Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Zakaat ( 28 Questions)


Id: 17099
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Jis insan pay udhar ho 6lac kia wo zaqat dey ga us ka apna ghar ho or gold bhi ho us k pass??

Answer: (Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). Maqrooz hona aik alag cheez hai aur zakat ka wajib hona aik alag cheez hai. Zakat in 10 cheezoon par sharaait ke sath daina wajib hai. 1: Gandum (wheat). 2: Jao (barley). 3: Khajoor (date). 4: Kishmish (raisin). 5: Sonay (gold). 6: Chandi (silver). 7: Uont (camel). 8: Gaye (cow). 9: Bhairh (sheep bakri (goat). 10: Maal-e-Tijarat par ehteyaat lazim ki bina par. in main say har aik jab apnay muqarrirah nisaab par puhanch jaaye to in par zakat daina wajib hoti hai. Aur sona aur chandi par zakat us waqt wajib hoti hai jab sona aur chandi dhalay hue sikkay ki soorat me ho aur in ka zariye lain dain ka rewaaj ho lekin agar lain dain ka rewaaj khatam ho gaya ha to zakat wajib nahin hai. Wo sikke daar sona aur chaandi jinhe auraten batur zewar pehenti hon jab tak wo raij hon yani sone aur chandi ke sikkon ke taur par in k zariye lain dain hota ho ehteyaat e lazim ki bina par in par zakaat wajib hai lekin agar in ke zariye lain dain ka rewaj baaqi na ho to in par zakat wajib nahin hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1820,1864,1865). [Updated on 18-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17163
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kia amdani ke peson pr zkat hogi jese 3 lakh pr 5000 maheena ata ho or wo hame bhi pora na prhta ho tu kia ye teen lakh me se hme zakaat nikalni chahiye?

Answer: (Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). 1: Fiqh e jafferiya ke mutabiq, Raqam (paison) par zakat nahin hoti. Albatta jo raqam saal bhar istemaal nah ho us par khums wajib hota hai aur khums se muraad ye hai ke maal ka 1/5 hissa dena hota hai. Mazeed tafseel ke liye is link per click karain: link https://www.sistani.org/urdu/book/61/3645/ 2: Zakat in 10 cheezoon par sharaait ke sath daina wajib hai. 1: Gandum (wheat). 2: Jau (barley). 3: Khajoor (date). 4: Kishmish (raisin). 5: Sonay (gold). 6: Chandi (silver). 7: Uont (camel). 8: Gaye (cow). 9: Bhairh (sheep bakri (goat). 10: Ehteyaat-e-lazim ki bina Maal-e-Tijarat. in main say har aik jab apnay muqarrara nisaab par puhnch jaaye to in par zakat daina wajib hoti hai. Aur sona aur chandi par zakat us waqt wajib hoti hai jab sona aur chandi dhalay hue sikkay ki soorat me ho aur in ka zariye lain dain ka rewaaj ho lekin agar lain dain ka rewaaj khatam ho gaya ha to zakat wajib nahin hai. Wo sikke daar sona aur chaandi jinhe auraten batur zewar pehenti hon jab tak wo raaij hon yani sone aur chandi ke sikkon ke taur par in k zariye lain dain hota ho ehteyaat e lazim ki bina par in par zakaat wajib hai lekin agar in ke zariye lain dain ka rewaj baaqi na ho to in par zakat wajib nahin hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1820,1864,1865). [Updated on 03-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 17219
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agr mjy zukaat Dany k ly 10hzar dea jayn ma na KSi ka qarzza bi Dana ha to keama zukkat k pasisoo sy AP a qarza dayy saktii hn kea

Answer: Agar aap ko wakeel banaya gaya hai ke aap un ki ye zakat ke paise fulaan mustahiq tak puhncha den to is ke liye saharaei maslah ye hai ke Agar aik maalik apne maal ki zakat dene ke liye kisi faqeer ko wakeel banaye aur faqeer ko ye ihtemaal ho ke maalik ka irada ye tha ke wo khud (yani faqeer) us maal se kuch na lay to is soorat me wo koi cheez us me se apne liye nahin lay sakta aur agar faqeer ko ye yaqeen ho ke maalik ka irada ye nahin tha to apne liye lay sakta hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1945). [Updated on 22-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17357
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Syed Apne naam s zakat Le kr Kisi or ko de skta h

Answer: Zakat nikalne wala aik syed shakhs ko apna wakeel bana sakta hai aur zakat nikalne wale aur jis mustahiq ko zakat di jaye, aik syed shakhs in don ke darmiyan wakeel ban sakta hai yani syed shakhs, zakat nikalne wale ko kahe ke me aap ki taraf se wakeel ban kar aap ki nikaali huei zakat mustahiq tak punhcha don ga. lekin apne naam pe zakat nahin lay sakta yani zakat nikalne wale ko ye nahin keh sakta ke zakat mujhe di jaye. "Wakaalat" se muraad yeh hai muahida karne ya muamela karne ya in jaise kisi kaam ko maslan "Tehweel mein dena" aur "Tehweel mein lena" jo insaan khud karne ka haq rakhta ho use dusre ke supurd kar de taake wo uski taraf se kaam anjaam day. Maslan kisi ko apna wakeel banaye taake wo uska makaan bech de ya kisi aurat se uska aqd kara day. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1918,2220, pg #342). [Updated on 15-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 24131
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: سلام علیکم،ایک مومن پہلی مرتبہ گندم پر زکوات دینا چاہتا ہے اس کی گندم ٹوٹل ۲ھزار من ہے تو اس کا حساب کیسے ہونا چاہئے۔یہ اپنی زمین کی کاشت موٹر سے پانی نکال کر کرتا ہے (یعنی پانی کو شفٹ کرتا ہے ایک بڑی نہر سے چھوٹی میں)

Answer:

Id: 25171
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: As salam o Alikum sir mera sawal yeah hai mei online business krta hn mainy chand hazar ruppes sy kaam shuru kea tha or ajj mery pas Allhamdiullaa itny paisy hein mei 10 lac sy ziyadaa or ajjkal karobar down b hwa hai thura bht nuqsan b kea hai . 1 bandaay ny mery sth fraud kea mjyy 32 lac ka choona lagayaa or mjy wo maal dy dea jo koi b nai khreedtaa wo maal market mei 6 lac mei b sale nai hta. Tu abb usny jis hisaab pr mjy wo maal bechaa hai uss ki qemaat usny 16 lac batyayi hai abb market mei sale krny gaya tu koi 6 lac mei b nai ly rha. Or mery pas 10 lac ruppy account mei paray hein abb mei kis hisaab sy zakaat doun. Mera name or mera sawal secret rkhaa jae mehrbani hgi

Answer:

Id: 25177
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: Kiya hum zakat ke tor pr koi chez le kr da skte. Agar aik bnda berozgar hai koi income source nahi. Ushe apne kam ke liye mobile ki zrurat ho mobile le kr da ske. Zakat ke paise direct na le rha ho. Ush ke badle zakat ke paiso se ush ki zrurat ki chez le kr da skte hein kiya

Answer:

Id: 25364
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: salam sir mre husband banker hy acha kma lyty hy pr unk zima 2 ghr hy parets ka jis me bhai bhan or apna jis me biwi bachy hy.hm rent py rhty hy apna ghr bnany k lye 52 lakh bnk se loan lia ab jo ghr lia wo door hy shift ni ho skty ku k hm unk parents k ghr k kareb rhty hy,to jo ghr lia wo rent py dy dya uska jo rent atta hy us se hm jha rahty hy wha ka rent dy dyty hy, husband mjhy 5 hzar pocket money dyty hy kapry bnany k lye sall bhr k kapry etc k lye par me kapro ki bjay us me se apni zakat dy dyti ho 20 tola sona hy,ab swal ye hy k kia me apni zakat husband ko dy skti ho ku k unho ny loan lia howa hy

Answer:

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!