Question: Zakat yah sadka kea pasoon sea kisea ka qaraz Ada kia ja sakta hai
Answer: Zakat ya sadqa mustahaq ko diay jaey or phir wo on se apne qarz ada kar sakta hay.(Ref: minhajus saliheen, jild#2, maslah#1601-6111, jild#1, maslah#1142). [Updated on 06-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Asslam o Alikum...mera sawal ye hy k meri frnd ny zakat ke adaigi mn apna aik dffa ka used lehnga aik ghreeb zrorat mnd larki ko dya...kya aisa krna jaiz hy? Aisa krny sy zakat ada ho gae?
Answer: Note : Is website per fiqhae jaffaria ( shia mazhab) k mutabiq jawabaat diay jatay hein Kapre par zakat wajib nahin hoti. Zakat 10 cheezoon par daina wajib hay. 1:Gandum(wheat).2:Jau(barley).3:Khajoor(date).4:Kishmish.5:Sonay k raaIejul waqt sikkay(Current Currency Coins).6:Chandi kay sikkay. 7:Oont(camel) 8:Gaey(cow).9:Bhairh bakri.10:Maal-e-Tijarat par ehteyaat lazim ki bina par. in main say har aik jab apnay muqarrirah nisaab per pohanch jaay tu in per zakat daina wajib hoti hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1820. [Updated on 12-Aug-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalamualaikum.. Hazrat meri sawaal yeh hai ki agar ladki ki shadi k liye paise jama kr rhe hai to kya uska zakaat dena wazib hai ?
Answer: Raqam par zakaat nahi hoti zakaat kuch cheezo par wajib hai 1) Sona(gold) 2) chandi 3) khajoor 4) Ont(camel) 5) kishmish 6) Gaye(cow) 7) Bhair bakri 8) Jou 9) Ehtiat-e-Lazim ki bina par Maal-e-Tijarat. (Ref: Ayatullah Sistani Tauzeehul Masail, Masail#1820) Jo raqam saal bhar istemaal nah ho os per zakat wajib nahi hoti laikin khums wajib hota hay or khums se murad ye hoti hay k maal ka 1/5 hissa dena hota hay. Mazeed tafseel k liay is link per click karain. (Ref: https://www.sistani.org/urdu/book/61/3645/.) [Updated on 01-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: While my income was not good I took zakaat from my brother, now I’m having good income and I want to pay back that zakaat which my brother gave me one time , is it possible?
Answer: Is website par fiqh e jafaria (mazhab e shia) k mutabiq jawabat diye jatay hain. Paison per zakat wajib nahin hoti. Zakat 10 cheezoon par daina wajib hay. 1:Gandum(wheat). 2:Jau(barley). 3:Khajoor(date). 4:Kishmish. 5:Sonay k raaejul waqt sikkay(Current Currency Coins). 6:Chandi kay sikkay. 7:Oont(camel). 8:Gaey(cow). 9:Bhairh bakri. 10:Maal-e-Tijarat par ehteyaat lazim ki bina par. in main say har aik jab apnay muqarrirah nisaab per pohanch jaay tu in per zakat daina wajib hoti hay Wo sikke daar sona aur chaandi jinhe aurate batur zewar pehenti ho jab tak wo raij hoon yani sone aur chandi k sikko k tour per in k zariye lain dain hota ho ehteyaat e lazim ki bina per in per zakaat wajib hai laikin agar in k zariye lain dain ka rewaj baqi na ho to in per zakat wajib nahe hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeehul masail, edition #42, maslah #1820,1865). [Updated on 23-Mar-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Asalam O Alaikum Mera sawal ye hai k mera khula ka case file hogya ji or pichle 15 months se mere gold mere shohar k pas hai mein itne arse mein apne parents k that per hon Kia us gold ki zakat mujhe deni hai jab k mera gold mujhe wapas nahi kar rha
Answer: Was Salam. Is website par fiqh e jafaria (mazhab e shia) ke mutabiq jawabat diye jatay hain. 1: Shia mazhab main court say talaq nahin li jasakti. Talaq faqat shohar hi day sakta hai, khulaa main bhi shohar ko kaha jaaye ga aur wohi khulaa bhi tamaam sharaait ke e sath dai ga. 2: Sonay aur chandi per zakaat os surat me wajib hoti he jab wo dhalay huay sikkoon ki surat me hoon aur in k zariay lain dain ka rivaj ho. Laikin agar lain dain ka rewaaj khatam ho chukka ho to zakaat ada karna wajib nahin hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2492,1864). [Updated on 06-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Q1 ek aadmi pay fitra kitna banta hai Q2 aur zakat denay ka kiya tareeka hai zakat k liye kitni property ka hona zarori hai kiya salary pay b zakat deni hoti hai
Answer: Jo ghiza aap k shehr(city) me istemal hoti hai maslan gandum, jou, chawal wagira in ka 3 kg ya 3 kg ki qimat dena hoti hai aur agar qimat dain to os jins ki niyat karni ho gi jis jins ki qimat day rahay hain maslan agar chawal ki qimat dai rehay hain to qimat detay waqt aap k zehn mai ho k ye fitra chawal ki qimat ka dai rehay hain. 2-Zakaat property ya salary ki raqam per nahi lagti. Zakat 10 cheezoon par daina wajib hay. 1:Gandum(wheat).2:Jau(barley).3:Khajoor(date).4:Kishmish.5:Sonay k raaIejul waqt sikkay(Current Currency Coins).6:Chandi kay sikkay. 7:Oont(camel) 8:Gaey(cow).9:Bhairh bakri.10:Maal-e-Tijarat par ehteyaat lazim ki bina par. in main say har aik jab apnay muqarrirah nisaab per pohanch jaay tu in per zakat daina wajib hoti hay Wo sikke daar sona aur chaandi jinhe aurate batur zewar pehenti ho jab tak wo raij hoon yani sone aur chandi k sikko k tour per in k zariye lain dain hota ho ehteyaat e lazim ki bina per in per zakaat wajib hai laikin agar in k zariye lain dain ka rewaj baqi na ho to in per zakat wajib nahe hai . (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #1820,1865 ,1865 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye). (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #1952). [Updated on 09-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: kia zakat ke daar se Gold ko bachoon mein taqseem krna jaaiz hai.
Answer: Is website par fiqh e jafaria (mazhab e shia) k mutabiq jawabat diye jatay hain. sona aur chandi par zakat us waqt wajab hoti hay jab sona aur chandi dhalay hoay sikkay ki soorat may ho aur in ka zariay lain dain ka rewaaj ho laikin agar lain dain ka rewaaj khatam ho gaya hay tu zakat wajib nahi hai.. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1864). [Updated on 09-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kia hum zakat mn istemaal shuda kapreyde saktybhainyani sorf el baar istemaal kiye hue naye kaprey?Plz guide about this...
Answer: Is website par fiqh e jafaria (shia mazhab) k mutabiq jawabat diye jatay hain. libass per zakat wajib nahin hoti. Zakat in 10 cheezoon par daina wajib hay. 1:Gandum(wheat). 2:Jau(barley). 3:Khajoor(date). 4:Kishmish. 5:Sonay k raaejul waqt sikkay(Current Currency Coins). 6:Chandi kay sikkay. 7:Oont(camel). 8:Gaey(cow). 9:Bhairh bakri. 10:Maal-e-Tijarat par ehteyaat lazim ki bina par. in main say har aik jab apnay muqarrirah nisaab per pohanch jaay tu in per zakat daina wajib hoti hay Wo sikke daar sona aur chaandi jinhe aurate batur zewar pehenti ho jab tak wo raij hoon yani sone aur chandi k sikko k tour per in k zariye lain dain hota ho ehteyaat e lazim ki bina per in per zakaat wajib hai laikin agar in k zariye lain dain ka rewaj baqi na ho to in per zakat wajib nahe hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1820,1865). [Updated on 09-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Jo zakat leta hai agar wo un paiso se hame khilaye to kia hum kha sakte ha
Answer: Jee han, kha sakte hain. Q ke zakat o khairaat wagera... lene ke baad wo shakhs us cheez ka maalik ban jata hai, aur maalik banne ke baad ab us ki marzi hai chahe to apne liye istemaal kare ya dosron ke liye ya kisi ke liye bhi istemaal kare. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #44, mafhoom e maslah #1910,1911). [Updated on 21-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Can i give my zakaat to my father who had debt on him because of his big family
Answer: Insaan in lougo ke akhrajaat jin ki kifalat is per wajib ho maslan aulaad ,baap,maah,ya daime zoja ke akhrajaat faqeero ke hisse se zakaat ada nahe karsakta . Jo shakhs maqrooz ho aur apna qarza ada nah kar sakta ho, agar us ke paas apna saal bhar ka kharch bhi ho tab bhi apna qarza ada karne ke liye zakaat lay sakta hai lekin zaroori hai ke us ne jo maal ba-tuar e qarz liya ho use kisi ghunah ke kaam mein kharch na kiya ho. Isi tarah jo shakhs maqrooz ho aur apna qarza ada nah kar sakta ho, us ka qarza zakaat se diya jaa sakta hai. chahe us shakhs ke akhrajaat zakaat dene waale par waajib hi kyun na hon. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1910,1901,1910) [Updated on 09-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]