina per roze ko poora kare. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #1685,1692). [Updated on 11-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salam Aagha mera college mere ghar se 30 km dur h aane jane ka rasta 60 km hota hai or mujhe roz up down karna hota hai to aise me mujhe poora roza rakhna hoga
Answer: Aap ko poori namaz parhni hogi aur roza bhi rakhna hoga, Q ke Jo shahks mahine main kam az kam 10 din safar main rahe ya 10 din safar kare to aisa shaks kaseer-us-safar shumaar hoga. aur wo safar main bhi poori namaz parhe ga, isi tarah us ko roza bhi rakhna hoga. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1296,1685). [Updated on 12-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya safar me roza rakh sakte hen
Answer: 1: Wo safar jis me jana aur aana 44 kilo meter aur wahan 10 din rehne ka irada bhi nah ho isi tarah wo apna watan bhi nah h to wahan namaz qasr (yani chaar rakati namaz ko do rakat) kar ke parna zaroori hai aur roza bhi nahin rakh saktien. 2: Agar safar ki ibtida zuhur ke baad ho to ehtiyaat ki bina par us din ke roze ko poora karen aur agar safar ki ibtida zuhur se pehle ho to phir ehtiyat e wajib ki bina par safar main us din ka roza bhi nahin rakh saktien. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1685,1692). [Updated on 02-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya safar me roza rakh sakte hen
Answer: 1: Wo safar jis me jana aur aana 44 kilo meter aur wahan 10 din rehne ka irada bhi nah ho isi tarah wo apna watan bhi nah h to wahan namaz qasr (yani chaar rakati namaz ko do rakat) kar ke parna zaroori hai aur roza bhi nahin rakh saktien. 2: Agar safar ki ibtida zuhur ke baad ho to ehtiyaat ki bina par us din ke roze ko poora karen aur agar safar ki ibtida zuhur se pehle ho to phir ehtiyat e wajib ki bina par safar main us din ka roza bhi nahin rakh saktien. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1685,1692). [Updated on 02-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalam walaikum.kya safar ke waqt roza nhi rakhna chahiye ya rakhna chahiye
Answer: